Saturday, July 17, 2010

~Kee dass dey ne Aye dil mere~


Seeney pe ghaney pairon ke nishan tere
Gawah hai baney the tum mehmaan mere


Dastey hai Inayat-e-Tanhai ke saperey

Pehro Peher hue mere Sehar-o-Shab hanerey


Zakhm kuredkar hue aur bhi Gehrey

Jab waqt ne Bazm-e-Yaar mein na diye zaat ko baserey


Hai Mukhtasar si Ibadat sun Maula merey

Ab basney na paye dil mein ye Qatil se Chehrey


Ya Seeney mein badalkar basa naye dil ke derey

Ya apni Hifazat mein baandh fanaa kar is Janam ke pherey

~Meghna

4 comments:

  1. wah kya khoob likha hai aapne

    "Seeney pe ghaney pairon ke nishan tere
    Gawah hai baney the tum mehmaan mere"

    ReplyDelete
  2. i was listeining one of ghazals of jagjit sing and was going thru your thoughts(posts)....!!

    this post.... the first two line of this.. i just kept reading dem... kayi baar padi.. aur iss kadar kho gyaa ki ptaa hi nahi challaa kab gaana khatam ho gyaa!!

    Too Good!!

    ReplyDelete
  3. @Ginnie-
    kayi bar dusron ke lafz apne dil ki dastan bayan kar jatey hai ... aap kho gaye in alfazon mein ... shayad aapse wabista ye apka haal-e-dil jataa gaye ...

    aur phir aapne maahol bhi banaya hua tha (jagjit ke sur-o-saaz) aur upar se mere alfaaz

    :)

    shukria sarhaney ka
    khush rahein

    ReplyDelete
  4. @santosh kumar
    shukria ... kabhi gaur nai kia maine ... ke in lafzon mein kitni hi kahaniya chupi hai...

    :)

    ReplyDelete