Saturday, February 21, 2009

~Judaiyon Ka Mausam~


In dino har jagah manzar udas sa lagta hai. Miley hue dilon mein meelon ki judai si lagti hai. Janey kaun si hawa chali hai mausamon mein, sabz manzar hai, dil ki zameen banjar hai. Baatein to kartey hai ek dusrey se, phir bhi anjan si lakeer kheechi hui si lagty hai. Kaisa ajab sa dastoor hai, kahin anjaan milkar ghanto baatein kar letey hai, kahin apney ghanton bhar milkar bhi ek baat nahi kar paatey. Kuch ukhrey ukhrey se dil, be-sakoon si roohein, be-mol se sarey lafz, janey kahan chala hai humara ye kaafila. Jahan bheed hai wahan dil bezaar sa hone lagta hai, jahan tanha baithey wahin dil roney lagta hai. Kahin shikwey giley beshumar hai. Kahin tootey aitbaron ki dastaan hai. Kacchey dhaagon ki dor se bandhey ye sarey rishtey, koi sambhaley to kaise? Jatan karey to kaise ? Yaadon ke khazaney, lafzon se bhara zehn o dil, har pal taro tazaa paida hotey ehsaas aur jazbey...na zinda rehney dete hai, na bhoolney dete hai...Ye kisi din apne sath hi jayega... Bas ab wo sab mera hai jo tuney diya hai...


Hairaan hu ye sochkar, rishton ka tawaazun naapney gar baithu to sauda bada na-insafi lagta hai...


Ek maamuli se Dil deney ke badley qarar mein Senkdo heerey moti (mohabbat aur dard ka package) jholiyaan bharkar daaman mein aa girty hai ...


Wo bhi mila jo an-chaha tha, aur wo bhi mila jo mann-chaha tha...



9 comments:

  1. Yes Meghz...the feeling is mutual..ye hava mujhey bhee cho gaii hey...

    ReplyDelete
  2. Judge sahiba,

    tamaam halaaton aur sabooton ke mat-e-nazar rakhtey hue hi ye adalat ne aisa post pesh kia hai ...

    hum sab chashm-deeth gawah hai haal-e-dil ke...albatta sarey gunah-e-mohabbat ke mujrimon ko saza farmayi jaty hai ki apne dilon ko thama ley...jazbon ko quaid kia jata hai .. saza-e-ghum farmaya jata hai ... Gunah itna bada hai mohabbat ka ki kabil-e-maafi ho nahi sakta ...

    Aaj ki adalat yahi samapt hoti hai ... aur dil me dabey sarey ehsason ko riyaah kia jata hai ...

    Aj ki adalat yahin darkhast ki jaty hai...

    ;)

    ReplyDelete
  3. [i]
    hey rano lado paro see meghu..
    nhin bhoolty tm ko kabhi bhi........
    tm khud hee chali jaty hoo kahin door...dooor..
    main tu yahin hoon..na
    aur tm bhi sam ak dill na torro......
    she s vry unhappy bcz of all.......
    koi khush reh hee nhi sakta aik doojay k bina,,tu kahay k jhgray.......???????
    so..all r frnds again...
    sam ko bhi bula lo..
    kabhi kabhi haaar maaan k bhi jeeeta jata hay..
    u the victorious queeen!!
    lafssss
    !!!!

    ReplyDelete
  4. orkut queen bina ji
    apka Italic bold nahi chalta yahan par....hehehe...[i] lafsss ...

    hanji hum poori koshish kar rahe hai sabko khush rakhney ki ... khudko, dosto ko aur apni mohbbt ko bhi...jitna ho sakega utna karenge....

    zindagi milke bitayenge, haal-e-dil gaakey sunayenge...hum to 7 rang hai ...ye jahan rangeen banayenge...whooo hoooo ....

    ab chalo pooch rahe ho 7 rang kaun hai to bata dety hu...

    Sam
    Meg
    Rab
    Zah
    Sar
    M
    ___ rishton ki complexity aur sophistication badhaney gar 7th no.pe koi ana chahey to aa jayega....hahahaha..lolzz....filhal hum 6 kaafi hai na ...

    ReplyDelete
  5. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  6. pyari mann kahi,
    yar kahan ho? savaal gumm javaab gumm?

    ReplyDelete
  7. hum bhi idhar
    humara humsafar bhi idhar
    aur hum sabke safar bhi idhar
    phir hum jayenge kidhar ?
    dasso ...dasso...bolo ..tello ...

    mene to socha tussi hi gayab.com ho jabse dost purane mil gye...blog pe ana chor dia..aur aatey hai log to humari coment pe coment nai karte

    :( udas mann kahi ...

    ReplyDelete
  8. agar sam ijaazat de? tu mein aa'oon na

    ReplyDelete