Friday, November 7, 2008

Itmenaan se sochu to !!!


Kabhi khud se baatein karu to soch ke safar mein meelon door chali jaaty hu...Ek sawal dil mein baitha hai, kya hum apni zindagi apne hisaab se jeetey hai? Kya apni marzi se har kaam karte hai ? Shayad jesa chahe us tarah jee nahi paatey. Deewar aur bandhan mein jakdey hue hai hum sab. Khuli saans lene ko hawa nahi. Jee bhar jeeney ko fursat nahi. Khulkar muskuraney ko koi lamha nahi. Jeevan ki bhagdaur mein hum choti choti khushiyon ko pichey karke badi khushiyon ko talaashtey hai.

Ek bahot khubsurat picture dekhi thi pichley haftey, "Bawarchi"... Isey drama ke taur pe filmaya gaya hai, bahot achi seekh mili mujhe issey, mann khula kar dein, aur rishton mein pakeezgi daal dein aisi movie hai. Mauka milney par aap zarur dekhna !!!

Yahan videsh aakar kuch seekha hai maine. Alag bhes, alag rang, alag bhasha ke logo se parichit hokar ehsas hua, ki duniya ke har koney mein reet-riwaz bhalay alag ho, par har insan ki uljhaney, akelapan, tez raftar se badalty duniya mein jeet hasil karne ki daud, ajab si zindgi ki thakaan, ek jaisi hoti hai ...

Lakeeron ka khel, kabar tak ka safar, anjaan mustaqbil, jaaney kyu ye sawal humesha bila jawab rahega ...

2 comments:

  1. javab miley ga..mugar wakat aney per...her javab ka bhee ek khas wakat hota hey.

    ReplyDelete
  2. sahi keh rahe ho aap ... socho jawab mil jaya karte waqt se pehley to kya hota ?
    ye bhi ek sochne layak sawal hai :)

    shayad jo hota hai ache ke liye hota hai ... anjaan wajah chupi hoti hai har nateejey k piche...

    ReplyDelete