Saturday, February 14, 2009

~Tere khayal ki aabo-hawa mein jeetey hai~


Kabhi kabhi pee lety hu ...acha lagta hai
Kabhi kabhi nasha kar lu ... acha lagta hai

Bottle sari na sahi, ghutt ghutt hi sahi
Ghuttan se to ... acha lagta hai

Jab dimagh halka ho jaye..Hosh kho jaye
Hauley se jo haal hota hai ...acha lagta hai

Maine peeya nahi is waqt, na jaam chalka aaj raat
Lo ... jooth kehney mein bhi ...acha lagta hai

Ankhein bandh kar lu gar thori si charrh jaye
Nasheymand hokar, dil kholkar bolney mein ...acha lagta hai

Galay se madeera jab utarey seeney mein
Ghum boltey hai , tann doltey hai....

Achaa lagta haiiiii ......

~By Meg~



12 comments:

  1. tum ney lafzon k jaam peney shoro ker diey hien abb...:)

    ReplyDelete
  2. lahoo mein utray zehr-e-gham tab janiyay kia ho,
    abi tu talkhi-e-kaam-o-dehn ki aazmaa'ish hai

    ReplyDelete
  3. raatbhar jam se jam takrayega
    jab nasha chayega tab maza ayega

    ReplyDelete
  4. kaam(DESIRE,INTENTION)
    DHEN(PRESERVATION)
    AAZMAA'ISH(TRIAL,tEST)

    hota hai yar hota hai,dil chota nahin kartay,doosra bhi tu aam insan hai kaunsa bhagvaan hai,har kisi ko aap ki true worth ka andazah nahin hota.
    abhi tu duniya pari hai aagey aur tumharay liyay yaqeen karo jo bhi ho ga bohot acha ho ga,mujhay is bat ka poora yaqeen hai, tumhein bohot pyaar,

    waqt zakh'm ke har ghaa'o ko bhar deta hai
    umar bhar lekin iski chubhan rehti hai

    faasilah ishq ki manzil ka hai do chaar qadam,
    umar bhar lekin iski thakan rehti hai!

    ReplyDelete
  5. wah bahot khoob ...umar bhar iski thakan rehty hai...
    waqayi...thakaan mehsoos ho rahi hai abhi se muje... janey aage ka safar kese tay hoga ...

    kamli ..gar dost samajtey ho to ...apke blog par hume bhi invite kijiye..hum bhi padh paye apki ankahi dastaan ...

    ReplyDelete
  6. Kamli ...aap chaho to humare blog ko follow kar saktey ho ... follower bankar...feel free to add up...

    ReplyDelete
  7. bohot shukriya aur be'inteha pyaar.

    ReplyDelete
  8. kamli ... aap ne jo blog join kia hai ...justajo...kya ap us shakhs ko jantey ho ?

    ReplyDelete
  9. shakhs ko in person tu nahin janti,lekin woh bhi pasand kartay hon parhna blog.. aap oon ke blogs parhti hein?

    ReplyDelete
  10. dee'vaaron se milkar rona acha lagta hai
    hum bhi pagal ho jaayein gey aisa lagta hai
    kitnay dinon ke pyaa'say hon gey ,yaaro socho tu
    shabnam ka ik ik qatrah, jinko daryaa lagta hai
    duniya bhar ki yaadein, hum se milnay aati hein
    shaam dhalay is soonay ghar mein mela lagta hai
    kis ko qaisar pathar maaroon, kaun paraya hai
    shish mahal mein ik,ik, chehra apna lagta hai
    mujhay yeh bohot pasand hai ghazal, tumhein bheji, unkahi!

    ReplyDelete
  11. Hanji,
    Reflection is my very good friend. I am following her blog regularly. ...acha likhty hai wo bhi ...

    aapne abhi tak ijazat nahi di humey apna blog padhney ki



    :)

    ReplyDelete
  12. yar mein tu aap ki follower hoon ab aur justajoo se ho kar mujh tak aa'iyay aap!

    ReplyDelete