Sunday, December 9, 2012


Literature parhne wale log practical nahi hote
Kitaabon ke sath jeeneywale log khwabon ki duniya me rehtey hai
Main theek thaak hun jahaan bhi jis haal mein rehty hun
Chahey khwabon mein jeeyun 
Chahey practical naa rahoon
Chahey apni alag duniya mein behis basar karun
Makaan-e-zaat me itmenan se katt raha hai safar raah-e-zindagi ka
Pur-sakoon hoon
Khush hoon
Kaifiyat-e-wafa ka mohar hai mujpar
Issey barhkar kya hi kamayee hai meri ...!


Aur phir Zindagi se agar khwab nikaal dein to baki kya reh jaata hai ?
Gar Khwaab taqleef detey hai
To phir haqeeqat bhi toh dety hai ........ !!?

~Kashish

Thursday, September 20, 2012











                                                                                                                    

Andar se khamosh hun
Phir bhi lafz hai kuch kehtey
Zindagi to jeeni hogi
Sab kuch sehtey sehtey 
Waqt ke saath saath
Aao ismey behtey 
Mera dil bujh raha hai aaj
Aye kaash koi paas aakey bethey
Akele chal padi hun kisi raah par
Bhari duniya ke saath rehtey 
Kya main bhi hun kisi ki aarzu 
Kya meri bhi hasrat hai kisiko
Kya main hun zaroorat kisiki
Koi aakar mujhe keh dey .... ! 

~Kashish

Sunday, April 1, 2012


Likha tha maine muhabbat ka afsana
Bheja tha paigaam likhkar lafz-e-jaana
Parha jo khatt to unka ye sunaana
Muhabbat baad me karna
Pehle khatt dhangg se likh aana
Maine kaha unsey
Harf harf ye afsaana
Kitna mushkil tha mera yun bayaan kar jaana
Mera haunslaa jutaana phir tum tak pahochana
Unka haathon mein mujhe phir khattt ka thamaana
Mera unsey jazbaat-e-dil ka jataana
Ke galtiyon pe na gaur farmana
Is gunche ko na suljhaana
Aakar ek bar jaan e jaana
Bas meri saanson mein ulajh jaana !!!

~Kashish

Friday, March 30, 2012


Ajeeb mausam ho chala hai meri jaanib
Dariyaa Hawayein phoonk rahi hai
Khirki ke dareechey se siskiyan nikal rahi hai
Pal thehra hua sa lagta hai
Bheetar gazab khamoshi hai
Ek ghabrahat si hai dil mein ...Becheini ki lau tez ho rahi hai
Sansein loon to rooh tharraty hai
Aise mein do hi soorat nazar aaty hai
Ya to koi aaney ko hai ... Ya koi bicharney wala hai
Shayad main khoney ko hun aur woh paaneywala hai ... !!!

~Kashish

Tuesday, March 27, 2012


Tumhare ehsason mein doobi hui hun
Khud se paray, tum mein jaa basi hun
Meri rooh pe apne naksh chorey hai tumne
Katra katra tumhare rangon mein rangi hun
Main kahin tutt na jaun aaj ...bikhar na jaun
Thakaan se choor hoon...itni ranjoor hun
Ye intezar ke lamhe
Ye pathreeli ankhein
Kuredtey hue maazi ke pal
Na behla paun jee ko na sehla paun
Tum aa jao ke mukammal saans ley paun
Aaj apna aap chor kar tum mein sama jaun
Mera koi aur nahi ...Bolo main kahan jaun
Mujhe qurbat dey...Mohabbat dey...
Fanaa kar mera wajood ...Apni rooh mein dabo dey ...!!!

~Kashish


Tuesday, March 20, 2012


Uski qurbat,hasrat aur mohabbat humey zinda rakhty hai
Aur usey zinda rakhty hai uski berukhi, bewafai, sangdili

Woh gar mohabbat na karey to hum marr jayenge

Aur gar woh berukhi naa karey to khud marr jayega !!!

Hum to seh lengey ..Woh na seh payega
Isliye kehtey hai ... Zulm dhaya kar... Sataya kar...Rulaya kar...!!!

~Kashish

Sunday, March 18, 2012


Na silsila-e-rabt rakha ... Na usney aas rakhi
Ab to khwab dekhkey bhi hai aankh thaki...!!!

~Kashish