Saturday, November 29, 2008

Dil nahi lagta kahin bhi...


Yahan har koi hai, par akela sa lagta hai...Mera dil nahi lagta ajkal kahin par bhi...Yun lagta hai jo paas hai woh door hai, jo door hai uski chaah hai ...


Yun lagta hai, jaise muje chorkar har koi khush hai zindagi se. Log kitne matlabi hote hai. Paison ki daud maine aksar dekhi hai, Par khushiyan hasil karne ki daud pehli bar mehsus ki. Yun lagta hai jaise is muqabley mein main haari haari si hu, thaki thaki si hu, aur shayad sabse peechey chal rahi hu...Logon ke beech rehna bhaata nahi. Jo aas paas hai unse jabardasti hanskar bolna padta hai, milna padta hai, ghulna padta hai. Jaise mere mutabiq kuch nahi chal raha. Meri khushiyan kisi aur ke hathon mein hai. Kyu mere bas ki baat nahi yeh ? Kyu jab chahu tab hans nahi sakti main?


Muje kuch acha nahi lag raha andar se. Ajeeb sa akelapan hai, ajab si ghabrahat hoti hai, ghutan hoti hai bheed mein. Yahan har koi apni parwah karta hai, dusrey ki nahi. Baatein bhi jaise ehsan karte hue karta hai, khana jaise ehsan karke parosta hai, ghumne koi ehsan karke le jata hai, meri baaton par bhi jaise ehsan karke hansta hai, sunta hai. "Formality" se bhari duniya, jahan koi kisika bhi nahi ho sakta. Aise mein kash Woh mera Apna mere paas hota. To shayad yun na mehsoos hota. Kash Woh mere liye bhi woh sab karta jo mohabbat mein ek shakhs dusrey ke liye karta hai. Ek aam ladki ki tarah mujhe bhi haqq hai aisi zindgi ke khwab dekhne ka. Sapney jo sajaye hai barso se, inhe poora karne shayad Woh ayega...


Woh intezar, Woh ek Umeed, mere liye gehrey samandar ke beech jaise tairty hui lakdi ka sahara hai ... Jisey pakad lia hai maine, thaam lia hai maine, jab tak kinaara na mil jaye ... !!!

Saturday, November 22, 2008

~Subah Se Shaam Tak Bojh Dhota Hua Aadmi~


Aadmi ko jeeney ke liye kya chahiye? Roti, kapda, makaan ? Itna to paakar bhi kaafi nahi hota ... Subah se shaam tak bojh dhota hua admi, phir bhi tanhaiyon ka shikar aadmi ...

Insan ko zindgi mein pyar chahiye hota hai. Kehtey hai, "you must love to get loved". Kayi aise hotey hai jo pyar detey hai, par unhe badley me milta kuch bhi nahi. Aur kayi aise hote hai jo sirf lena jantey hai, aur detey kuch bhi nahi. Maine dono kism ke log dekhey hai is jahanbhar mein...

Kaafi kaam baaki hai abhi to. 25 saal padhkar, bada hokar, kuch banney mein nikal jatey hai. Log phir bhi apni pehchan nahi bana patey. Sakoon kahan hai is bheed mein? In dino log shadiyaan bhi kartey hai bus ek saharey ke liye. Pyar ka sahi matlab jaise kho gaya hai kahin. Ajkal har koi sahara dhundta hai. Ek rishta tootey, to fauran dusra jod letey hai. Akele to jaise jeeya hi nahi jaata. Maa, baap, bhai, behen, parivar, ye sab naatey kyu kaafi nahi jeeney mein? Hum inki or kitna waqt de patey hai ? Kabhi fursat mein socho to lagta hai jaise hum khudgarz hai har naatey ko lekar ...

Zindgi bahot lambi hai, phir kyu na thakey koi raah mein chaltey chaltey. Sabko apne liye jeena hai. Har koi akela hai yahan. Sab hokar bhi koi nahi hota. Kal baithkar soch rahi thi, jaaney kitni sadiyon se mere andar ki rooh jeety aayi hai. Jaaney kitne janam liye hongey is rooh ne, aur kitni duniya dekhi hogi. Isey aur bhi aage sadiyon tak safar kartey rehna hai ... Kyuki rooh bekal hoti hai, woh na jeety hai na marty hai ... Bus subah se sham aur sham se subah karty hai ... Yun lagta hai jaise ab meri rooh thakk chuki hai...Isey mukammalpan ki talash hai. Haan! Aisa koi to jahan hoga...

JAHAN ISKA BANJARA SAFAR KHATM HOGA ... !!!

Tuesday, November 11, 2008

Kal aur Aaj !!!



Bachpan ke dukh kitne ache hote the
Tab dil nahi khilauney toota karte the

Woh khushiyan bhi jaaney kaisi khushiyaan thi

Titli pakar kar uchla kuda karte the

Apni naao aap dabokar paani mein

Kaise doob gayi ye socha karte the


Choti thi to choti khushiya bhi badi lagty thi
Dana daal kar chirhiyaa pakra karte the


Apne jal jaane ka bhi ehsaas na tha

Jaltey hue sholon se khela karte the


Ab to ek aansu bhi ruswa karta hai
Bachpan mein jee bharke roya karte the !!!

Friday, November 7, 2008

Ishq: La-hasil


Kya hoti hai mohabbat ? Ye ishq kisey kehtey hai ? Kehtey hai duniya chalty hai ek mohabbat ke balbutey. Khair isme bal kam aur boota boota, purjha purjha zyada hai. Gar isme itna hi bal hai to ye insan ko hilakar kyu rakh deta hai? Jhuk jata hai insan iske aage. Jitna bhagwan ke aage bhi nahi jhukta.

Yun to ishq ek khwab sa hai. Ye ek khwahish hai, tamanna hai, jis raftar se aaty hai, ussey tez chali jaty hai. Waqt door le jata hai, jaaney kis raste ghumm ho jata hai.

Theek likha hai likhnewale ne-"Aksar is duniya mein anjaney miltey hai, anjani raahon mein milkey kho jatey hai, lekin humesha woh yaad aatey hai ..."

Ajab khazana hai ishq. Shayad haasil sabko hai par raas sabko nahi !!!

Itmenaan se sochu to !!!


Kabhi khud se baatein karu to soch ke safar mein meelon door chali jaaty hu...Ek sawal dil mein baitha hai, kya hum apni zindagi apne hisaab se jeetey hai? Kya apni marzi se har kaam karte hai ? Shayad jesa chahe us tarah jee nahi paatey. Deewar aur bandhan mein jakdey hue hai hum sab. Khuli saans lene ko hawa nahi. Jee bhar jeeney ko fursat nahi. Khulkar muskuraney ko koi lamha nahi. Jeevan ki bhagdaur mein hum choti choti khushiyon ko pichey karke badi khushiyon ko talaashtey hai.

Ek bahot khubsurat picture dekhi thi pichley haftey, "Bawarchi"... Isey drama ke taur pe filmaya gaya hai, bahot achi seekh mili mujhe issey, mann khula kar dein, aur rishton mein pakeezgi daal dein aisi movie hai. Mauka milney par aap zarur dekhna !!!

Yahan videsh aakar kuch seekha hai maine. Alag bhes, alag rang, alag bhasha ke logo se parichit hokar ehsas hua, ki duniya ke har koney mein reet-riwaz bhalay alag ho, par har insan ki uljhaney, akelapan, tez raftar se badalty duniya mein jeet hasil karne ki daud, ajab si zindgi ki thakaan, ek jaisi hoti hai ...

Lakeeron ka khel, kabar tak ka safar, anjaan mustaqbil, jaaney kyu ye sawal humesha bila jawab rahega ...

Ek choti si koshish - Aisa Koi Nahi


Aisa koi nahi jinka koi sapna nahi hota
Parakhney se kabhi kahin koi apna nahi hota

Wohi jaata hai samundar paar jinhey doobna ata ho
Kinarey pe jeena koi jeena nahi hota

Na dhundo kisi ki shakl mein ek shakl bhooli si
Tumhe wohi mil jaye aisa kabhi nahi hota

Hazaron dastaaney ankahi, dilon ki baatein ansuni
Sunkar bhi koi samaj paye aisa kahin koi nahi hota

Sakoon roohon ka is jahan mein kahan
Tabeeb har rog ka ilaaj kar paaye aisa kabhi kahin nahi hota

Ek khwahish saatwey asmaan tak pahochney ki karta hai har koi
Par woh pairon ki zameen talay mil jaye aisa kabhi kahin nahi hota

Guzrey lamhon par ek nazar !!!


Har lamha kuch laata hai, aur kuch lekar jaata hai. Kabhi yun lagta hai waqt ko rok loon, to kabhi jee karta hai waqt jaldi beet jaye. Ye khel bhi anokha hai na !!! Ye bhi dil ki dhadkano ki tarah bekaabu hota hai. Chahney se kahan kuch hota hai.

Pichley kuch saalon par nazar daalu to lagta hai, kaafi kuch khoya aur kuch kuch paaya bhi. Is tarazu mein tolne bethu to khoney ka palna janey kyu bhari nazar aata hai. Rabb ne sabkuch diya, har khushi di hai muje. Bus ek dil janey kyu kamzor dia. Samet na pau utni mohabbat, utha na pau woh ehsas aur jazbaton ka bojh, seh na pau woh ghum, bayan na kar pau woh zaban di hai. Khilauney mein bhi chabi hoti hai, jab baccha thakk jaye ya ubb jaye woh use bandh karke baju mein rakh deta hai. Ye chaltey hue khilauney se khelta har koi hai, par chabi sirf uparwale ke hathon mein hoti hai. Apni marzi se kaun isey bandh kar paya hai, beshaqq oob janey par baju mein rakh dia hai.


Beetey lamhon ne kaafi kuch sikhaya. Naye rishton ke sath naya tajurba. Haunslon ke balbutey jeetey aaye hai rishton ko. Imtehaan dekar thakk jaty hu kabhi kabhi, par imtehaan lene wala thakta nahi kabhi. Har koi aakar azmaa leta hai, gar guzar jaye imtehan se to tik jaty hai rishton ki dor, gar jhultey raho to doob jaty hai naiyya. Ubharkar bhi kaun jee paya hai, doob kar bhi kaun marr paya hai ??

Suno ! Kuch main bhi kahu ?



Kayi bar insan sochta hai, apne dil ki baatein woh kisey jakar kahe? Kaun hai jo sunta hai is masroof duniya mein. Kaan hai, deewarein hai, bheed hai, apney hai, paraye hai, har koi hai, par bus waqt nahi hai ... Hazaaron rishtey naaton se juda insaan, adhura ka adhura hota hai...jaise aata hai, waise jaata hai. Ek kagaz ka tukda, aur ek siyaahi se bhari kalam uthakar kuch likhne ko jee chahta hai.

Main ek aam si ladki, na koi khaas pehchan, na koi bada naam, bus laayi gayi hu duniya mein, jeeney chand subah aur shaam. Zabaan se jo kuch na keh pau, main lafzon mein utarkar yahan bayan karna chahungi. Ye zariya bhi ek khaali ghar ki chaar deewaron sa hai, jo har dil ki baat sunta hai, par bolta kuch bhi nahi. Aisa koi shakhs nahi jo dusrey ke dil ko jaan sakey, chahe wo kitna hi kareeb kyu na ho.

Waqt badalta hai, Aur insan ka rang bhi. Haan, shayad isi liye bezabaan, bejaan cheezon ki zarurat padty hai haal-e-dil bayan karne ke liye. Raat ko takiya lekar soti hu baahon mein, to yun lagta hai jese dil ko chukar, sari baatein usne sun li meri. Jab sar chupakar usey chehrey se chuty hu to lagta hai aansu apne aap poch gye. Jab koi ped ke neechey bethty hu to lagta hai wo tah-e-dil se sunta hai meri ankahi dastaan. Jab pani mein patthar fenku to lagta hai, wo meri soch ko sunta bhi hai aur mera phenka hua vaar sehta bhi hai. Jab kitab kholu to lagta hai woh mujse kuch kehty hai, kuch sunty hai, jese guftagoo karty ho ek zinda dil ki tarah.

Rabb ne bhi gazab duniya banayi hai !!! Zinda dil ko patthar banaya hai aur bejaan mein jaan daali hai ...