Thursday, September 30, 2010

~Bas aa bhi jao~


Ek tu hi to nahi dilbar mere Ashiyaney mein
Banakar mehel khaak jiyun main tanha zamaaney mein ....


Yun to kaat liye saal maine Zard-khaaney mein

Jaaney kitni der hai ab aur tere aaney mein ....


~Kashish

Wednesday, September 29, 2010

~Esa Milan~


Teri baahon mein beh jaungi main ek nadi ki tarah
Tu bhi pighal jayega mujme jalty moambatti ki tarah

Main leher bankey tujme bahungi is tarah
Tu beh jana meri nas nas mein bijli ki tarah

Tez tufaano mein jhultey hue darakht jese
Simat jaungi teri baahon mein daali ki tarah

Qurbaton mein jiyenge hum dono is tarah
Farsh-e-Zameen na ho jese...Khuda ke Arsh-o-Asman ki tarah

Rok na paogey meri giraft mein apne jazbaat Tum
Ho jayenge hum Ek... Khuda aur Bandey ki tarah

~Kashish

Saturday, September 25, 2010

~Zindagi ki Silwatein~



Jab manzil kabr hai

To rasta itna mushkil kyu hai


Jab Khwahish-e-Khuda hai

To Justuju-e-Insan kyu hai


Jab aaram kahin nahi

Phir neend kesi, Raatein kyu hai


Sanson mein thakan bhari hai

Phir jiye janey ki ada Zindgi kyu hai


Duniya mein insan hi insan
Phir har insan tanha kyu hai ...


~Kashish

Thursday, September 23, 2010

~Hunar-e-Zindagani~


Seekha hai Tanhayee chipakar muskurana jabse
Paa liya hai mizaaj-e-mazaak bhi tabsey....

~Kashish

Sunday, September 12, 2010

...


Khwabon ki dehliz se laut to aaye hum
Kitne hi samandar dil mein samaye hum

Haqeeqat ki basti mein khudko kheech laye hum

Dua karo is saans ke safar mein usey bhool jaye hum


~Kashish

Monday, September 6, 2010

~Khali Makaan~


Azaab hai ye zindagi ka safar
Khwab hai jo dariya dil me aye khushyon ki leher

Pasheman hun main banakar aarzuon ka mahal
Carwan-e-Zindagi khud ek Sailab hai Umrbhar

~Kashish