Sunday, December 4, 2011

Neela Rang - Meri Mohabbat


Main neeley rang mein esi rangayiii...
Boond boond behker piya samandar samayii

Kabhi itni oonchi thi meri udaayi
Ke daaman phaylakar piya asmaan chu aayi

Raaton ko jugnuon se batiaayi
To kabhi pehlun mein piya ke samayii

Neeli churi,neeli payal,neeli bindi,neela aanchal
Neeley rang mein hai sari gehrayii

Ye mohabbat ka rang charhta chala jaye
Main jitna doobun, mohabbat ubharty jaye

Neela rang unsey hai aashnayii
Main isi rang mein umar guzaaar aayi


~Kashish

Thursday, November 10, 2011


Subah ki chaah me
Ankhon ke dareechey khuley
Aur waqt ka aaj samna kiya
To jee ghabraya aur zehen tharraya
Ke kyokar ho basar ek aur din
Kahan se laaye
Jeeney ke haunsley tum bin...!

~Kashish

Saya pooch betha hai mujse
Andhera ho jata hai jabse
Aur sham meri rukhsat se
Baat karte ho tum kissey

Main jawaban
Itna keh payi ussey
Ke pur-sakoon hun main uski Qurbat sey
Jo bhejta hai har roz farishta jannat sey ...!

~Kashish

Sadeeyon se quaid hun main tanhayi ki giraft mein
Mujhe azaad kar jao lekar apni sohbat mein
Maanga karungi umr sari tumhe rabb se mannat mein
Na dekha karo mujhe pehron yun ulfat mein
Main tumhari hi hun...Kyun ho itne hairat mein
Jismon mein na sahi...Rooh bankar milungi Jannat mein ..!!!

~Kashish

Jee udas hai
Ankhon mein pyas hai

Dharkano ka tuta saaz hai

Wajah ek raaz hai ...!


~Kashish

Wednesday, November 2, 2011


Phir khayal-e-tum aye ho
Phir dooba hai dil mera
Phir sehem gayi hun main
Phir bicha hai jaal tera

Kaanp uthi hai rooh meri
Qurbat ki woh aarzu jagi
Phir koyle si shab hui
Aur bujh gayi ye mombatti ...!!!

~Kashish

Sunday, October 23, 2011


Ek aise safar par chal padi hun main
Jahan apne wajood ko khojty hun main

Jee lia behisaab mann-maaniyon mein
Ab hosh o hawas ke sirrey kholty hun main

Na gharz kisisey, Na wasta mujhe ab
Duniya tere mutabiq...aap badalty hun main

Ishq-e-Majaazi ghazab tamaasha hai TU
Ishq-e-Haqeeqi teri oar chal padi hun main .... !

~Kashish

Ishq-e-Majazi(Insaan se Mohabbat) /
Ishq-e-Haqeeqi (Khuda se Mohabbat)

Saturday, September 10, 2011

~Deewar Chup Rahi~


Aangan bol utha, Khirkiyan ro padi, Deewar chup rahi..
Ghar ke barey me sabne kuch na kuch baat kahi... Deewar chup rahi


Kabhi rang aur shor se bharey ghar me aaj Sannata kyun hai..
Poochneywalon ne poocha kitna ... Deewar chup rahi

Alvida keh kar ghar ke pattharon ko usney murr kar na dekha...

Ta-umr khirkiyaan raah takty rahi...Deewar chup rahi


Waqt ke daayre se pighal pighal kar apna aap gawaaty rahi...

Julastey halaaton mein ek roz yun hua ke deewar gir pari...
aur khaaknasheen hui ..!

~Kashish

Thursday, August 18, 2011


Dil ki hulchul tumhare samney hai sari ...
Ye adhurapan ... Ye aarzu tumhari ..

~Kashish

Wednesday, July 20, 2011


Koi aah nahi...Koi chaah nahi
Na shauq-e-mehfil...Na zauq-e-adaakari


Zindagi hai ke behis jiye jatey hai

Chand neimato se jee behlatey hai ...


~Kashish

Monday, July 11, 2011


Ab tumhe Rabb se maangna chor diya hai
Lo aap hi ke kehne pe ye mor liya hai

~Kashish

Sunday, July 3, 2011

Kyu mujme bas gaye ho aise
Juda karna chahun bhi to naa ho jaise

Sunday, June 12, 2011

~Kuch chehrey jooth boltey hai~


Jis Chehre me kabhi Mohabbat, Masoomiyat aur Mehboob nazar aata tha
Aaj Usi chehrey ko gaur se dekha
To Uske har Naqsh mein
Mera Sukh, Chain, Hansi, Khushi, Khwab aur Armaano ka
Qaatil nazar aata hai ...

~By Kashish

Tuesday, May 31, 2011


Kitni bar tora hai mujko ... Kaunsa mushkil hai tumhare liye
Kitni bar sambhli hun main ... Allah Allah kiye ...

~Kashish

Friday, May 6, 2011

~Ab Sirf Main Hun aur TU hai~


Main hun ke karty hun roz dua tujse
Tu hai ke Khuda bankey betha door mujse

Main hun ke jab khud ko paun majboor khud se
Tu hai ke zameen pe ata hi nahi teri Jannat se

Main hun ke purzor Tanha hun ab hudd se
Tu hai ke shifa de sakta hai mehez tere aamad se

Main hun ke sanwar jaungi teri zarreybhar naimat se
Tu hai ke hidayat de muje teri hukumat se

Main hun ke umeedon ke baag laga bethi hu adat se
Tu hai ke thakta bhi nahi meri itni hasrat se

MAIN hun ke TU hai Na pehchan paye ab koi
Aye Khuda TU kar ley mehfooz muje apni Qurbat se

~Kashish

Wednesday, April 20, 2011

Unbearable Pain inside ME

Aj dard phir utha hai seeney mein
Kahan se laye haunsla jeeney mein

Baithe hai aaj maikhaaney mein
Peekar hi shayad asan ho ghum bhulaney mein

Katra katra tadap raha hai
Aag si lagi mere aashiyaney mein

Hosh kho jaye aur behosh hi rahey hum
Haan Khuda tera ye usuool aj todey hai hum

Mujse bardasht nahi ho raha ye dard
Aaj sirf sharaab hai mera humdard

Main seh nahi pa rahi jo guzar raha hai mujpar
Muje koi door kahin apne aap se bhi door le chal .....

~Kashish

Tuesday, April 19, 2011


Jinke kandhey pe sar rakha karte the tanhaiyon mein
Woh chod gaye hai mere dost saarey mujhe dard ki gehraiyon mein

Thakk gayi hun ... Haar gayi hun ...Har chiz se..Har shay se
Mubarak ho tum sab ko ... Khush raho apni ranginiyon mein

Chaley jana hai mujko itni dooor yahan se kahin
Marr kar bhi na aaun main ab tum sabke aashiyano mein

~Kashish

Saturday, April 16, 2011


Sakoon na dhund is ehl-e-chaman mein
Ye to milta hai khud apne gireyban-e-watan mein ...

~Kashish

Friday, April 15, 2011


Na main tumhari Mohabbat hun
Na tum mere Dost ho


Main tumse ba-khabar hun

Tum bhi na be-khabar ho


Main tumse anjaan to nahi

Tum naam-e-sitamgar ho


Jab tera mujse na rabta na taluqaat koi

Phir kyu zehn-o-dil ko tera khayal-o-khabar ho


~Kashish

Kabhi yun hota tha
Ke hum bhi hote the

Tum bhi hote the

Aur sama-e-gulshan hara bhara


Ab yun hota hai

Na hum hote hai

Na humdum hota hai

Bas hota hai mausam-e-dhuan dhuan


~Kashish

Muje kuch bhi nahi yaad Ab...Siwa Rabb !


Teri bakshi hui zindagi ke din do chaar hai
Aise mein sara wajood kyu Sogvaar hai


Mera koi sahara nahi
Ek TU hi madadgaar hai

Mere mehboob-e-Khuda
Ye bandi teri shiddat se talabgaar hai ...


~Kashish

Wednesday, April 13, 2011

Mehboob-e-Khuda



Aye Khuda teri mohabbat-e-musalsal mein masroof hun is kadar
Ke tere pehle na koi naam tha ...Na baad mein koi hoga

- Kashish

Ya Khuda-Rehem farma !


Aye Khuda mujhe apne haal pe na chora kar
Mujhe aatish-e-tanhai maar daaleygi


Firaq-e-hijr ka ghum naa ijaad kar
Tuttey marasim ke manind rooh taslim na payegi


Main muntazir hun nigaah-e-mohabbat ki

Na-guzar haadso'n se zindagi ujar jayegi

~Kashish

Saturday, April 9, 2011

Jahaan kisiko samaj paya kab hai ...
Insan khud ko bhi jaan ney laga ab hai !

~Kashish
Samjaoge kaise is na-samaj ko jo sabki samaj se paray hai
Samajna zehno ka kaam hai ... Hum to dil ke ghulam badey hai

~Kashish

Friday, April 8, 2011


Hindu ho ya Musalman
Bas ho apna Rabb pe imaan

Dil dukhta hai jab de koi ilzaam

Ke Allah hai mera ...Lab pe na ley uska naam !

Kitna zalim hai tu aye insaan
Mazhab pe uthaya tune sangraam
Jee karta hai noch lun teri zabaan
Khabardar jo maiyla kia tune mera gareeban !


~Kashish

Khwahishey dabana seekh lia hai maine
Hasraton ko sulaana aa gaya hai mujko
Ab bhooley se machal na jaye justajoo koi
Dil maarkar apna gala ghot liya hai maine...

~Kashish

Saalon se jin raahon mein dil maqaam kar baitha hai
Jahan ghar baar banaaye betha hai

Jis sadak par akhiyaan bichaaye thehra hai

Jahan se sadaayein aayegi dil thaan ke betha hai

Jahan pabandiyan lagayi ... Na aaney jaaney dia kisi ko

Usi ghar ko... Usi sadak ko...Usi raah ko...Usi dar ko ...

Aaj dil chorkar jaayein bhi to kahaan.....

~Kashish

Thursday, March 31, 2011


Paya hai kya zindagi pamaal kar key
Mohabbat esi bala hai jo khayaal se bhi behaal kar dey ...


~Kashish

Wednesday, March 30, 2011


Socha tha jee halka karne likha karungi
Dil ki baatein jo keh na paun khud hi se kahungi


Par ye kya hua ke likhker bhi chain na paya barbad-e-dil ne

Aur gazab lutf uthaya jab fasana suna sar-e-mehfil ne


~Kashish

Thursday, March 24, 2011


Ye duniya jisne banayi hai
Usey ye soch kahan se aayi hai


Koi shakhs yahan aisa nahi

Jiski hasrat paisa nahi


Dilon ki baat na karo yaaro

Ye ranj-o-ghum ka sheher hai pyaro


Ruktey chaltey uthtey bethtey

Sotey jagtey mehez bhatkey rehtey


Kahin khwahish-e-haasil mohabbat hai

Kahin pamaal viraan-e-dil ki barkat hai


Kahin peher-e-hijr mein zindagi ruki hai

Kahin sajda-e-mohabbat me rooh jhuki hai

Ab tanhayi mein tairkar bhi thakaan hui hai
Kinarey tak le jaye...Kya aisa koi hai ?


~Kashish

Wednesday, March 23, 2011

Raat diye se baatein karti rahi


Raat guzar chuki hai aadhi
Arsh-e-Khuda bhi pur num hai

Dhuan uraa gayi hai baati
Aur bujhey bujhey se hum hai


~Kashish

Wednesday, March 16, 2011

~Aaneywala~


Ye kaun shakhs hai meri taqdeer mein
Zindagi ki raahein jis-sey mileygi

Ek Umr to katt gayi uske bin

Par Zindagi usi ke sang kateygi


Woh koi aam shakhs nahi

Jisey khuda se maine hai maanga

Jab dekhun hatheliyon ko apni

Usi ke naqsh se buna hai taqdeer ka dhaga


Main chahey kahin par bhi palun

Mujhe Woh dhoond hi lega

Hai yakeen is dil ko mere

Jo sada mera hi raheyga


Mere shohar....Mere dilbar
Mujhe woh khoney hi nahi deta

Dawa hai uska main usi ki hun

Jo mujhe kisi aur ka honey nahi deta


~Kashish

Saturday, February 12, 2011

~To kya baat ho~


Kitaabon ke panne palatkar sochty hun
Yun palat jaye zindagi to kya baat ho


Tamanna jo puri ho khwabon mein

Haqeeqat bann jaye to kya baat ho


Zindagi har chiz marzi-e-waqt dety hai

Kabhi be-waqt mil jao tum to kya baat ho


Baaton se to le gaye tum dil mera
Kabhi mujhe bhi apne sath le jao to kya baat ho


Qurbaton mein to har koi jeeta hai zindagi

Kabhi dooriyon mein bhi jeekar dikhaye to kya baat ho


Zinda rehne tak to har koi karta hai mohabbat

Tumhe to markar bhi main chahungi to kya baat ho !

~Kashish

Friday, February 11, 2011

.....


Zikr-e-judai kitni asaani se kar gaya woh
Chand lamhon ki zindagi mein ek lamha kam kar gaya woh

~Kashish

Friday, January 21, 2011

~Mausam-e-Sard Ya Mausam-e-Dard~


Mausam mere ird gird thehra hua hai
Dard char-su phayla hua hai

Rutt jaise hai aaty aur jaaty

Kash dard ki bhi ek rutt tay ki jaty


Taki waqt be-waqt dastak-e-dard na aata

Aur jab jab aata ...Waqt-e-rukhsat lekar aata


~Kashish

Thursday, January 6, 2011

~Jab na teri meri baat hoti hai~


Seh letey hai sitam tere
zaban teri
bol tere
anginat lamhein ese
jahan tune diye
dard ghanerey
Woh bin sochey
Zuban se nikley
Harf tere
Kabhi zikr-e-judai
Kabhi hijr ke pherey
Seh letey hai hum
Zakhm sham sawerey
Fakat islye Sanam
Kyuki dekh liye mene
Sarey chehrey tere
Ku-ba-ku zindagi mein
tu hi tu hai phaiyley
Mohabbat tujhi se ki hai
Jese bhi ho
Akhir TUM ho MERE

~Kashish