Monday, November 23, 2009

~Maum sa dil...~


Kab tanha kiya zindagi ne pataa na chalaa
Jo choot gaya peeche wo peeche peeche chalta raha
Zindagi teri reet ka sangeet
Mere manind bajtaa rahaa
Teri banayi dhunn par
Mera sog e tabassum khiltaa raha
Jaltey hai tanha andherey mod par
Thakaanon se choor dil bujhta raha ...pighalta raha...
Dard sehta raha ... dum nikalta raha ...

~Meg

Friday, November 13, 2009

~Kyu Kyu Kyu~


Kyu halaton ki andhi mein
Bikhar gaye hum tum
Kese rahungi ab main
Yun tanha bin humdum
Tere waadon ka kya hua
Kya mohabbat meri pad gayi kam?
Ek bar bhi tu na katraya
Mujh mein bhar ke itne ghum
Seh rahi hu kis tarah
Tere diye hue gehrey zakhm
Koi mil gaya sathi tuje
To bhul gaya tu mera aangan
Kureid rahey hai ab mujko
Pal pal ye tere sitam
Cheekh rahi hai rooh meri
Koi aakar lagaa dey marham
Jaan se khelkar meri
Kahan gaya beraham

~Meg



~Khwahish-e-Maut~


Kabhi kisi shakhs se nazar na milana
Bas paas se chupke se guzar jana
Kisi ke liye kuch mehsoos na karna
Bas armano ko dil me daba dena
Ankh se ab aansu na bahana
Tufaan andar hi bahaa dena
Hoton ko surkh na karna
Juthi muskaan saja lena
Ab Pyar ki aas na rakhna
Tanha tanhaa tu jee lena
Gar mushkil lage yahan jeena
To kabar mein ghar bana lena...
~Meg

Thursday, November 12, 2009

~Sun Zindagi~


Aye zindagi aakhir
Teri khwahish hai kya
Koi pal tu bhi kabhi
Sakoon se guzaar
Kaatna hoga tujhe safar
Chahey aansu hi bahaa
Tere haunsley se hai jurra
Aage ka ye jahaan
Dosti kar waqt se
Aur usey tu bata
Aye waqt tu beet chuka
Ab laut ke na aa
Mere dabey arman ko
Phir na jagaa
Jaaneywala to aakhir
Jaa hi chukaa
Tu bhi akeley
Ab kadam ko badhaa
Jo door ho chuka hai
Wo kabhi tera na thaa
Chal ab uth mere sang
Dhundey zindagi ka pattaa

~Meg


~Sard Mausam~


Sard mausam
Tanha raah
Dil ke ghum
Dhuan dhuan ...

~Meg

Monday, November 9, 2009

~Meri Cheekh~


Halaton ki andhi mein
Ek kagaz ki kashty sa dil
Tufanbhare manzar mein
Kaise paar ho manzil

Sunte the humsafar tujse
Hatheliyon ko jor do tum
Phir kisi aur ka hath thamkar
Meri lakeeron se phisley tum

Mumkin hi nahi ho pa raha
Tumhe yun bhi kubool karna
Maine socha na tha kabhi
Tumhe khudse door karna

Koi aisa kar ilaj aye hakeem
Ke yaaddash bhula baithu main
Rag rag se mitau uske nishan
Aur apne hi hathon usey gawa baithu main
~Meg~

Thursday, October 29, 2009

~Aas~

Ab koi aas nahi
Ab dil ko kisi baat par naaz nahi
Aaj zindagi se dur jau

Dil karta hai faasla badhau ..
~Meg

Wednesday, October 28, 2009

~Ye haal~


Teri Mohabbat ka

Zukham Charh gaya hai

Dil bhaari...

Bheetar beqarari ...

Zalim bezaari........

Aaah...!!!

........Fann nikhar gaya hai !!!

~Meg


~Bharam~

Aksar mere dard nazarandaaz karta hai woh

Zakhm sirf usi ke hai..Bharam mein jeeta hai woh ...

~M

Wednesday, October 14, 2009

~wafa ke naam~

Ye sahar ...ye shaam...
Zakhm wohi purana sar e aam
Le lekar wafa ka naam
Kuch log karte hai mohbbat ko badnaam
~M~

~Ashiyaan~


Aajao kabhi
Mere der ...is kadar
Ke phir tumhe
Bhatakney na dun
Idhar udhar
Dar badar
Katt jayega ye
Pyar ka safar
Haath thaam
O mere Humsafar
Abaad karenge hum
Dil ka Nagar
Banaye aashiyan
Wo tera ghar
Wo mera ghar

~M~

Tuesday, October 13, 2009

~Safar~


Yahan seekh seekh kar bhi nahi seekhtey hai log
Jab majdhar mein khud na behte hai log
Aaty hai musibat jab saamney
Hosh apne gawaaty hai log
Rastey chahey kese bhi ho
Manzil tak reing reing kar pahochtey hai log ...

~M~

~ek jaisi~

Ye mohabbat ki kahani sabki janey kyu ek jesi hoti hai
Haal-e-dil bhi ek jesa
Aur raahein manzil bhi ek jaisi hoti hai ...

~M~

Tuesday, October 6, 2009

~Kaise bhuley hum~


Saal ka pehla mahina
Janvari ki sard shaam
Mausam bhi tha num
Kaise bhuley hum...Kaise bhuley hum

Yuhin baithe baithe
Dekhi tez badhty roshni
Farishta aya tha mitaane mera ghum
Kaise bhuley hum...Kaise bhuley hum

Mere ashqon pe pheri thi ungliyan
Basaya tha rooh mein sakoon
Lagaaye the zakhmon pe kitne marham
Kaise bhuley hum...Kaise bhuley hum

Jin lafzon se ki apni peshkash
Muje khudse kiya tha bekhabar
Wo jaadugar tha mera sanam
Kaise bhuley hum...Kaise bhuley hum

Hazzaaron baatein
Din raat subo shaam
Hazzaaron tere karam
Kaise bhuley hum..Kaise bhuley hum

Tu auron se tha juda
Yehi tune tha kaha
Phir gairon se jaa mila jaanam
Kaise bhuley hum...Kaise bhuley hum

Ab andheri raatein
Tanha meri subahein
Khoya hua aalam aur ye zard mausam
Tujhey kaise bhuley hum...Kaise bhuley hum

Tu raahat-e-dil hai
Faqat tuhi mere qabil hai
Ye janmon ke the jo bandhan
Kaise bhuley hum...Kaise bhuley hum

~M~

Monday, October 5, 2009

~Kuch aisa tha~

Buna tha jo khwab
Woh kishton sa til til tha
Hui thi mulaqat ussey
Wo jo mera la-hasil tha
Andhera mukammal
Meri Raah-e-manzil tha
Jo fasana sunata tha mera
Wo gairon ki mehfil tha
Sisakty sadayein jo de rahi thi
Wo is ghayal ka fanaa dil tha
Door khadey muskura raha tha
Wo masoom sa mera qatil tha
Jo aksar meri duaon mein tha
Wo kisiko bin maangey hasil tha
Meri tanhayion mein to faqat
Mera saaya hi shamil tha

~M~

Saturday, October 3, 2009

~Wo Guzra Zamana~


Teri chahat ki nazar ko dekha tha maine
Teri aadat mein khudko dhala tha maine
Tuje shiddat se pehro socha tha maine
Teri chahat ko tah-e-dil se pooja tha maine


Khudse kis kadar jorra tha maine
Teri sanson se sans paroyi thi maine
Teri dharkano se awazey payi thi maine
Suni thi wo pyar ki shehnayi maine


Tuje libas banakar haya chupayi thi maine
Tuje khudse churakar pyas bujhayi thi maine
Teri bahon ke saharey sham guzari thi maine
Tere kehne par hi ye duniya basayi thi maine

Phir tune ye kaisi ujdi veerangi di sehney
Ye tanha tanhayii subo shaam din rainey
Bezaari udaasi ke saaye ghanerey
Bas bhi kar ruk jayegi ab dharakty hui dharkaney

~M~

~Fariyad~

Wo sunna chahte hai meri fariyad-e-dil

Kya sunaye Woh dastan-e-qaatil ...

Bikhrey lamhon ko sameit na paya buzdil

Isi aah-o-fariyaad se bhara hai mera dil
~M~

Sunday, September 27, 2009

~Meri Kahani~


Kabhi mohalat na di tune dastaan sunaney ki
Aaj likh rahe hai kahani us maazi ki

Wo pal mojeza tha tujse mulaqat ka
Tune kheech li thi kashti meri tufaanbhare pani ki

Cherhaa tha taar tune dil se is dil ka
Lafzon ke sangeet se bani thi dhunn zindagni ki

Subo se sham karte the mohabbat ki bahaaron mein
Paray thi meri zaat se basti veerangi ki

Ungliyan parokar, hatheliyon ko jorrkar
Kheech li thi rooh tune is bawri deewani ki

Hairaan thi kismat meherbaan takdeer par
Phir josh ne thaan li itihaas rachaaney ki

Kaun tik paya hai, jo ab bhi tik payega
Afsos kismat ne kheli thi chaal muje azmaaney ki

Tere badaltey hi dhundla gayi har manzil
Ab Rooh kaanpty hai jab koi cherhey baat paas aaney ki

Gar lena hai imtehaan to Suno aye musafir
Muje na satana ke ab himmat nahi kuch kar jaaney ki

Choti hi sahi Par, Sunehri aur Yaadgar hai kahani
Meri aur mere dilbar jaani ki ...

~Meg~










Thursday, September 24, 2009

~Tuje Azad kar jau~


Dil karta hai ab main chup kar jau
Tere naam ye khamoshi kar jau
Tu tarsey meri awaaz ko
Main kaano mein tere is kadar bhar jau

Teri ankhon me chubhty thi meri ye surat
Aaj tere manzar se bhi hatt jau
Teri nazar tarsey mere deed ko
Main waqt ke saath is kadar dhundla jau

Kyu ghutt raha tha mere bandhan mein
Jee le tu bhi, tuje main azaad kar jau
Badi chot khayi tune mere pyar mein
Aa thoda marham tere zakhmon par mal jau

Tu befikr ho ja meri mohabbat ke bakhero se
Aaj teri har khwahish ko anjaam tak le jau
Tere lafzon ko bhi zehmat na uthaney du
Tere kahe bagair teri huddon se hatt jau
~Megz~

Thursday, September 10, 2009

~Chot lagty hai~


Ab hawa bhi chu jaye to chot lagty hai

Is tanhayi mein zindagi pal pal maut lagty hai ...


~Megz~


~Insaan se Bejaan~


Kitne khoobsurat baaton se cheena tha Muje Khud se

Gar naa kee hoti baatein to aaj Jaan hoti is butt (moorat) mein ...


~Megz~


~Khuda roothey to qayamat ho~


Muje khwaabon se koi bahar nikaalo
Ye Mohababt ke bharam sataa rahey hai
Koi maujza (miracle) karke mujme Jaan daalo
Ye tabeeb haqeem dekho kya jataa rahe hai

Ab bhi aas hai ... Mujme saans hai ...Main jeena chahty hu ...
Roothey hue Khuda ko dekho kaise manaa rahe hai...

~Megz~

~Maazi~

Mere mohabbat ki misaalein hua karty thi

Ye zindagi kitni kamaal hua karty thi

Ab sog kya kare halaaton par

Waqayi zindagi be-misaal hua karty thi

~Megz~

Monday, September 7, 2009

~Kahan jaye~

Jab zarurat padi tum paas na aaye
Ab kahan jaakar ye dil behlaaye
~Megz~

~Waqt ke khel~


Ab tanhayee phaylee hai door tak
Ab sahi nahi jaaty ye aur waqt ...

~Megz~

~Beherhaal ~


Bahot rulaya

Bahot tadpaaya hai mujko

Jam ke sataya

Til til ke maara hai mujko

Chalo Khush raho

Shayad yehi haal mera bhaaya hai tujko

~Megz~

Sunday, September 6, 2009

~Sitamgar~


Wo na kabhi samaj paye hai
Na samaj paayenge

Patthar dil pighaltey nahi
Hum maum bankar pighal jayenge

Sar ankhon par kis kadar rakha tha humey
Koi baat nahi, ab pairon ki dhool ban jayenge

Dil se utaar dia ho to koi harz nahi
Hum apna naam-o-nishan liye ab ghum ho jayenge

Fakr tha teri mohabbat par humey
Chalo ye tajurbey zindagi mein kaam ayenge

Kamaskam kadar na sahi , maan se pesh aatey tum
Ab ye mareez dil aur rogi jism lekar hum kahan jayenge

Shayad kisi din tum paas aaogey bhi
Aur hum tumse Ruswaa ho jayenge ...
~By Megz~

~Parbat rotey hai~


Kitna khubsurat nazaraa hai

Ye parbat rotey hai ..jaise keh rahae ho...

Ye dard tumhara nahi humara hai

Inhe kaho ashqon ki khubsurty tummey bhari hai

Humari ankhey to kitni be-noori hai ...

~Megz~


Friday, September 4, 2009

~Mera Qatil~

Wo meri har baat sunta hai
Anjaan ki tarah
Wo muje dekhta hai
Hairaan ki tarah
Wo mujpe hai nissaar
Jaan ki tarah
Kabhi ek nazar daal mujpar
Meherbaan ki tarah
Kya mere seeney mein dil nahi
Insaan ki tarah
Tere dil mein bhi machalty hai aarzu
Armaan ki tarah
Main janty hu tuje pyar hai mujse
Jigar jaan ki tarah
Dekh mere dil mein bhi hai tu
Badey shaan ki tarah
Kya main tujpar bojh hu
Ek samaan ki tarah
Kahan gaya woh pyar
Jo kabhi hua karta tha chattaan ki tarah
Chalo koi to naata hai mujse tera
Chahey ehsaan ki tarah
Dard hota hai jab tu deta hai dil pe dastak
Mehez ek mehmaan ki tarah ...

~By Megz~

Sunday, August 30, 2009

~Ek tu ...Har su~


Janey kyu itni Mohabbat hai tumse
Tumhara naam rattkar subah se shaam kartey hai
Jab khamosh tanha baithtey hai sahilon par
To khud se tumhari baatein tamaam kartey hai

Teri yaadein, tere geet, tere sher, teri hansi, teri awaz, teri saadigi, teri dillagi
Uffff....Aakar dekh zara .... In manzaron se kaise kalaam kartey hai

~M~

Monday, August 24, 2009

~Apke naam~


Lo kar diya sabkuch aapke naam

Ab is jaageer ko sambhalna aapka kaam


~Ankahi~


Koi chupke se zindagi mein aata hai

Aakar meri saadgi ko apnata hai

Meri adaton ko Khuda banakar

Khud meri aadat bann jata hai

Mera hath wo hauley se thamta hai

Khudaya, mera kangan bhi sharmata hai

Khushboo jo mujme basi hai unki

Hawa iseyy chukar har tarah bikhrata hai

Palkein jhuk jaty hai unki baatein sunkar

Mere hoton par jaise koi lafz dafnata hai

Chu jaty hai unki har ada jaise

Bhanwara phoolon ko choom kar ata hai

Seeney se lipte raho mere saajana

Apki chahat sans lena sikhlata hai

Hokey ghumshuda adhure reh jayenge

Apke bin kitna khauf aur sannata hai

Takty hai nazar aap par rehguzar

Khuda bhi janey kitna intezar karwata hai ....


Saturday, August 22, 2009

~Aa bhi jaa ab~


Ye justuju thi ki teri goad mein sar rakhkar soye hum
Teri baahon ki narmi mein khoye hum
Tu pyarse sehlaye muje
Aur ankhon mein sapnay sanjoye hum

Aakar kareeb tu mehkaye meri sansein
Tujse bicharkar har pal roye hum

Leja muje kahin door apne sang
Aa phir ek dusre mein khoye hum

Bana de muje apna hissa
Taaki ho jaaye poorey hum ...

~M~

Sunday, August 16, 2009

~Ek baat batao~


Bechain rooh ko zara sa sakoon de jao

Aao muje paakar mujse kuch le jaao

Intezaar ke lamhay amavas se lagtay hai

Aakar mere jeevan ko chaar chaand de jaao

Sakoon jahaanbhar ka jaaney kaise khud mein samaye bethe ho

Meri jholi mein bhi thoda qaraar de jaao

Kyu itney pyare ho tum ? kyu mere saaye ho tum ? kyu is kadar paas aaye ho tum ? kyu ye rog lagaye ho tum ?

Mere sawaalon ke kabhi jawaab de jaao

~M~


Thursday, August 6, 2009

~Intezar~

Bezabaan hui mohabbat meri
Lakh afsaano ki hasrat thi meri

Kaun samjhey bebasi ye gehri
Ab nigaah unki mujpar na thehri

Khamosh chand aur raat sunehri
Khudaya, Sehar mein ye kaisi hai deri ...!!!
~M~

~Khayalon mein~

Ye behty nadiya
Aur chalakta kinaara

Jaise waqt aur ghadiyaan mein
Har shakhs besahara

Kahin rangin har nazarey
Kahin ghumgheen har nazaara

Bharam hai mera ki tuney hai pukaara
Khair manzur hai ek aisa bhi ishaara

Kuch lamz haseen, kuch ghum e khumara
Kabhi koi na ho shamil ... aur hazir saaya hai humaara


~M~

Kya aap jaantey ho ?


Bichar jana bhi ek adaa hai
Kabar mein zinda rehkar to dekho

Khwabon ka tootna kaisi bala hai
Sitaaron se kuch na maangkar dekho

Aah bhar bhar ke jeena ek saza hai
Mohabbat ki hathkadi hathon me sajakar to dekho

Tadapkar ghutna , aur ghutkar sisakna waqayi maza hai
Azaab e ishq mein behelkar bhi dekho

Khuda janey kabool kaunsi azaan hai
Kisi roz hath uthaakar to dekho ...

~M




Thursday, July 30, 2009

~Aatish-e-Ishq~


Palkon pe intezaar liye
Baahon mein pyar liye
Rooh beqarar kiye
Jaan nissaar kiye
Bechaini sang liye
Zindagi guzaar diye ...




Friday, July 3, 2009

~Hoon Ajeeb Kashmakash Mein~


Jeevan mein dorahey hai phootey
Kahan jaana, ye rastey hai poochey
Kaise kahe is dil ki manmootey
Kuch na keh sake, kuch na soojhey

Baithe baithe ek raah ko choontey
Chal padey jaisey duniya se ho roothey

Hawa takratey is jism ko hai lootey
Dard se choor dil kaanch ki tarah tootey

Zindagi se kiye hai kitne samjhotey
Lagey sarey rang ab pheekey aur joothey

Gulistan mein surkh hai pattey aur bootey
Shayad sazayein waisi hi mile jaisi ho kartootey

~M~

Tuesday, April 14, 2009

Mohabbat shayari


Mohabbat is kadar hai paayi
Uski har saans mein thi ruswayi

Jab muskraaney ki surat nazar ayi
Maine har muskaan pe di gawahi

Jigar Dil Jaan kehnewale
Kyu di hai tune judayi

Us Khuda ke hotey hue bhi
Har shakhs ne ki mujpar khudayi

Aaj faisley ki ghadi jab aayi
Mere khilaaf thi har sunwayi

Sar se hatt gaya asmaan
Pairon talay zameen bhi gawayi

~By Megz~

Wednesday, February 25, 2009

~Thakey Rishtey~


Meelon meel chalney wale rishtey
Kacchey nazuk dhaago se tiktey hai

Dhoop, chaon, rang, mein paltey rishtey
Tufaan aaney par bikhartey hai

Rukh hawaon ka mudney par jaan ke dushman
Mausam badalney par pak dil farishtey hai

Kisi mod par ajnabi se rishtey
Manzil tak rengkar thaktey rishtey hai

Kahin dil milakar mukammal se
Kahin bikhrey aaiyne ke kishtey hai

Zindagi mein senkdo roohon se jurney wale
Maut par dum todtey hue, rishtey akhir rishtey hai ...


~By Meg~

http://www.youtube.com/watch?v=r9X09tEmmmU






Saturday, February 21, 2009

~Judaiyon Ka Mausam~


In dino har jagah manzar udas sa lagta hai. Miley hue dilon mein meelon ki judai si lagti hai. Janey kaun si hawa chali hai mausamon mein, sabz manzar hai, dil ki zameen banjar hai. Baatein to kartey hai ek dusrey se, phir bhi anjan si lakeer kheechi hui si lagty hai. Kaisa ajab sa dastoor hai, kahin anjaan milkar ghanto baatein kar letey hai, kahin apney ghanton bhar milkar bhi ek baat nahi kar paatey. Kuch ukhrey ukhrey se dil, be-sakoon si roohein, be-mol se sarey lafz, janey kahan chala hai humara ye kaafila. Jahan bheed hai wahan dil bezaar sa hone lagta hai, jahan tanha baithey wahin dil roney lagta hai. Kahin shikwey giley beshumar hai. Kahin tootey aitbaron ki dastaan hai. Kacchey dhaagon ki dor se bandhey ye sarey rishtey, koi sambhaley to kaise? Jatan karey to kaise ? Yaadon ke khazaney, lafzon se bhara zehn o dil, har pal taro tazaa paida hotey ehsaas aur jazbey...na zinda rehney dete hai, na bhoolney dete hai...Ye kisi din apne sath hi jayega... Bas ab wo sab mera hai jo tuney diya hai...


Hairaan hu ye sochkar, rishton ka tawaazun naapney gar baithu to sauda bada na-insafi lagta hai...


Ek maamuli se Dil deney ke badley qarar mein Senkdo heerey moti (mohabbat aur dard ka package) jholiyaan bharkar daaman mein aa girty hai ...


Wo bhi mila jo an-chaha tha, aur wo bhi mila jo mann-chaha tha...



Friday, February 20, 2009

~Zindagi Ka Caravan~


Jeevan beet jaata hai palakein jhapaktey
Subah kabhi rotey, shaam kabhi hanstey

Tanha tanha log pal pal sisakkar
Roohon key sathi khwabon mein hai buntey

Humsafar paakar bhi jo khush nahi rehtey
Jahan jab miltey, woh wahin par bichartey

Raahein raahein phayley hai parbat, nadiyan, sang aur kaantey
Jisey chalna, tairna, udna na aye, wo gir girkar sambhaltey

Mausam banaa insaanon jaisa, pal pal hai rang badaltey
Kabhi garm, kabhi sard, kabhi bheena, shakhon se pattey bhi to hai girtey

Bichaye armanon se bhari sej jab koi dil machal machaltey
Duaon mein mangi chiz, jaaney kisey milty hai bina hath upar dhartey

Zindagi ka caravan badha chaley dar dar thokar lagtey
Safar khatm ho hi jata hai, sanson ki sham dhaltey

Jeevan beet jaata hai palkein jhapaktey
Bari der ho jaty hai aankhein malkar khultey ...


~By Megz~

~Ek Chand:- Sau Jawan Dhadkano Ki Hasrat~

Aye Chand tu bhi kya dhaata hai
Aye Chand tu bhi kya dhaata hai
Bachpan mein mama
To jawani mein sanam nazar aata hai ...




Yeh Chaand bada man-mauji hai
Khudke buzurg (Sun) se roshni churaate
Baadalon mein chupte chupaate
Nigehbaani se bachtey bachaatey
Shaagirdi se door
Tanha tanha raaton ke ghanghor pehron mein
Safed rang ki chand daagon se rangey pehran mein
Dabey dabey paon se, aahat ki chuppiyon mein
Pahunch jaata hai jawaan mehfilon mein
Kisi shayar ki ghazalon mein
Kisi mehboob ki misaalon mein
Khilauney ki zidd pe adey hue phool jaise bacchey ki aankhon mein
Suhagan ke Karwa chaut ki raaton mein
Samandar kinarey bahein jorkar baithey hue pyar mein doobey dilon mein
Raaton ko junglon se safar karnewale thakey musafir ki thakaanon mein
Ya phir, Khidki ke zariye
Pahunch jaata hai kisi mah-jabeen ke kamrey mein
Urtey hue reshami pardon ke kinaaron se
Taareefon ka aaina liye...
~By M~

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ek aisa hi Sooraj par bhi ho jaye:


Suraj bhi bewafa sa lagta hai

Aata hai Roshni ke sath

Rehta hai Kiran ke sath

Ek tinkey sa hissa deta hai Jyoti ko bhi

Sulaghta hai Diya ke sath

Dhal jaata hai Sandhya ke sath

Aur Sirhaaney sota hai Chandani ke sath


Dekho kitno ke sath rehta hai ye sooraj

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kabhi ki hogi Suraj ne Chand se mohabbat
Tabhi us Chand mein daag hai
Mumkin ki hogi Chand ne bewafaii
Tabhi Suraj mein itni aag hai ...
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Thursday, February 19, 2009

~Kitna Mushkil Hai~


As the day came to an end, it was time to say Goodbye
Easy to say but tough to stop myself from cry
Memories you left behind, will always remain forever on my mind
Then as tears fall from my eyes, you forced smile and said "Please dont cry"
The days we spent togather, I'll miss them the most
Without you my life seems to be lost
I never thought this day would come
You left my life and I stood still and numb
You tried to explain that you'd come back
But I just turned away coz I simply couldnt face the fact
So much you mean to me I cant show
How much I love you, you'll never know
The days have passed, the time has come
Just squeeze me inside you, my soul needs your warmth
The words you spoke, the time we had
Just as I cannot, I bet you too wont forget
I look forward to meet you soon
Till then I wish upon stars sitting under moon
The hopes within my soul will never fade
Though I know for me you are not made
Till end of last breath with open eyelash
I'll wait to see you standing in front of me in blood and flesh
I look at you for one last time
Untill you return and spend with me more time
I pray God to be with you
May all your dreams and happiness come true
Just as I miss you , I hope you will miss me too
A smile on your face will reach here from miles
And shall stop the tear falling from my eyes
Just as I bid you final goodbye
A sunken heart's emotion thats all my face signify
Forgive me this birth for I was helpless
But my love for you was true, thats for sure you can test
The heartless world always bitterly mocked and bitterly laughed
But God being with us, I promise next birth to be your better half...

~By Megz~

~In dino kuch yun mehsoos karty hu~





Pairon mein wazni lohey ki zanjeer baandhi ho jaise. Uthakey do kadam gar aage badhana chahu, aur chaar kadam peechey ho jau. Kuch andekha zor mujpar jadu kiye baitha hai.


Sehar hotey hi angrayi lekar koshish ke sath bistar par baith to jaty hu, kambal hataakar jab uthney jau to yun lagta hai jaise main soyi hi kab thi, ankhein thaki ki thaki, chehra maayus, badan pani pani, aaiyna dekhney se katraati nazrein.


Almari kholu aur kitna waqt yuhin khadi reh jaty hu, na koi soch dimagh mein, na koi khayal. Koi kehta tha kabhi, tum jo rang pehno wo mausam ka rang. Poochtey the aaj mausam kaunsa rang liye aya hai. Ab sochna padta hai, pehnu to kya pehnu, kya aaj aankhon mein kajal laga lu? Shayad aankhein bejaan na lagey. Zehen mein uthey sawalon se nipatney mein waqt lag jata hai.

Ghar se college tak, college se office tak, office se ghar tak ka rasta asaani se kat jata tha baatein karte karte.

Yun to main khuli kitaab hu, jiski ankahi dastaan kitne hi dilon ki dastaan bayaan karty hai. Par jab panney phattney lagtey hai, tab inhe sanwarna mushkil ho jata hai, dhool jamney lagty hai, lafz dhundla jatey hai, seeyahi mitney lagty hai aur rang urr jatey hai...

Pehley bhi kuch yuhin kaha tha apney baarey mein ...Lo, dohra doon to kya ranj hai ...

" Dhool ki hirasat mein palty hui alehdi kitaab hu main,
Nazar phirakar palat sako panney to padh lo ...!!! "

Wednesday, February 18, 2009

~Khaak udty hai mujme raatbhar~



Khaak udty hai raatbhar mujme
Kaun firta hai der badar mujme
Mujko mujme jagah nahi milty
Tu hai maujood is kadar mujme
Waqayi, tu maujood hai dil ki har gehraiyon mein ...
Ek zara hath badhaney ko pakar ley daman
Uskey seeney mein sama jaaye humari dharkan
Itni kurbat hai to fir faasla itna kyu hai ...

Tuesday, February 17, 2009

~Main hui Bawariya~


Koi chupke se khayalon mein ata hai
Meri saadgi ko mohbbat se apnaata hai

Meri aadaton ko Khuda banakar
Khud aadat meri bann jaata hai


Mera hath wo hauley se thaamta hai
Kuch aise jaise kangan bhi sharmata hai


Unki khushboo jo qareebiyon se mehsoos hoti hai
Hawa unhe bikherkar har soo phaylata hai


Jab wo baatein karey mujse, to palkein jhuk jaty hai
Jaise mere hoth silkar koi lafz dafnaata hai


Adaon se unki kuch aisa khumar charhta hai
Jaise cherhkar koi bhanwra phool choom jata hai


Unki mohabbat ke har rang
Muje sans sans jeena sikhlata hai


Hokey ghumshuda adhurey reh jayenge
Apke bin kitna khauff aur sannata hai


Takty hai nazar, dhundey mera rehguzar
Khuda janey kaisa intezar karwata hai ...


~By Megz~

~Dil Ka Mausam~


Aaj bahar mausam kuch mere dil ke mausam jaisa hai. Badalon ki lapet mein asman hai. Jaise dharty ne kaala rang pehna hai. Haalan'ki ye rang meri mohabbat hai, par Asmaan to neela hi acha lagta hai.

Aaj sawerey jab ghar se nikli, to rasta sunsaan tha. Subah ka pehr, 7 bajey, har taraf andhera tha, jaise koi tufaan aaney wala ho. Khauffnak manzar se mera dil baitha jaa raha tha. Haunsla karke kadam badhatey hue chal padi apni raah par. Gaur farmana, mausam bahar ka aur mere dil ka ek jaisa tha. Tez barish jaise dabb gayi ho. Boondein bas rimjim phuhaaron si aa aakar chehrey ko chooye jaa rahi thi. Geeli geeli si zameen aur bheeney bheeney se ehsason se bhara mera dil, hu ba hoo ek jaise the.

Ye din ki kaisi shuruat hai ? Ye kaisa mausam hai ? Ye kaisa rasta hai...Main kahan chal padi hu...Meri manzil kaunsi hai ... Yaa to barish tootkar gir padey, mere tann mann ko bhigo dey...Ya to tufaan wahin thamm jaye ... Yun dekho to dono mausam raas nahi aaney mujey... Bina barish zameen sookh jayegi, sansein rukk jayegi, rooh ghutt jayegi ... Aur gar aa gayi barish tufaan liye, to kuch nahi bacheyga ...

Ya Allah, rasta asaan kar dey, ya safar khatm kar dey !!!

Monday, February 16, 2009

~Khwahish~



Jaagty thaki aankhon ke adhurey talabgaar khwab, kisi roz teri panaah mein poorey hongey ...

~Woh~




Ghor andheron ke beech badalon mein chupa wo safed chand ho tum... jisey main ghanto takty thi hoon hazaron bezuban khamosh lafzon se guftagoo karty hoon, phir bhi nazar nahi hatty, na dil bharta tha ...

Samandar ke tatt par behty sahilon ki hawa ho tum ... Jahan narm reit par pair phaylakar sakoon se baith jau, to wo hawa mere ird gird lipatkar, bosa dekar, balon ko sehlakar, maathey ko choomkar pal bhar mein ghumm ho jaty hai...

Thake hue din ke baad, jab sham ko ek pyaali chai liye gar sard mausam mein tanha soch ke safar par nikal padu, to wo mere safar ke humsafar bantey hai, hath thaamkar, ungliyon mein ungliya parokar, dooja hath mere kandhey par rakhkar chaltey hai....aise mein main meelon door chalty jaty hoon ... jahan wo le jaye, na waqt ka hosh, na jagah ka, na manzil ka ...


Subah uthu to jaise muje koi pyarbhari nigaah takty rehty hai, jaise raatbhar wo sotey nahi, mujme khoye khoye se rehtey hai, aur jab karwat loon, to meri latton ko apni ungliyon se hauley se uthakar, meri palkon par apne hoton se maddham maddham phoonk maarkar badey naazo se uthatey hai ...

Isliye bhi koi yahan rukta nahi ...
Log kehtey hai mere dil par unka Saaya hai ...

Saturday, February 14, 2009

~Tere khayal ki aabo-hawa mein jeetey hai~


Kabhi kabhi pee lety hu ...acha lagta hai
Kabhi kabhi nasha kar lu ... acha lagta hai

Bottle sari na sahi, ghutt ghutt hi sahi
Ghuttan se to ... acha lagta hai

Jab dimagh halka ho jaye..Hosh kho jaye
Hauley se jo haal hota hai ...acha lagta hai

Maine peeya nahi is waqt, na jaam chalka aaj raat
Lo ... jooth kehney mein bhi ...acha lagta hai

Ankhein bandh kar lu gar thori si charrh jaye
Nasheymand hokar, dil kholkar bolney mein ...acha lagta hai

Galay se madeera jab utarey seeney mein
Ghum boltey hai , tann doltey hai....

Achaa lagta haiiiii ......

~By Meg~