Beetey lamhon par nazar daali Yaarab ...
Pichley Saal saa Koi saal naa aaye ab !
~M
Waqt ke daayre se nikal gayi mohabbat
Ab reh gayi kuch aarzu, Kuch bikhri si hasrat
Gar milan ki justuju na bann payi haqeeqat
To aye Jaan, Khwahish-e-deed Mukammal hogi ab Jannat
~M
Kaun chaahey mohsey dil lagana
Ab Main naa chahun koi dard
Sar ke bal girkar uthey hai
Ab na chahu koi humdard ...
~Meg
Dosti seekho
Duniyadari seekho
Seekho kuch na kuch har baar
Bas na seekhna ek chiz mujse
Mujhe aata nahi karna pyaar
~M
Mere kismat ki Rail aisi
Ke har station par rukty jaye
Allah Allah karte jaun
Par khushiyon ka station na aye
Musafir beshumar aaye jaaye
Aur kuch hisab bhi na rakh paaye
Ab koi Musafir aisa bhi aaye
Jo Arsh ke aakhri station tak jaye ...
~Meg
Charagh lekar jab Tujhe khoja
Reh gayi khoj adhuri
Laakar Zindagi ujaalon mein
Maine Ki teri aas bhi puri
Jiske khatir mujko chora
Hui uski muraad to puri
Par mann-bhaavan mila na duja
Tujhe khokar ho gayi adhuri
~Meg

Mere zehnon mein palta hua lafzon ka samandar
Kabhi khamosh rehta hai..kabhi shor karta hai
Karney ko kar dun bayaan batein hazzaaron
Par maazi ke rishton ke utrey chehron ka gumaan hota hai
Naa koi apnaa tha naa kahin hoga koi
Kehne ko sath rishton ka carwaan hota hai
Zindagani ki sakht peshkash se guzarkar dekha
Aage jaaney kin lamhaaton ka farmaan hota hai
~Meghna

Shuru aur khatm har kahani hogi
Rutt milan ke baad hijr ki aani hogi
Safar ab tanha katungi,bas meri mann mani hogi
Na rishton ka khauf, Na doobney ka sirra
Shayad zindagi jeeney mein asaani hogi...
~Meghna