Thursday, February 19, 2009

~In dino kuch yun mehsoos karty hu~





Pairon mein wazni lohey ki zanjeer baandhi ho jaise. Uthakey do kadam gar aage badhana chahu, aur chaar kadam peechey ho jau. Kuch andekha zor mujpar jadu kiye baitha hai.


Sehar hotey hi angrayi lekar koshish ke sath bistar par baith to jaty hu, kambal hataakar jab uthney jau to yun lagta hai jaise main soyi hi kab thi, ankhein thaki ki thaki, chehra maayus, badan pani pani, aaiyna dekhney se katraati nazrein.


Almari kholu aur kitna waqt yuhin khadi reh jaty hu, na koi soch dimagh mein, na koi khayal. Koi kehta tha kabhi, tum jo rang pehno wo mausam ka rang. Poochtey the aaj mausam kaunsa rang liye aya hai. Ab sochna padta hai, pehnu to kya pehnu, kya aaj aankhon mein kajal laga lu? Shayad aankhein bejaan na lagey. Zehen mein uthey sawalon se nipatney mein waqt lag jata hai.

Ghar se college tak, college se office tak, office se ghar tak ka rasta asaani se kat jata tha baatein karte karte.

Yun to main khuli kitaab hu, jiski ankahi dastaan kitne hi dilon ki dastaan bayaan karty hai. Par jab panney phattney lagtey hai, tab inhe sanwarna mushkil ho jata hai, dhool jamney lagty hai, lafz dhundla jatey hai, seeyahi mitney lagty hai aur rang urr jatey hai...

Pehley bhi kuch yuhin kaha tha apney baarey mein ...Lo, dohra doon to kya ranj hai ...

" Dhool ki hirasat mein palty hui alehdi kitaab hu main,
Nazar phirakar palat sako panney to padh lo ...!!! "

8 comments:

  1. yeh tune likha hai ya kahi se liya hai ??? ...kafi achi hai yeh poem ...pretty gud ...but does it mean ki tujhko aise feel ho raha hai abhi?

    ReplyDelete
  2. baatein bhul jati hai ..yaadein yaad aati hai ..yeh yaadein kisi dilojanam ke chale jane ke baad ati hai.........

    ReplyDelete
  3. lolz...richhhhhh
    ofcourse written by me na...yahan blog par to apna hi likhtey hai na ... its meri ankahi dastaan ... kisi aur ki nahi...paglott ..

    ReplyDelete
  4. haan richa
    yehi sab mehsoos karty hu ... meri unse roz roz baatein hoti thi raste pe chaltey hue, roz puchtey the muje kya khaya,kya pehna,kuch ache se khaya karo,sirf coffee se kaam nahi chalega ...etc etc .. kafi kuch yaad aata hai na ... subah uthkar sleep seems incomplete ...i do get up at nite many times,ankh khul jaty hai kafi bar.then i see the time,then again sleep..usualy i wake up before alarm goes on ..pta nahi aisa kyu ...

    aur ye koi poem nahi beta ... ye likhe hue lafz hai, meri dastaan ... tere pallay padney se rahi ...

    ;)

    ReplyDelete
  5. sab samajhti hu ...sab jaanti hu ..tere saath jo rehti hu ..par ab aise lagne laga hai jaise bahot hogaya yun tanhaiyon mein jeena....waqt beet jata hai beete lamhe yaad aate hai ...

    beete waqt ki parchayiyon se nikal kar ek naayi subah ki ore chalo ...jaanti hu ki waqt lagega ..itna asan nahi hota bhulna ..magar tumhare jasbe ki kadar karti hu ...tumhari himmat ki daat deti hu ...


    lol .. kaisi hai meri urduuuuuu ;)

    ReplyDelete
  6. lolzzzzzz ....

    how cuteeeee .... wah wah richa...

    aapne to behudd pyara urdu likha hai ... kabhi kabhi samaj nahi aata hum urdu likhtey hai ki hindi...dono ek jaise lagte hai ... bahot meetha laga tera yun bolna ... keep posting ...acha laga muje...fikr mat kar..main tujpar hasungi nahi :)

    Naye parindo ko udney mein waqt to lagta hai ...

    luvss 4 u ... jhappi k sath ...

    ReplyDelete
  7. Haan Richa bohat hee piara urdu likha hey, bohat acha laga parh ker, abb likhti rahna, tumhey khud ko kesa laga?

    the best line was...>tumhare jasbe [jazbe] ki kadar kerti hon...:)

    ReplyDelete
  8. hahaha

    haan jazba hota hai woh ... Ek aur cheez pe dhyan nahi gaya shayad apka... usne likha hai -
    tumhari himmat ki daat deti hu ...

    Daad hota hai daat nahi ... apko uske daat(teeth lolzz) se masla nahi ...? hahahaha...lagta hai dactarni daat ki nahi hai islye ...ya phr daat ki dactarni se dosti badi achi hai apki..lolz..

    chalo hopefuly wo likhty rahegi yhan urdu mein..wese ussey zyda time nai bola jata humare jese...ek do lafz likhkar fir wo tapori hindi bolne lagty hai..lolzz..

    ReplyDelete