Saturday, October 3, 2009

~Wo Guzra Zamana~


Teri chahat ki nazar ko dekha tha maine
Teri aadat mein khudko dhala tha maine
Tuje shiddat se pehro socha tha maine
Teri chahat ko tah-e-dil se pooja tha maine


Khudse kis kadar jorra tha maine
Teri sanson se sans paroyi thi maine
Teri dharkano se awazey payi thi maine
Suni thi wo pyar ki shehnayi maine


Tuje libas banakar haya chupayi thi maine
Tuje khudse churakar pyas bujhayi thi maine
Teri bahon ke saharey sham guzari thi maine
Tere kehne par hi ye duniya basayi thi maine

Phir tune ye kaisi ujdi veerangi di sehney
Ye tanha tanhayii subo shaam din rainey
Bezaari udaasi ke saaye ghanerey
Bas bhi kar ruk jayegi ab dharakty hui dharkaney

~M~

3 comments:

  1. phir tujh se ye kesi ujdi veerani paayi maine
    subh tanha aur shab bhar bechaini paayi maine
    yun bezaar aur udaas shamen baaraha gungunai maine
    ab to bas ek khwahish ke mer jaun na chupayi maine...!!

    koshish ki hai aakhri band ko is nazm ki tasalsul me laane ki may b aapko theek lage

    ReplyDelete
  2. hmmm

    shukriya isey ek anokha rang dene ka ...

    chalo kabool hai ek esi bhi koshish apki...

    ReplyDelete