Friday, February 20, 2009

~Zindagi Ka Caravan~


Jeevan beet jaata hai palakein jhapaktey
Subah kabhi rotey, shaam kabhi hanstey

Tanha tanha log pal pal sisakkar
Roohon key sathi khwabon mein hai buntey

Humsafar paakar bhi jo khush nahi rehtey
Jahan jab miltey, woh wahin par bichartey

Raahein raahein phayley hai parbat, nadiyan, sang aur kaantey
Jisey chalna, tairna, udna na aye, wo gir girkar sambhaltey

Mausam banaa insaanon jaisa, pal pal hai rang badaltey
Kabhi garm, kabhi sard, kabhi bheena, shakhon se pattey bhi to hai girtey

Bichaye armanon se bhari sej jab koi dil machal machaltey
Duaon mein mangi chiz, jaaney kisey milty hai bina hath upar dhartey

Zindagi ka caravan badha chaley dar dar thokar lagtey
Safar khatm ho hi jata hai, sanson ki sham dhaltey

Jeevan beet jaata hai palkein jhapaktey
Bari der ho jaty hai aankhein malkar khultey ...


~By Megz~

25 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. shukriya meri justuju

    apke lafzon ne ek bar phir haunsla badhaya hai...

    aatey rahiye..acha lagta hai ... dhero pyar

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  4. gar khamashi se faa'idah-e-ikhfaa-e-haal hai,
    khush hoon ke meri baat samajhna mahaal hai

    yeh ghaalib hein
    ikh'faa-e-khaal(khaal ko chupana)
    khamashi(khamoshi hi hai lekin sher ka balance theek rakhnay ko word ko chota kar diya hai)
    mahaal(mushkil hona)
    yaani agar chupp reh ke hi is bat ka advantage liya ja sakta hai ke mera hal aur meri hasti chupi rahay, tu phir mujhay isi baat mein khush rehna chahiyay ke mujhay samajhna kitna mushkil hai aur shayed isi mein meri khairiyat hai..kion kaisa laga?

    ReplyDelete
  5. mann kahi tumharay liyay,

    dil laga kar hum yeh samjhay, zindagi kia cheez hai,
    ishq kehtay hein kisay aur aashiqi kia cheez hai
    haii yeh rukh'saar ke sholay,yeh baanhein mar'mareen,
    aap se mil kar,yeh do baatein samajh mein aa gayein
    dhoop kis ka naam hai,aur chandni kia cheez hai
    aapki shokhi ne kia,kia roop dikhlaaye
    hamein,
    aapki aankon ne kia, kia jaam pilvaaye
    hamein
    hosh kho bethay tu jana, be'khudi kia cheez hai
    aapki raahon mein jab se,hum ne rakha hai qadam
    humko yeh mehsoos hota hai, ke hein manzil pe hum
    koi kia jaanay, mohabbat ki khushi kia cheez hai

    ReplyDelete
  6. wah wah bahot khoob mere dost
    kitna pyara likha hai aapne
    kya ye waqayi aapka likha hua hai ... itne pyare lafz...jagjit ki ghazal yad aya isse...hosh walo ko khabar kya bekhudi kya chiz hai..ishq kijiye phr samajiye zindgi kya chiz hai...

    apke sher ki ye line behudd choo gayi...
    Aapki raahon mein jabse humne rakha hai qadam
    Humko ye mehsoos hota hai ke manzil pe hai hum...

    Isme raah ke badlay Rooh hota to kya baat thi ...

    likhtey rahiyega...khush rahein ... salamat rahein...jeetey rahein..

    :)

    ReplyDelete
  7. apke dusrey blog par bhi apko kuch likha hai
    :)

    ReplyDelete
  8. aap humse itna kyu dartey hai dactarni sahiba
    :)

    ReplyDelete
  9. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  10. aapke blog par bhi comment daaley hai humne janu

    ReplyDelete
  11. @Meri Justuju : Shayari share karney se koi kisika thori ho jata hai ...

    Chalo apke naam ye lafz mere likhey hue :-
    Zara Gaur farmaiyega ;)

    Jab laga mere dilpar unki nazaron ke kamaan ka teer ...

    Mera Ranjhaa hua deewana ... Saath hui baawri ye Heer ...

    ;)

    ReplyDelete
  12. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  13. @Meri Justuju:-

    Zehen ke khayalon mein
    Rooh ke ujalon mein
    Zindgi ke jheelo mein
    Zaat ke faseelon mein
    Ratjagon ke daman mein
    Khwahishon ke angan mein
    dilke khush sehra mein
    Chashm-e-tar ke darya mein
    Dard ke jahan mein bhi
    Ashk-e-bezuban mein bhi
    Aur kuch nahi rehta
    Teri yaad rehty hai ...

    :)

    ReplyDelete
  14. @Meri Justuju:-

    Kabhi ye zam ke tu mera hai faqat mera hai
    Kabhi ye darr ke tu mujse sar gira to nahi
    Kabhi ye dua ke tuje sarey jahan ki khushiya mile
    Kabhi ye khauff ke tu mere bagair khush to nahi

    ReplyDelete
  15. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  16. @Meri Justuju:-

    Uski ankho ka tabassum rahe kaayam ya Rabb
    Uske jeevan mein khushiyon ka basera kar de
    Tu meri karb ki raaton ko bhaley khatm na kar
    Uske har shaam ki akhir mein sawera kar de
    Uske dil ke kisi koney mein jagah de mujko
    Uski ankhon ko mere sapno se khaira kar de
    Ye mere dil ki dua hai mere malik sun ley
    Sari duniya se chupa kar usey mera kar de ...

    Luv U

    :)

    ReplyDelete
  17. @Kamli

    Mohabbat ek ehsaso ki pawan si kahani hai
    Kabhi kabeera diwana tha, kabhi meera diwani hai
    Yaha sab log kehte hai meri ankho mein aansu hai
    Jo tu samje to moti hai, jo na samje to pani hai

    ReplyDelete
  18. meri justaju,kuch tu khayal kar tu ne tu mera naam bhi le liya sar-e-mehfil,
    kuch tu pardah rakh.

    ReplyDelete
  19. sochnay ki baat hai meri pyari justaju ke meri har poetry hi romance bhari hoti hai ya phit.....tumhein cherna maqsad hota hai? nahin kia
    yeh mein ne nahin likha,pasand tha share kar liya,mein ne tu tumhari M ko dekha bhi nahin abhi tak..mujhay tum se dar lagta hai ke tum apnibaton se mujhay qatal na kar do

    ReplyDelete
  20. @pyari kamli...

    Lo ji
    humne nikal dia naam wala post ... ab thori sohni si muskaan la do mukh par ... hansney par tax nai lagta..kyu ji ..

    ReplyDelete
  21. apke blog par bina ka comment kese ?
    humne bhi comments dali hai wahan par...ab bina ke paas bhi pswrd hai apke blog ka ?

    ReplyDelete
  22. Ajj kal tumharee ek post per 20 sey ziada comments atey hien...:)...
    ye kesey ilfaz keheny lagi ho tum...
    k her kisi ko yahan kench latii ho tum..
    mey tu sochti hee rah jatii hon k kia likhon...
    k meri tu wesey bhee koi uukaat nahee...

    loved reading it though...:)

    ReplyDelete
  23. ye doctor logo ko kya ho gya hai
    mareez baney bethey hai ... chaliye hum sarey mohabbat ke mareez ikattha jakar ilaj karwatey hai ... bolo hai koi marham ..koi dawa ..koi kadha...koi lep ..jo dil ke ghaav bhar sakey ? duriyaan mita sakey ...dil ke tukro ko jorr dein ... humsafar ko aur bhi paas bula lein ... sanson se jorr de...baahon se jorr de...tann mann paavan kar dey ...

    kaashhhh ......aisa hota...

    :)

    ReplyDelete
  24. zindagi aur waqt ka karvan aagay hi barhta chala jata hai aur har shaam yeh raaz khulta hai ke aik din aur tamaam hua,shaam woh khoobsurat waqt jab, udaasi shiddat ke saath dil mein utarti hai...

    bujha saka hai bhala, kaun waqt ke sholay
    yeh aisi aag hai jis mein dhuan nahin milta

    ReplyDelete