Tuesday, July 20, 2010

Rooh-e-Beizaari


Bhula chukey hai hum Khudko Is Kadar se.....

Manzil kya

Rasta kya

Khwahish kya

Justuju kya


Paakar bhi na khush hai hum

Gawakar bhi na Afsurda


Na Giley

Na Shikwey

Na Malaal koi


Sans aty hai... Jaty hai

Ho Seeney mein jaise Kamaal koi

Ab Mazeed thakaan se choor hai hum
Zindgi na kar ab Sawal koi....


~Meghna

4 comments:

  1. hi aap kya khub likhte hain ..

    ReplyDelete
  2. nawazish
    behud shukriya ...
    main bas apna haal e dil bayan karty hun
    khud ke liye likhty hun

    aapka sarhana maayne rakhta hai
    khush rahein

    ReplyDelete
  3. Hi aap me kuchh to baat hai , milne ka dil karta hai
    Aap ki shakhshiyat me kuchh raz hai

    ReplyDelete
  4. :)
    shukria ...
    ab ap sharminda kar rahe hai humey
    na milkar bhi milne jesa ehsas de diya apki baaton ne...
    :)

    ReplyDelete