Friday, December 5, 2008

~ Ek Khubsurat Rog ~


Rog sirf mareez ka nahi ...wo to har sehat-mand se bhi jurra hai ...


Gar mohabbat na hoti, to koi aur rog hota...Gar chahat na hoti,to koi aur mod hota... Gar hulchul na hoti, to koi aur zor hota ...Gar bheed na hoti, to koi aur shor hota ... Gar dilbar na hota, to koi aur chor hota ... Kash seeney mein dil bhi eklauta nahi, Sau Sau Crore hota ...


Batao kaunsa rog zyda lutf deta ? Jiski dawa bazaar mein bikty hai, ya wo rog jo har shakhs khud hi laga leta hai, jiski dawa sirf dua hoti hai ... Ishq ki chotiyaan asmaano tak le jaaty hai...Pair zameen par padtey hi nahi...Kash koi seerhiyan hoti in unchaiyon se hauley se nichey utar aaney ki...kamaskam zakhm ka ehsas na hota, aur chot bhi na aaty...


Kabhi sochty hu kitna sakoon hai mohabbat ke kaarnamo mein ... par ye kaisa sabak hai jo koi seekh deta hi nahi...ye kaisi lagaam hai jo khudke haathon mein nahi .. ye kaisa hukum hai jo dil maanta hi nahi ...ye kaisa rasta hai jiski manzil hi nahi ... ye kaisa zakhm hai jo bharta hi nahi ...


Jaaney kitni kamiyon se bana hai mera dil...Jab aaiyne mein jawab dhundney khudko kareeb se dekha... tab meri garm sanson se sheeshey mein bana mera aks dhundla gaya...Theek wese jese mohabbat mein aankhon ke aagey duniya dhundlaty hai ... Kuch nazar nahi aata..Par dhund hatt janey par sab saaf nazar aata hai ...Ye kya maajra hai...jab dhund thi tab nazrey behoshi se aitbar karty thi un lamhon par...jab saaf nazar aaney laga, tab yakeen karna bura sa lag raha hai...


Mohabbat ke do pahar...Ek wo jab jee chahta hai mohabbat dil pe dastak laye, zindagi sanwar jaye, dil ki duniya bas jaye...aur ek wo jab jee chahey ki mohabbat aa jaaney par silsila sadiyon talak jaye ... waqt ruk ruk kar jaye ... Kuch aise hi makaam pe laayi hai zindgi, har pahar ki pehchan hui, par phir bhi anjaan rahi, jaaney ye kaunsa mod hai ...



Ye bah-khubi jaana maine ...

Sahara chand roza hai, jiske bina bhi guzara hai ...
Sahara ek ishara hai, aye shakhs tu be-sahara hai ...




3 comments:

  1. kitniii danger photo hai ....but nice blog

    ReplyDelete
  2. i love the following part of this post..

    "Gar mohabbat na hoti, to koi aur rog hota...Gar chahat na hoti,to koi aur mod hota... Gar hulchul na hoti, to koi aur zor hota ...Gar bheed na hoti, to koi aur shor hota ... Gar dilbar na hota, to koi aur chor hota ... Kash seeney mein dil bhi eklauta nahi, Sau Sau Crore hota ..."

    kesey rawani sey sab likha hey tum ney...
    isi liey i always say to you that u are a poetes..tum agar sher na bhee likho tu bhee saaf nazar ata hey, k tumhary undher ek shayerana rooh hey...

    gar dillbar na hota tu koi aur chor hota....wah..xaberdast..maza aa gia parh ker..:)

    ReplyDelete
  3. shukriyaa haunsla badhaney ka ...

    nawazish !!!

    ReplyDelete