Sunday, August 30, 2015

Kaali Tanhayee

Nafrat si ho gayi hai
Ye zindagi ka daur
Ye bekaar se din raat
Guzarta hua har ek pal
Ye kaanton se bhari raah
Ek ek shakhs jo
Mujhe zindagi naa jeeney ko uksaata hai
Urooj par hai sehne ki sari quwattein
Oob gaya hai dil
Chubhta hai waqt ka har ek sirra
Mohabbat ke badle milta hua maar
Mithey lafzon ke badle har-su ughalta zeher
Mujhe dunia se bahot door kar raha hai wo shakhs jo meri qurbaton me hai
Sab fareb hai
Mere seeney ka sara bojh utaar dun kahin jaakar
Jo jitna khaali hai andar se
Woh utna bojhal kyun hai ?
Khoney ko bhi kuch nahi
Paaya bhi kuch nahi
Daba hai koi rog gosha e dil me
Ghar kar gayi hai kaali tanhayee
Jaise poorey wajood par laanat bhej gaya ho koi ...
Naa kar sitam

.... ab aur nahi

-Kashish Khan

Tuesday, August 18, 2015

Majdhaar Bekinaar







Kahin sehraon mein abr hai
Kahin samandar mein pyaas hai

Koi bhanwar ley doobega
Mujhe kinaarey ki aas hai

Kahin jungalon ki jheel mein
Sakoon bhar saans hai

Kabhi shehron ki bheer mein 
Khaufnak ehsaas hai

Na baayes-e-musarrat koi
Na lams-e-mohabbat paas hai

Hue kuch yun pamaal-e-safar
Na aghaas suhaana

Na anjaam-e-khaas hai

~Kashish Khan