Saturday, January 30, 2010

~Keh gaya woh jate jatey ~


Deke bewafai ki sogatein
Keh gaya woh jatey jatey
Tujse kiya main har wada nibhata
Gar raah chalte kisi aur ka na ho jata

Ussey hai ab mere din raatein
Kamlidiyan gallan kamlidiyan batein

Uske khwab dekhey meri do ankhein
Pyar hi pyar hai uski do baahein

Afsos tujme nahi woh adayein
Jo kheechkar mujhe paas bulayein

Laut jaa aye baawri deewani
Khatm kar ab mohabbat ki kahani

Tujse nafrat hai muje kaise samjhau
Tu marr bhi jaye to main paas na aaun
~Meg

Wednesday, January 27, 2010

...


Tujhe khokar bhi hai chaha tujhko is kadar se

Kisi aur ka hokar bhi tu mera Khuda hai ek Umar se

~Meg

~Teri hairaan si baatein...Gazab ki sogatein~


Log to aksar kehtey hi the
Par tumne bhi aaj keh diya
Khush rehna seekho sada
Shart itni ki mere bina
Zindagi tujhe kyaa hi mila
Dekar mujhe unka patta
Tanha to main pehle bhi thi
Dasht mein phir kyu gul khila
Tum chahtey ho main
Ho jau tumse paray
Kab na maani baat tumhari
Rooh bhale jiye ya marey
Kabhi kehte the tum mujse
Tum kisi aur ki na hona
Dulhan bann jaogi
Torkar mere dil ka khilauna
Aaj hairan hun teri baatein sun
Jo mere dil pe hai lagi
Asaani se keh gaye tum
Main ab nahi tumhari dillagi
Aisa manhoos khwab bhi na ho
Jahan tum aakar ye kaho
Ki tujhe kisi aur ki hai hona
Mere paas khali nahi ab dilka wo kona
Par Jaan mere ...ek baat sun lo
Meri mohabbat ko lekar
Tum pareshaan na ho
Khwab hoon main tera
Chahe ankhon se fanaa kar lo
Par haqeeqat ho tum meri
Naa kaho...Tum jiyo aur sans bhi na lo

~Meg~

Saturday, January 23, 2010

~Banjara~


Behty nadiya ki main ek dhara
Nikal padi hu bann apna sahara
Ab na koi manzil ... Naahi kinara
Na humsafar koi ... Bas Safar Banjaara !!!
~Meg~

....Kashmakash


Dinbhar mein bas itna kar patey hai

Khud ko sambhaltey hue Pal pal guzartey hai
Badi mushkil se sham tak usey zehen se nikaltey hai

Aur din charhtey hi woh phir yaad aatey hai
~Meg~

Thursday, January 14, 2010

~Tu Safar..Tu Carvan~


Koi tujsa kahan
Mere sitam meri jaan
Meri zindagi ka tu
Safar Tu carvan
Teri bahon ke gherey mein
Shamil mere dono jahaan
Tu meri sham-o-sahar
Tu hi zameen asmaan
Safar ke akhri mod par
Main chahun teri panah
Qayamat ki raat
Phir na hona tum juda
Azmaaish ke safar mein
Mujhe kiya kyu fanaa
Dharkano se pyar nichorkar
Tujhe chaha tha jaan e jahan
Ab to khwabon se bhi apne
Main rehty hu khaffa
Mere bas mein kahan
Mere jind te jaan
Mere subo-sham ki
Suno ye dastaan
Shab dhaltey hi burey khwab aatey hai
Khwab ho suhaney to raat toott jaty hai
Isi kashmakash mein meri
Sahar ho jaty hai
Tujhe chu lu ek roz
Meri dilli hai tamanna
Tere baazuon ke manind
Mukammal ho sanson ka carvan ....

~Meg~