Monday, April 12, 2010

Mere andar tufaan palta hai



Mere zehnon mein palta hua lafzon ka samandar
Kabhi khamosh rehta hai..kabhi shor karta hai

Karney ko kar dun bayaan batein hazzaaron
Par maazi ke rishton ke utrey chehron ka gumaan hota hai

Naa koi apnaa tha naa kahin hoga koi
Kehne ko sath rishton ka carwaan hota hai

Zindagani ki sakht peshkash se guzarkar dekha
Aage jaaney kin lamhaaton ka farmaan hota hai

~Meghna

2 comments:

  1. Naa koi apnaa tha naa kahin hoga koi
    Kehne ko sath rishton ka carwaan hota hai...

    wel said... aksar yahi hota hai, khaali haath aaye they, khaali haath hi jana hai...

    ReplyDelete
  2. ji...wo keh gaye the sath nibhayenge dooor tak der tak ...
    gawa dia khudko isi bharam mein...inhi lafzon mein ...

    ReplyDelete