Sunday, August 29, 2010

~Anjam-e-Ishq~


Jab Mohabbat ne mujhe chuaa
To Rooh ka Katra Zinda huaa

Anjaam-e-Ghum-e-Hijr se Na-Waqif bechara

Lutt gaya aise ke Zindagibhar ke liye Gunah-e-Ishq se sharminda huaa

~Meghna

Monday, August 23, 2010

Meri An-suni


Zindagi ye kya haal bana rakha hai tuney? Shakl bhi pehchani nai jaty. Chehra jese mera nahi raha. Woh noor, woh hansi, woh khushi, woh ronak kahan hai? Zaban kuch kehty hai, Chehra kuch aur...Dimag ki maano to dil rota hai, dil ki suno to dard hota hai...

Jeetey hai log manzil paaney ko... Par meri manzil bhi kho gayi hai...Maqsad bhi nahi maloom... Rasta bhi dhundlaa gaya hai...Kyu jiye jatey hai kuch pata nahi .. Kahan jana hai , koi thikanaa nahi...Chahey kisise bhi kar lo baat dil behelta nahi...Waqt kat'taa nahi...Rooh muskuraty nahi...


Kash koi aisa jadu ho ke zindagi haseen lagne lage...Saarey rang laut aaye...Zindagi zindagi jesi lage...Kash koi maujeza ho ...

Khudaya, jee jaan se muskuraye bhi zamaaney hue ...


Kisiko bhi kisiki bhi zindagi mein aane mein koi waqt nahi lagta ...Kabhi saalon tak log tanha jeetey hai..To kabhi kisiko har mahiney naya mil jata hai...Ajeeb bheed wali duniya hai ye...Kuch log bas tanhaa tanha jiye jatey hai ...Shayad wafaon mein jeeneywalon ka yehi hai anjaam...Aur kuch logon ke gireybaan mein pyar ki kami hi nahi hoti...Ye kesi ajab si duniya hai.. Kaun kis mod par kiska ho jaye..Kuch pata nahi chalta....

Jinpar mohabbat meherbaan hoti hai unki jholi mein kitna pyaar hota hai... Aur kuch badkismat bas tarastey reh jatey hai...


Akhir Mohabbat bazaaron mein jo nahi bikty ...Tabhi ye keemti hai ... Zindagi ki kamaii dho leta hai insaan tab bhi isey paa nahi sakta ... Ye mehez dil ki factory mein banneywali cheez hai..aur dil khud ek keemti machine hai ... Kaun bana paya hai isey akhir ??


Koi ek boond mohabbat ko tarsey hue hotey hai ..
To koi mohabbat ke samandar mein dubey hotey hai ...
Koi ek katrey mein pyaas chipaane ki koshish karta hai ...
To koi mohabbat ki barish mein bhi pyaasa hi reh jaata hai ...
Insaan ko jitna miley utna kam hi lagta hai ...
Jiske paas hai usey kadar nahi ...
Jiske paas nahi hai usey sabar nahi ...


Ek umr ka safar ek pal mein katt gaya

Main zinda to hun magar Tukron mein bantt gaya


~Kashish

Tuesday, August 17, 2010

~Farsh se Arsh tak tanhayee~


Kitni behis-o-bejaan guzar rahi hai zindagi
Koi aakar Kaifiyat ismey daal dey


Ye barhty, thamty hui sanson ki raftar

Kaabu mein lekar koi haseen si chaal dey


Uljhey bikhrey hue gesuon ki manind

Seeney mein shor karte sawalon ko uchaal dey

Barf mein tanha jhulasta hua darakht hun main

Koi roshni ki kiran aaye is sard ko pighaal dey


Chehrey ko bhool gaya hai muskuraney ka fann

Jo ek arsey se hua nahi, woh maujeza kar kamaal dey


Jis koochey ki dhool mein safar-e-tanhaii kaati

Ilahi us dar-o-diwar mein ab na koi maah-o-saal dey


~Kashish

Saturday, August 14, 2010

Patjhar



Zindagi Raaton ka naam hai
Zindagi ki wadiyon mein kaali ghataon ki shaam hai
Zindagi yun to tu mujme Zinda hai

Phir kyu janey maut ka ye sangraam hai

Sahilon pe machaltey hue ye sailaab

Meri ankhon ke ashqon ka dusra naam hai

Safaiyon mein guzaar di zindagani maine

Janey kin Gunahon se zindagi badnaam hai


Patjhar tu aayi thi kisi roz ek mausam bankar

Bejaan zard lamhey kyu itne meherbaan hai

Fursat nahi diwar-e-dil ko safaid lamhon se

Aur jahanbhar mein rangon ke mahal aalishaan hai


Aye ghum tu chor dey ab ghar ye mera

Aur kitni barbadi tuney likhi mere naam hai

Ab sona chahty hun main sakoon se kuch is kadar

Jahan Kabr-e-ghar ke darwazey par dastak na salaam hai

~Kashish

Tuesday, July 27, 2010

Kya kahey aapse...


Raaz-e-dil ab aur bayaan nahi hota
Bin kahey chup rehna bhi asaan nahi hota


Jazbaat kuch dabb gaye hai mujme aisey

Ab meri shakhsiyat se jurra mera hi naam nahi hota...

~Meg Urf Kashish

Saturday, July 24, 2010

Aam si main

Aur aam si baatein meri

Gar hota kuch khaas mujme

To Tanhayee na hoti Sathi meri

~M
Yun na ho fidaa mujpar

Na baat mujme koi aisi hai

Ye beizari,,,ye tanhayi....

Ye saarey detey gawahi si hai

~M

Wednesday, July 21, 2010

Aaj ka haal...


Jiya hai maine Jee bharkey

Ab bhar gaya hai Jee Marr marr key ...


~Meg

Tuesday, July 20, 2010

Rooh-e-Beizaari


Bhula chukey hai hum Khudko Is Kadar se.....

Manzil kya

Rasta kya

Khwahish kya

Justuju kya


Paakar bhi na khush hai hum

Gawakar bhi na Afsurda


Na Giley

Na Shikwey

Na Malaal koi


Sans aty hai... Jaty hai

Ho Seeney mein jaise Kamaal koi

Ab Mazeed thakaan se choor hai hum
Zindgi na kar ab Sawal koi....


~Meghna

Bahot hai


Qurbat mein qaraar bahot hai
Hijr mein jeena dushwar bahot hai


Ab har shakhsiyat se milatey hai hath hum

Insaan ke bazaar mein Insaan bahot hai


Zindagi tuney diya to jee bhar key

Jab leney par aya to Ispar Malaal bahot hai


~Meghna