Sunday, October 31, 2010

~Ehsas-e-Maut~


Poorey badan mein dard ki lehrey daud rahi hai
Aansu rok rakhe hai

Palkon ke koney bheeg rahey hai
Lakh dabao aansu beh rahe hai

Aankhein rang badal rahi hai ...
Jaise ankh nahi aag ka gola ho koi

Do aalney jal rahe hai

Badan tez bukhaar se choor hua jaa rha hai

Seeney mein aag dehek rahi hai

Dharkan raftar barha rahi hai

Dard seeney mein dabaate dabaatey kahin saans na tham jaye aaj

Aawaz bethi ja rahi hai

Jee ghabraa rhaa hai

Galay takk ghutt chuki hun main

Poora jism tutt raha hai ghum-e-beizaar se

Rooh kaanp uthi hai aaj

Andar se thartharaa rahi hun main

Tanhai ke woh mod par jaa chuki hun main
Jahan mehsoos ho raha hai ...
Jaise samandar ki gehri sej par meri laash jaakar takrayi hai

Badan se rooh nikalney ki der hai

Andar se cheekh rahi hun main...

Ke saha nahi jaata

Rooh nikal jaa is jism ko todker
....Chali jaaa.....
Aaj Muje azaad kar in Girhon se ....

~Kashish

Tuesday, October 19, 2010

~Kitaab-e-Dil~


Kyaa hi payega koi humey paakar... Sehra ki reit hun main ...
Hawa kidhar uraa le jaye...Main khud hairan ho jaty hun apne badaltey thikaney dekhkkar ...Kabhi kabhi mehsoos hota hai ke main samandar ke beecho-beech hoon ...Kinaro se senkro meel door ...Chand-raat mein, naav khadi hai meri .... Jiske chaar su mehez paani hi paani hai.....is paani mein koi hulchul nahi...jese din ki thakaan utaarta hua shaam apne tuttey khatiye mein leita hua koi majdoor...

Mere Koso door koi nahi...kuch bhi nahi...Hawa beh rahi hai ek maddham shor karty hui...Andherey ke Sannatey aur aise mein ek kambal lapeitey hue baithi hui main ...Bas dekhe jaty hun paani ki dhaar ko....Ese aalam mein jaise khud se bhi juda hun main... Mera koi Jism nahi...Bas Aatma hun main...

Mere bahar ki Duniya se koi waasta nahi ...Apne andar duniya basaye hun main... Main kisise khaffa nahi ... Khud se khaffa hun main....Kisi shakhs ki pasand naa sahi ... Khud apni Ridaa hun main ...

Jee karta hai ...Kahin chal padun sameitkar apne kandhon par zindgi ke samaan ...Koi pur-bahaar rasta ...Koi thehri manzil... Koi khushnuma safar ...Rangeen manzaron ki giraft mein jaakar banaun shaandar aashiyaan...

Jaaney kab saans ayegi...Ek aam insaan ki tarah ...Janey kis baazuon mein bantt jayenge adhureypan ke bojh... Wo raahdar kaisa hoga... Jiski rahaon mein raahat miley...panaahon mein chaahat miley...Koi aisi aahat miley...

Suna hai Rabb milwata hai ek jesi roohon ko ..Jo janmon ka safar tay kartey hue...bhataktey hue...Mil jaty hai ek mod par... Kinaarey dhundty hue ...Saharey dhundty hue ...Haan...Shayad Naa-gawara hai Allah ko bhi insaano ka soonapan ...

Main koi Panchi nahi jo urrker to jatey hai...Par sham ko laut atey hai apne hi ghunslon mein ...Main urrna to chahty hun... Par lautna nahi chahty

Log zindagi ki kamaayi sameitkar ... World Tour par nikal jaatey hai ... Janey kya sochkar jaatey hai ... Naye rang, naye des mein khushiyan dhundker laatey hai ??

Sari qaaynat khud mujhme samayi hai ... Main kis jahaan ki sair par niklun ...Farsh pe jeekar Arsh ki sair karna chahty hun ... Kudrat ka woh jahaan ... Jahaan insaan nahi ...Ho bas roohon ka Samaa...

Ye bhi Ek Ghazab raaz hai ke.... Duniya raas nahi aati ...!!!!

~Kashish

Thursday, October 7, 2010

.....


Main teri Jaan..Tu meri Jaan hai
Teri mohabbat Jism ki rooh samaan hai

Aitbar kahin nahi..Ye Jahaan beimaan hai

Par jahan tu hai..Wahin sanson ne paya amaan hai


~Kashish