Saturday, February 23, 2013

Main aisi mohabbat


Main aisi mohabbat karty hun 
Rooh ke har qatre se tumhari talab karty hun

Sehra sehra hai meri zindagi, mera jahan
Bas samandar ho jao, minnat ab karty hun

Hum dono thakk chukey hai hijr ke in mausamo'n se
Aao maqam-e-sifar se tumse phir mohabbat karty hun ....!!!

~Kashish