Friday, December 5, 2008

Suno, Main Kaun Hu ...



Dhul ki hirasat mein palty hui alehdi kitaab hu
Nazar phirakar palat sako panney to padh lo

Main sanjog ka rootha hua hisaab hu
Is beqal rooh ki qeemat naap sako to tol lo

Chalti hui gaadi ka Aala-e-Zabt-e-Raftaar hu
Pairon mein zanjeer bandh sako to phaans lo

Sisakty aahon ka thaka sa saaz hu
Dil pe ek dafa kaan tikakar sun lo

Gazab chaashni se bana zeher ka peymana hu
Ghutt ghutt nigal sako to pee lo

Khamosh raat mein tanha tharrata mehtaab hu
Chand lamha guftagu kar sako to paas beth lo

Parbaton se uncha, Samandar se gehra
Rag rag mein behta aazab hu
Gar manzur ho ye seerat to chun lo ...


~M~

No comments:

Post a Comment