Tuesday, February 17, 2009

~Dil Ka Mausam~


Aaj bahar mausam kuch mere dil ke mausam jaisa hai. Badalon ki lapet mein asman hai. Jaise dharty ne kaala rang pehna hai. Haalan'ki ye rang meri mohabbat hai, par Asmaan to neela hi acha lagta hai.

Aaj sawerey jab ghar se nikli, to rasta sunsaan tha. Subah ka pehr, 7 bajey, har taraf andhera tha, jaise koi tufaan aaney wala ho. Khauffnak manzar se mera dil baitha jaa raha tha. Haunsla karke kadam badhatey hue chal padi apni raah par. Gaur farmana, mausam bahar ka aur mere dil ka ek jaisa tha. Tez barish jaise dabb gayi ho. Boondein bas rimjim phuhaaron si aa aakar chehrey ko chooye jaa rahi thi. Geeli geeli si zameen aur bheeney bheeney se ehsason se bhara mera dil, hu ba hoo ek jaise the.

Ye din ki kaisi shuruat hai ? Ye kaisa mausam hai ? Ye kaisa rasta hai...Main kahan chal padi hu...Meri manzil kaunsi hai ... Yaa to barish tootkar gir padey, mere tann mann ko bhigo dey...Ya to tufaan wahin thamm jaye ... Yun dekho to dono mausam raas nahi aaney mujey... Bina barish zameen sookh jayegi, sansein rukk jayegi, rooh ghutt jayegi ... Aur gar aa gayi barish tufaan liye, to kuch nahi bacheyga ...

Ya Allah, rasta asaan kar dey, ya safar khatm kar dey !!!

12 comments:

  1. tumhey pata bhee na chala k tum ney kitney hee rung us k ley liey hien...bohat sey ilfaz jo tum abb istemal kertii ho..pehley nahee kertee thee...ye mut pochna k.... meslan?

    kuch youn hoa k...

    mera aur tera mazhab ahesta ahesta "Mohabat" ho gia...

    haan abhee zakham bohat taza hey, kuch din dard tu ho ga hee...

    ReplyDelete
  2. haan bahot khoob kaha rabi

    mera aur unka mazhab ahista ahista "Mohabat" ho gya...

    ye unki samaj mein khaak aana hai ... bas sochtey hai ki mera pyar khatm ho gya, mar gaya ... Aise thori hota hai ... koi samjaye unhe jakar ...

    Gar muje wo samjey to shayad main ye faisla na leity... pata nahi mera yaar bahot nadaan hai, bhola bhi hai, saccha bhi hai, aur mera baccha bhi hai ... par mere se itna door raha ki janey kese sambhalu ...samaj nahi aata ... aur kuch karne jau to bas ulta hi ho jata hai...soojh boojh se paray hai ab mere zehen o khyal...

    Maine sab chora ab Allah par ... Wo sarey halat ab sambhal ley , aur jo sahi ho wohi karey ... Yun socho jaise ye kuch main nahi kar rahi hu, wohi kar rahe hai, aur gar rastey milne bhi honge to wohi hal nikalenge .... judai likhi hogi to wo bhi unhi ka faisla hai ... Main jese behty ja rahi hu..main kuch nahi kar rahi yakeen maano...muje jaise koi taakat koi disha mein kheechkar muje le ja rahi hai...ek gazab sa zor mujpar chal rha hai ... jissey main khud bhi anjaan hu, na-maloom hu ...

    Main jaise khud mein bhi main nahi...

    Allah janey kya hoga aage !!!

    ReplyDelete
  3. Meghz...i m shocked...tum ko kesey pata k ajj bilkul yehee batien mey bhee kahien hien kisi ko.????? how did u know...my god..!!!!

    i m feeling exactly the same as you these days..mey ney bhee yehee kaha tha..k mujhey esa lagta hey jesey mey samunder ki seta per beh rahii hon, aur jahan samunder ka jee chahta hey mujhey baha ker ley jata hey .. mary apney bus mey jesy kuch bhee nahee, mey chahon bhee tu shaid lahron ka rukh na mur sakon...

    and honestly speaking...i m a bit scared..kion k mujhey nahee samjh mey aa raha k mujhey lahrien kahan ley ja rahien hien..

    ~

    ReplyDelete
  4. Insan aksar samandar aur lehron ko namoona kartey hai aur apne jeevan se mawaaznaa kartey hai ...

    samandar humari zindgi jesa hi to hai, vishal, ghanaa, gehra, taakat se bhara, tufanon se bhara, bhanwar atey hai, lehron ki hulchul,, kahin kuch bikhar jata hai, kabhi shaant, kabhi bahot khubsoorat aur pyara , kahin saaf paani,kahin ganda ... kitney hi sift zindgi jese hu ba hoo lagtey hai ...

    ReplyDelete
  5. bohot dilkash tehreer aur taa'ssur hai ap dono ke comments mein, mein bhi samandar ke baaray mein aksar sochti hoon par likh nahin pati.
    ankahi agar aap mind na karein, aur aapki meri oos doti ka vastah, jis ka abhi beej hi boya hai..
    tu mujhay ik ijazat dein ..
    aapko ankahi liktay mujhay lagta hai ke kisi aisay shakhs ke mazaar pe phool char'ha rahi hoon jo hasratein aur armaan liyay bhari javani mein rukhsat ho gaya!
    ijazat dein tu aap ka naam
    "mann kahi" kar doon ,abhi tu aap ne duniya ko bohot kuch dena aur kehna hai.
    naam badalnay se shayed sitaaray bhi badal jatay hein qismat ke...
    shayed phir aap mann kahi se,maan chahi ho jaayein
    aur koi khood 'b'khood aa ke apna mann har de aapke aage!
    kia khayal hai?.. yeh parh ke...
    aap ka kia haal hai?

    ReplyDelete
  6. main to khud mann haar gayi kisikey aagey ...

    main aksar kaha karty thi unhe ...main to tum sang nain milaa ke haar gayi sajna ... haar gayi sajna ...

    sapanen Mein Jo Baag Lagaaye
    nind Khulee To Wiraane The
    hum Bhee Kitane Diwaane The

    mohbbat to ho chuki muje...ab aage jo hoga shyad samjauta hi keh lo ...Mujme rabb basta hai, Ye faisley wohi karta hai ... Mera khud pe koi zor nahi ... koi bas nahi chalta ...In dino mere hathon mein meri hi dor nahi ...

    Apni marzi se kahan apne safar ke hum hai
    Rukh hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hai ...

    ReplyDelete
  7. pyari mann kahi,appka haal dekh kar kuch yad aaya,socha guzarish kar doon!

    hava ke dosh pe rakhay, chiragh hein hum,
    jo bujh gayey,tu hava se shika'yatein kaisi
    khayal-o-khwab hui hein mohabbatein kais,
    lahoo mein naach rahi hein, yeh weh'shatein kaisi

    ReplyDelete
  8. wah bahot khoob farmaya ...

    Apni aah par khud waah kehney waley shyad hi apney bhi koi dekhey honge :)

    ReplyDelete
  9. aapko tu patah ho ga ke,
    humor is the best defence mechanism!
    sab buri baatein system se nikal jati hein aur zaat ke andar ki pollution se chut'kara mil jata hai aur aap phir se evergreen!
    kion dil ko laga na :)

    ReplyDelete
  10. wah!!!!!!!!!!! bahut hi khubsurat andaz

    ReplyDelete
  11. pls contact to me

    kanash.suraj@rediffmail.com

    ReplyDelete