Saturday, November 22, 2008

~Subah Se Shaam Tak Bojh Dhota Hua Aadmi~


Aadmi ko jeeney ke liye kya chahiye? Roti, kapda, makaan ? Itna to paakar bhi kaafi nahi hota ... Subah se shaam tak bojh dhota hua admi, phir bhi tanhaiyon ka shikar aadmi ...

Insan ko zindgi mein pyar chahiye hota hai. Kehtey hai, "you must love to get loved". Kayi aise hotey hai jo pyar detey hai, par unhe badley me milta kuch bhi nahi. Aur kayi aise hote hai jo sirf lena jantey hai, aur detey kuch bhi nahi. Maine dono kism ke log dekhey hai is jahanbhar mein...

Kaafi kaam baaki hai abhi to. 25 saal padhkar, bada hokar, kuch banney mein nikal jatey hai. Log phir bhi apni pehchan nahi bana patey. Sakoon kahan hai is bheed mein? In dino log shadiyaan bhi kartey hai bus ek saharey ke liye. Pyar ka sahi matlab jaise kho gaya hai kahin. Ajkal har koi sahara dhundta hai. Ek rishta tootey, to fauran dusra jod letey hai. Akele to jaise jeeya hi nahi jaata. Maa, baap, bhai, behen, parivar, ye sab naatey kyu kaafi nahi jeeney mein? Hum inki or kitna waqt de patey hai ? Kabhi fursat mein socho to lagta hai jaise hum khudgarz hai har naatey ko lekar ...

Zindgi bahot lambi hai, phir kyu na thakey koi raah mein chaltey chaltey. Sabko apne liye jeena hai. Har koi akela hai yahan. Sab hokar bhi koi nahi hota. Kal baithkar soch rahi thi, jaaney kitni sadiyon se mere andar ki rooh jeety aayi hai. Jaaney kitne janam liye hongey is rooh ne, aur kitni duniya dekhi hogi. Isey aur bhi aage sadiyon tak safar kartey rehna hai ... Kyuki rooh bekal hoti hai, woh na jeety hai na marty hai ... Bus subah se sham aur sham se subah karty hai ... Yun lagta hai jaise ab meri rooh thakk chuki hai...Isey mukammalpan ki talash hai. Haan! Aisa koi to jahan hoga...

JAHAN ISKA BANJARA SAFAR KHATM HOGA ... !!!

1 comment:

  1. Rooh...esa nahee k rooh jeeti nahee, haan albata rooh martee nahee ye sahee hey...wo bus jeay jatee hey, safaar kiey jatee hey...mukamalpun ki talash mey hey, mugar...
    is dunia mey aney ka bhee tu yehee maksaad hey, wo isi talash mey aii thee is dunia mey, mugar yahan atey hee dunia ki ranaion mey khubsortee mey, aram mey, araish mey gum ho gaii..aur jo maksaad tha usey bhool gaii...
    mukamalpun ka rasta tu tab hee miley na tab usey talash kia jay...!!

    ReplyDelete