Friday, December 12, 2008


Tootkar chaha

Main tootkar bikhra

Is tootney ke khel mein

Kyu na woh tootkar pighlaa ... !!!



Friday, December 5, 2008

Suno, Main Kaun Hu ...



Dhul ki hirasat mein palty hui alehdi kitaab hu
Nazar phirakar palat sako panney to padh lo

Main sanjog ka rootha hua hisaab hu
Is beqal rooh ki qeemat naap sako to tol lo

Chalti hui gaadi ka Aala-e-Zabt-e-Raftaar hu
Pairon mein zanjeer bandh sako to phaans lo

Sisakty aahon ka thaka sa saaz hu
Dil pe ek dafa kaan tikakar sun lo

Gazab chaashni se bana zeher ka peymana hu
Ghutt ghutt nigal sako to pee lo

Khamosh raat mein tanha tharrata mehtaab hu
Chand lamha guftagu kar sako to paas beth lo

Parbaton se uncha, Samandar se gehra
Rag rag mein behta aazab hu
Gar manzur ho ye seerat to chun lo ...


~M~

~ Ek Khubsurat Rog ~


Rog sirf mareez ka nahi ...wo to har sehat-mand se bhi jurra hai ...


Gar mohabbat na hoti, to koi aur rog hota...Gar chahat na hoti,to koi aur mod hota... Gar hulchul na hoti, to koi aur zor hota ...Gar bheed na hoti, to koi aur shor hota ... Gar dilbar na hota, to koi aur chor hota ... Kash seeney mein dil bhi eklauta nahi, Sau Sau Crore hota ...


Batao kaunsa rog zyda lutf deta ? Jiski dawa bazaar mein bikty hai, ya wo rog jo har shakhs khud hi laga leta hai, jiski dawa sirf dua hoti hai ... Ishq ki chotiyaan asmaano tak le jaaty hai...Pair zameen par padtey hi nahi...Kash koi seerhiyan hoti in unchaiyon se hauley se nichey utar aaney ki...kamaskam zakhm ka ehsas na hota, aur chot bhi na aaty...


Kabhi sochty hu kitna sakoon hai mohabbat ke kaarnamo mein ... par ye kaisa sabak hai jo koi seekh deta hi nahi...ye kaisi lagaam hai jo khudke haathon mein nahi .. ye kaisa hukum hai jo dil maanta hi nahi ...ye kaisa rasta hai jiski manzil hi nahi ... ye kaisa zakhm hai jo bharta hi nahi ...


Jaaney kitni kamiyon se bana hai mera dil...Jab aaiyne mein jawab dhundney khudko kareeb se dekha... tab meri garm sanson se sheeshey mein bana mera aks dhundla gaya...Theek wese jese mohabbat mein aankhon ke aagey duniya dhundlaty hai ... Kuch nazar nahi aata..Par dhund hatt janey par sab saaf nazar aata hai ...Ye kya maajra hai...jab dhund thi tab nazrey behoshi se aitbar karty thi un lamhon par...jab saaf nazar aaney laga, tab yakeen karna bura sa lag raha hai...


Mohabbat ke do pahar...Ek wo jab jee chahta hai mohabbat dil pe dastak laye, zindagi sanwar jaye, dil ki duniya bas jaye...aur ek wo jab jee chahey ki mohabbat aa jaaney par silsila sadiyon talak jaye ... waqt ruk ruk kar jaye ... Kuch aise hi makaam pe laayi hai zindgi, har pahar ki pehchan hui, par phir bhi anjaan rahi, jaaney ye kaunsa mod hai ...



Ye bah-khubi jaana maine ...

Sahara chand roza hai, jiske bina bhi guzara hai ...
Sahara ek ishara hai, aye shakhs tu be-sahara hai ...




Thursday, December 4, 2008

Main adhuri si, ek udasi hu...Jo ab kiye ho daata aisa na keejo


Ek tootey hue dil ki aawaz mujhe kahiye
Sur jis mein hai sab ghum ke wo saaz mujhe kahiye
Main kaun hu, aur kya hu? Kiske liye zinda hu?
Main khud bhi nahi samjhi wo raaz mujhe kahiye...

Dard hi to janm deta hai Ghazal, taggazzul, sangeet, shayari ko...Zindagi ke saaz mein dard ka ye taar janey kahan se jurr gaya ...log kehtey hai sunao apni Ankahi Dastaan humey bhi ... Shayad dard kam ho jaye ... Parrrr...

Lutf hai kaunsi kahani mein ..??? ...hum beety kahey... Ya jug beety ...

Zindagi bas ab tujhe main roothney nahi dungi ...


Thoda sa jee le, beet jayega ye pal saara. Sakoon to kahin nahi, chain kahin nahi, par jee ley tu, shayad dil behel jayega. Haan, ginty hu main sanson ko, hisab rakhty hu main lamhon ka, beet jaye sarey tanhayi ke pal. Ajeeb se khayal aatey hai, ghabrahat hoti hai, mere paas kyu koi nahi hai. Kya har koi khud ko sambhalta hoga, kyu aaty nahi mujhe ye ada fir?


Sambhal ja ... Tootna nahi... Bas jiye ja ... Kabhi roothna nahi... Hogi subah kisi din to... Ayegi shaam dard ki bhi ... Haunsla rakh ... Chaltey ja ... Rukna nahi ... Bheed se guzar ja ... Paas kisike bethna nahi ... Chupke se tu nikal ja ... Ankh kisise milana nahi ... Dekho kitni sari haseen cheezey mujse baat karna chahty hai ... chand nikla hai, hawa bhi kuch kehty hai, pattey sarrsaraatey hai, boondein moond moond kehty hai, deewaron se awaz aaty hai... Suno ...suno ....sshhh... sannatey mein aawaz hai ... khamoshi mein koi raaz hai ...


hauley se koi aaya hai ...ya fir mera khwaab hai ... aye mere saaye, bata mujko, kya tu bhi rooth jayega kabhi...muje chod jayega kabhi ... jaayega na tu bhi ??? chalo, utha lungi tere bhi har naaz ...


main jee to lungi na ???

Main Pagali Si Larki...


Main lamha lamha ginty hu
Har gali kuchey mein dhundty hu
Tum kahin, kisi mod par aaogey
Esi har pal umeed bunty hu
Tum har pal mujpar hanstey ho
Aur main yaad tumhe kar roty hu
Tum roz yadon mein aate ho
Phir aakar kahin chaley jaatey ho
Main kitni minnatey karty hu
Soney se bhi darty hu
Kyuki tum sapno mein aatey ho
Phir aakar aur tadpatey ho

Tumhara deedar hota nahi
Khayalon mein bhi behkaatey ho
Main baatein tumse karty hu
Be-khayali mein rehty hu
Log pagal sa kehtey hai muje
Kabhi kuch bhi keh jaty hu
Kabhi mand mand muskuraty hu
Kabhi aansu khud hi bahaty hu
Main tanha tanha rehty hu
Bheed kabhi ho logo ki
Bheed se door ho jaaty hu
Main lamha lamha ginty hu

Main jab bhi baat karne ko
Himmatey jutaaty hu
Sochty hu ab keh dungi
Par has kar hi reh jaaty hu
Tumhari awaz sunkar
Gum apna bhulaaty hu
Jo ankhon ankhon mein raatein kat-ty hai
Unhe bayaan kar paty hu
Main janty hu mohabbat ke dastoor
Pagalpan sa chaya hai mujpar
Main aisi hi rehna chahty hu...

Har bar ...Kyu ???


Har bar paas bulatey ho
Har bar bhool jatey ho

Har baat pe meri martey ho
Har baat pe maar detey ho

Har baat pe choom letey ho
Har baat pe vaar detey ho

Har baat suhani lagty hai
Har baat kahani keh detey ho

Har baat kasam uthatey ho
Har baat safai detey ho

Har raaz puraney kehtey ho
Har baat chupa bhi letey ho

Har rang mujme bhartey ho
Har ang hi be-rangi detey ho

Har din sapney detey ho
Har raat mein neend loot letey ho

Har lamz mein kyu tum behtey ho
Har pal ruka ke rehtey ho
Har shakhs me mujhe dekhtey ho
Har bar muh pher letey ho ???

Pyar mujhi se kartey ho
Door mujhi se rehtey ho
~M~

bas yuhin


Kya unka dil machalta hoga
Meri tarah jalta hoga

Kya raat basar hoti hogi
Neend sakoon ki hoti hogi

Kya meri aahat talashtey hongey
Chaunk kar uth woh jatey hongey

Kya chand ko raatbhar taktey hongey
Taaron ko gintey rehtey hongey

Kya hathon pe naam mera likhtey honge
Likh likh kar mitatey hongey

Kya kitaab raat der tak padhtey hongey
Usme dabi meri tasveer dekhtey hongey

Kya ankhein moondkar tadaptey honge
Pal pal rooh se pukartey hongey

Kya mera naam padhkar kahin
Bar bar woh padhtey hongey

Kya dosto se baatey kartey hue
Chupke se mujhe bhi dekhtey hongey

Kya juthi muskan woh bhi rakhtey hongey
Hanstey hanstey pal mein hi rotey hongey

Kya zindagi mein meri kami mehsus karte honge
"Aa bhi jao, Ab bahot hua"andar se cheekhtey honge

Kya har mohabbat karnewala
Gawahi pyar ke detey hongey ???????????
~M~