Saturday, February 12, 2011

~To kya baat ho~


Kitaabon ke panne palatkar sochty hun
Yun palat jaye zindagi to kya baat ho


Tamanna jo puri ho khwabon mein

Haqeeqat bann jaye to kya baat ho


Zindagi har chiz marzi-e-waqt dety hai

Kabhi be-waqt mil jao tum to kya baat ho


Baaton se to le gaye tum dil mera
Kabhi mujhe bhi apne sath le jao to kya baat ho


Qurbaton mein to har koi jeeta hai zindagi

Kabhi dooriyon mein bhi jeekar dikhaye to kya baat ho


Zinda rehne tak to har koi karta hai mohabbat

Tumhe to markar bhi main chahungi to kya baat ho !

~Kashish

10 comments:

  1. This is a top class writing Kashish..

    ReplyDelete
  2. liou...thanks for the comment...

    I was just wondering how do you understand Urdu/Hindi language poems ?

    ReplyDelete
  3. zara si deir ko aye the Khwab aankhon mein
    phir us ke baad musal_sal azab aankhon mein
    ..... gud one

    ReplyDelete
  4. i don't understand at all , but it is interesting to understand new language (: your new followers (:

    ReplyDelete
  5. alright phee...
    enjoy your learning ...
    :)

    ReplyDelete
  6. hi..
    aap ka blog bahooot acha he .
    or is shyri ne hume humari purani kuchh yade yaad dila di ..
    humare paas koi blog to nahi hai or blog banana aata b nahi hai aap ho sake to facebook me milna.
    neel.meera84@gmail.com
    ok
    by
    neel..

    ReplyDelete
  7. Yakhinan bht gehri bate hai.a beautiful conversion of thoughts. . . World class shaeri. Dost sirf ek Line me correction jo hme lagta hai hona chahi bt u knw bttr thn me.Zndgi hme WAQTE MARZI NHI MARZIE WAQT DETI HAI!

    ReplyDelete
  8. Shukria saby for post comment...

    Thank you for drawing my attention ... I made the corrections !

    Waise urdu abhi seekh hi rahey hai ... aatey aatey aa hi jayegi

    ReplyDelete