Wednesday, March 16, 2011

~Aaneywala~


Ye kaun shakhs hai meri taqdeer mein
Zindagi ki raahein jis-sey mileygi

Ek Umr to katt gayi uske bin

Par Zindagi usi ke sang kateygi


Woh koi aam shakhs nahi

Jisey khuda se maine hai maanga

Jab dekhun hatheliyon ko apni

Usi ke naqsh se buna hai taqdeer ka dhaga


Main chahey kahin par bhi palun

Mujhe Woh dhoond hi lega

Hai yakeen is dil ko mere

Jo sada mera hi raheyga


Mere shohar....Mere dilbar
Mujhe woh khoney hi nahi deta

Dawa hai uska main usi ki hun

Jo mujhe kisi aur ka honey nahi deta


~Kashish

Saturday, February 12, 2011

~To kya baat ho~


Kitaabon ke panne palatkar sochty hun
Yun palat jaye zindagi to kya baat ho


Tamanna jo puri ho khwabon mein

Haqeeqat bann jaye to kya baat ho


Zindagi har chiz marzi-e-waqt dety hai

Kabhi be-waqt mil jao tum to kya baat ho


Baaton se to le gaye tum dil mera
Kabhi mujhe bhi apne sath le jao to kya baat ho


Qurbaton mein to har koi jeeta hai zindagi

Kabhi dooriyon mein bhi jeekar dikhaye to kya baat ho


Zinda rehne tak to har koi karta hai mohabbat

Tumhe to markar bhi main chahungi to kya baat ho !

~Kashish

Friday, February 11, 2011

.....


Zikr-e-judai kitni asaani se kar gaya woh
Chand lamhon ki zindagi mein ek lamha kam kar gaya woh

~Kashish

Friday, January 21, 2011

~Mausam-e-Sard Ya Mausam-e-Dard~


Mausam mere ird gird thehra hua hai
Dard char-su phayla hua hai

Rutt jaise hai aaty aur jaaty

Kash dard ki bhi ek rutt tay ki jaty


Taki waqt be-waqt dastak-e-dard na aata

Aur jab jab aata ...Waqt-e-rukhsat lekar aata


~Kashish

Thursday, January 6, 2011

~Jab na teri meri baat hoti hai~


Seh letey hai sitam tere
zaban teri
bol tere
anginat lamhein ese
jahan tune diye
dard ghanerey
Woh bin sochey
Zuban se nikley
Harf tere
Kabhi zikr-e-judai
Kabhi hijr ke pherey
Seh letey hai hum
Zakhm sham sawerey
Fakat islye Sanam
Kyuki dekh liye mene
Sarey chehrey tere
Ku-ba-ku zindagi mein
tu hi tu hai phaiyley
Mohabbat tujhi se ki hai
Jese bhi ho
Akhir TUM ho MERE

~Kashish

Saturday, December 25, 2010

~Quaid-e-Kismat~


Jaanleva hamla hua hai aaj mujpar se
Koi jazbaat dooba hua aya hai ubharkar ke

Kitni adhuri khwahishey liye dil jeeta hai
Issey behtar main paa lun manzil jahan maut ki cheeta hai

Koi shor nahi dil mein kitne ghaney andherey hai
Raat sakht lambi aur koso door sawerey hai

Quaid kar lun main apne apko apne hi giraft mein kuch aise
Goya qabr mein lash rakhkar duniya quaid karty hai maut jaise

~Kashish

Tuesday, November 23, 2010

Ye mausam jaise sadeeyon se chala aa raha hai ...Aur sadeeyon tak door jayega


Dard ne jab janam lia hoga
Sath Maut ki tareekh likhna bhool gaya hoga Khuda ...

Sunday, October 31, 2010

~Ehsas-e-Maut~


Poorey badan mein dard ki lehrey daud rahi hai
Aansu rok rakhe hai

Palkon ke koney bheeg rahey hai
Lakh dabao aansu beh rahe hai

Aankhein rang badal rahi hai ...
Jaise ankh nahi aag ka gola ho koi

Do aalney jal rahe hai

Badan tez bukhaar se choor hua jaa rha hai

Seeney mein aag dehek rahi hai

Dharkan raftar barha rahi hai

Dard seeney mein dabaate dabaatey kahin saans na tham jaye aaj

Aawaz bethi ja rahi hai

Jee ghabraa rhaa hai

Galay takk ghutt chuki hun main

Poora jism tutt raha hai ghum-e-beizaar se

Rooh kaanp uthi hai aaj

Andar se thartharaa rahi hun main

Tanhai ke woh mod par jaa chuki hun main
Jahan mehsoos ho raha hai ...
Jaise samandar ki gehri sej par meri laash jaakar takrayi hai

Badan se rooh nikalney ki der hai

Andar se cheekh rahi hun main...

Ke saha nahi jaata

Rooh nikal jaa is jism ko todker
....Chali jaaa.....
Aaj Muje azaad kar in Girhon se ....

~Kashish

Tuesday, October 19, 2010

~Kitaab-e-Dil~


Kyaa hi payega koi humey paakar... Sehra ki reit hun main ...
Hawa kidhar uraa le jaye...Main khud hairan ho jaty hun apne badaltey thikaney dekhkkar ...Kabhi kabhi mehsoos hota hai ke main samandar ke beecho-beech hoon ...Kinaro se senkro meel door ...Chand-raat mein, naav khadi hai meri .... Jiske chaar su mehez paani hi paani hai.....is paani mein koi hulchul nahi...jese din ki thakaan utaarta hua shaam apne tuttey khatiye mein leita hua koi majdoor...

Mere Koso door koi nahi...kuch bhi nahi...Hawa beh rahi hai ek maddham shor karty hui...Andherey ke Sannatey aur aise mein ek kambal lapeitey hue baithi hui main ...Bas dekhe jaty hun paani ki dhaar ko....Ese aalam mein jaise khud se bhi juda hun main... Mera koi Jism nahi...Bas Aatma hun main...

Mere bahar ki Duniya se koi waasta nahi ...Apne andar duniya basaye hun main... Main kisise khaffa nahi ... Khud se khaffa hun main....Kisi shakhs ki pasand naa sahi ... Khud apni Ridaa hun main ...

Jee karta hai ...Kahin chal padun sameitkar apne kandhon par zindgi ke samaan ...Koi pur-bahaar rasta ...Koi thehri manzil... Koi khushnuma safar ...Rangeen manzaron ki giraft mein jaakar banaun shaandar aashiyaan...

Jaaney kab saans ayegi...Ek aam insaan ki tarah ...Janey kis baazuon mein bantt jayenge adhureypan ke bojh... Wo raahdar kaisa hoga... Jiski rahaon mein raahat miley...panaahon mein chaahat miley...Koi aisi aahat miley...

Suna hai Rabb milwata hai ek jesi roohon ko ..Jo janmon ka safar tay kartey hue...bhataktey hue...Mil jaty hai ek mod par... Kinaarey dhundty hue ...Saharey dhundty hue ...Haan...Shayad Naa-gawara hai Allah ko bhi insaano ka soonapan ...

Main koi Panchi nahi jo urrker to jatey hai...Par sham ko laut atey hai apne hi ghunslon mein ...Main urrna to chahty hun... Par lautna nahi chahty

Log zindagi ki kamaayi sameitkar ... World Tour par nikal jaatey hai ... Janey kya sochkar jaatey hai ... Naye rang, naye des mein khushiyan dhundker laatey hai ??

Sari qaaynat khud mujhme samayi hai ... Main kis jahaan ki sair par niklun ...Farsh pe jeekar Arsh ki sair karna chahty hun ... Kudrat ka woh jahaan ... Jahaan insaan nahi ...Ho bas roohon ka Samaa...

Ye bhi Ek Ghazab raaz hai ke.... Duniya raas nahi aati ...!!!!

~Kashish

Thursday, October 7, 2010

.....


Main teri Jaan..Tu meri Jaan hai
Teri mohabbat Jism ki rooh samaan hai

Aitbar kahin nahi..Ye Jahaan beimaan hai

Par jahan tu hai..Wahin sanson ne paya amaan hai


~Kashish