Friday, February 20, 2009

~Ek Chand:- Sau Jawan Dhadkano Ki Hasrat~

Aye Chand tu bhi kya dhaata hai
Aye Chand tu bhi kya dhaata hai
Bachpan mein mama
To jawani mein sanam nazar aata hai ...




Yeh Chaand bada man-mauji hai
Khudke buzurg (Sun) se roshni churaate
Baadalon mein chupte chupaate
Nigehbaani se bachtey bachaatey
Shaagirdi se door
Tanha tanha raaton ke ghanghor pehron mein
Safed rang ki chand daagon se rangey pehran mein
Dabey dabey paon se, aahat ki chuppiyon mein
Pahunch jaata hai jawaan mehfilon mein
Kisi shayar ki ghazalon mein
Kisi mehboob ki misaalon mein
Khilauney ki zidd pe adey hue phool jaise bacchey ki aankhon mein
Suhagan ke Karwa chaut ki raaton mein
Samandar kinarey bahein jorkar baithey hue pyar mein doobey dilon mein
Raaton ko junglon se safar karnewale thakey musafir ki thakaanon mein
Ya phir, Khidki ke zariye
Pahunch jaata hai kisi mah-jabeen ke kamrey mein
Urtey hue reshami pardon ke kinaaron se
Taareefon ka aaina liye...
~By M~

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ek aisa hi Sooraj par bhi ho jaye:


Suraj bhi bewafa sa lagta hai

Aata hai Roshni ke sath

Rehta hai Kiran ke sath

Ek tinkey sa hissa deta hai Jyoti ko bhi

Sulaghta hai Diya ke sath

Dhal jaata hai Sandhya ke sath

Aur Sirhaaney sota hai Chandani ke sath


Dekho kitno ke sath rehta hai ye sooraj

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kabhi ki hogi Suraj ne Chand se mohabbat
Tabhi us Chand mein daag hai
Mumkin ki hogi Chand ne bewafaii
Tabhi Suraj mein itni aag hai ...
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

6 comments:

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  2. chand pe to kitney hi gaaney hai na :

    Aaja sanam madhur chandani mein hum tum miley to veeraney mein bhi ajayegi bahar ...

    Dheerey dheerey chal chand gagan pe ...

    Issey wo chatt pe gaya hua wo pyara gana bhi yaad aya- tera mera pyar amar, phir kyu mujko lagta hai darr...mere jeevan sathi bata, dil kyu dharkey reh rehkar...

    Kafi pyarey gaaney hai pyare se chand par... chand mein to har koi apna sanam dekhta hai na ... kudrat ki sabse khoobsurat rachna ... har kisike dil ki hasrat ... chand har kisika hai ... :)

    ReplyDelete
  3. wah,wah. subhanallah! kitna luvy,duvy, stars, moon, roses wali luv, woh bhi meray ba'ghair!
    koi bat nahin mann kahi, aab tumhein kuch yad nahin raha ke
    woh jo ham mein tum mein qarar tha, tumhein yad ho ke na yad ho, wohi yani wadah nibhah ka tumhein yad......

    allah mein kia karoon, yeh aansoo'on ka salaab mujhay baha kar maliya mate na kar de! duaa'on mein yad rakhiyay, agar mohabbat mein nahin rakh saktein tu...

    ReplyDelete
  4. dartay dartay pooch loon? aap ka mujhay msn pe add kar ke jootay laganay ka program tu nahin?
    mein bohot darpoke hoon aur dil bhi koi khaas mazboot nahin,
    aap ne meri kisi shararat pe mujhay dant'na tu nahin?
    agar aapko ya meri justaju ko kuch bura lag gaya tu mein aap donon se haath paa'on jor kar aur kaan pakar ke unconditional apologies ke liyay tayyar hoon, woh mein ne dekha ke aap donon ke darmiyan situation thori thandi thi tu socha kion na catalyst ka kaam karoon, kabhi socha app ne ke mohabbat ke liyay zindagi kitni choti hai?
    tu bas itni si bat thi, aap donon ko khush dekh kar aur paas dekh kar mujhay bohot acha laga aur meri justaju ko bhi mera bohot ziadah pyar kahiyay,khuda unhein meri umar bhi laga de.
    yeh sab mein ne seriously likha hai ab mein koi mazaq nahin kar rahi,
    meri justaju ko mujh pe ghussa aaya,unhon ne mujhay ghatya ya jo bhi kaha, mein bura nahin manti aur insan ko mohabbat mein tauheed ka hi qaa'il hona chahiyay. chalo kisi bahanay aap log qareeb tu ho gayay phir se,dobarah kabhi na larna donon.. theek!
    donon ko luv,hugs and kisses

    ReplyDelete
  5. hanji
    assi jantey the apka catalyst banna... cherh charrh karna ...mohbbat ek din mein thori hoti hai ..wo bhi muj jesi ladki se to bilkul bhi nahi...wo to meri justuju diwaney hai...janey kya dikha hoga mujme ... :)

    chalo apologies accepted...but daantna nahi tha ..maine to chat karke apko janna tha bas ... aur to koi baat nahi ...

    nazuk nazul dilwaley log ... add kar lo :)

    ReplyDelete