Monday, August 23, 2010

Meri An-suni


Zindagi ye kya haal bana rakha hai tuney? Shakl bhi pehchani nai jaty. Chehra jese mera nahi raha. Woh noor, woh hansi, woh khushi, woh ronak kahan hai? Zaban kuch kehty hai, Chehra kuch aur...Dimag ki maano to dil rota hai, dil ki suno to dard hota hai...

Jeetey hai log manzil paaney ko... Par meri manzil bhi kho gayi hai...Maqsad bhi nahi maloom... Rasta bhi dhundlaa gaya hai...Kyu jiye jatey hai kuch pata nahi .. Kahan jana hai , koi thikanaa nahi...Chahey kisise bhi kar lo baat dil behelta nahi...Waqt kat'taa nahi...Rooh muskuraty nahi...


Kash koi aisa jadu ho ke zindagi haseen lagne lage...Saarey rang laut aaye...Zindagi zindagi jesi lage...Kash koi maujeza ho ...

Khudaya, jee jaan se muskuraye bhi zamaaney hue ...


Kisiko bhi kisiki bhi zindagi mein aane mein koi waqt nahi lagta ...Kabhi saalon tak log tanha jeetey hai..To kabhi kisiko har mahiney naya mil jata hai...Ajeeb bheed wali duniya hai ye...Kuch log bas tanhaa tanha jiye jatey hai ...Shayad wafaon mein jeeneywalon ka yehi hai anjaam...Aur kuch logon ke gireybaan mein pyar ki kami hi nahi hoti...Ye kesi ajab si duniya hai.. Kaun kis mod par kiska ho jaye..Kuch pata nahi chalta....

Jinpar mohabbat meherbaan hoti hai unki jholi mein kitna pyaar hota hai... Aur kuch badkismat bas tarastey reh jatey hai...


Akhir Mohabbat bazaaron mein jo nahi bikty ...Tabhi ye keemti hai ... Zindagi ki kamaii dho leta hai insaan tab bhi isey paa nahi sakta ... Ye mehez dil ki factory mein banneywali cheez hai..aur dil khud ek keemti machine hai ... Kaun bana paya hai isey akhir ??


Koi ek boond mohabbat ko tarsey hue hotey hai ..
To koi mohabbat ke samandar mein dubey hotey hai ...
Koi ek katrey mein pyaas chipaane ki koshish karta hai ...
To koi mohabbat ki barish mein bhi pyaasa hi reh jaata hai ...
Insaan ko jitna miley utna kam hi lagta hai ...
Jiske paas hai usey kadar nahi ...
Jiske paas nahi hai usey sabar nahi ...


Ek umr ka safar ek pal mein katt gaya

Main zinda to hun magar Tukron mein bantt gaya


~Kashish

5 comments:

  1. Bohat khubsorti sey zindagii ka jayza lia hey tum ney, haan ye sab sawal zehan mey atey hien tu hien, mugar javab kon dey?
    lagta hey zindagee khud ek sawal hey..jis ka javab kisi key bhee pass nahee..
    tumhara likha parh ker bohat maza ata hey..
    tum agar diary ki tarah bhee likho tu lagta hey jesey shayerii ker rahii ho..

    bohat acha..

    ....

    ReplyDelete
  2. Chalo shuker hai ye sarey sawalaat sirf mere hi nahi ... shayad kafi logon ke zehn mein paltey honge ... Haan jawab to ek raaz hai... Jo har kisipar nahi khulta ...

    Kayi zindagi se hai haarey hue
    Kayi zindagi ke hai maarey hue
    Sabhi maut aaney par martey nahi
    Kisiki bhi parwah kartey nahi
    Zamaney se kuch log dartey nahi

    Thanks for pouring comment ... I enjoy reading your comment as much as you enjoy reading my so called diary
    :))

    ReplyDelete
  3. zakhm jo aye hai hatho mai wo bherte he nah,,,,ihum bahut khush they ki seehsey ka makaan tood aaye................. bahut khoob meghi..........

    ReplyDelete
  4. bahut hi AChe ek ek shabd dil ki khani bayan karta ha

    ReplyDelete