Thursday, October 7, 2010

.....


Main teri Jaan..Tu meri Jaan hai
Teri mohabbat Jism ki rooh samaan hai

Aitbar kahin nahi..Ye Jahaan beimaan hai

Par jahan tu hai..Wahin sanson ne paya amaan hai


~Kashish

4 comments:

  1. I like your creations, Thanks for serving hindi language and poetry......

    ReplyDelete
  2. Shukria@Rahul

    @Rayaz-shukria... hindi aur urdu dono apni apni jagah behtareen zabaney hai ...alfaz chahey kisi bhi andaz mein pesh kiye jaye...baatein ek hi bayaan karte hai ... halanki mera zaatti khayal ye hai ke urdu mein pur-zor gehraiyan hai...mere rooh ki kaaynat zinda kar dety hai iske harf... shyad hindi likhne jaun to lafz insaf nahi karenge ... rishtey,naate,mohabbat,jazbat,junun,hijr,udasiyan, ye sarey rangon ka ehsas meri qurbaton mein hai ... aur Urdu se dhaaga bandha hai jabse, ye meri palchin mein hai ...sadaa saath hai ...yehi zameen...yehi qaaynaat hai ...

    ReplyDelete
  3. Bht khubsurat creation hai apki .alag duniya

    ReplyDelete