Wednesday, March 24, 2010

Harjayee

Ab kar hi li hai bewafai
To sun le o harjayee
Tu mere liye paraya
Main bhi tere liye parayee

Sunday, February 21, 2010


Milty nahi har kisi se tabeeyat apni

Rutbey mein kaafi oonchi hai Seerat apni

~Meg

..

Jurrat na karna koi paas aaney ki ...

Shiddatein barh gayi hai ab Nafratein nibhaaney ki...

~M

Saturday, February 20, 2010

~Ab der nahi ~


Ab Mohabbat ke charagh phir se jalaungi
Tujhe bhulakar hi mukammal sans bhar paungi
Koi tujsa na tha...Na ayega koi
Ab in lafzon ko phir na dohraungi
Gar dhund na paun Sachi mohabbat
To Khuda se bhi main larr jaungi
Aazmaya hai tune khoob meri zaat ko
Ab raah aaneywale har shakhs ko main azmaungi
Tu mere kaabil nahi...Tu mera nahi
Ab yeh lafz main tujpar hi vaarungi
Jaa be-kadar ab main na phir aaungi
Tujse kiye waadey ab main bhi na nibhaungi
Jab ayega mera shehzada haseen
Uski bahon mein jahan ke ghum bhul jaungi
Rabb de saharey main chalty jaungi
Ab Khuda tujhe hi manzil banaungi
~Meg

Thursday, February 18, 2010

~Piya Bawari~


Tohri chabb nyaari

Piya tohpe main tann mann haari

Aawan jaawan chedey sakhiyan saari

Kahat mohey Piya tohri Bawari

~Meg

~Sajan Morey~


Sajan tohri kaisi ye aadat
Mohey banakar birhan kahan tu jawat
Tohey kaahey na samjhat
Mori dasha mori haalat
Tharey bin soona sara ye jagat
Tharey angan hi sansar ki barkat
Ek pawan rishta kaahey yun todat
Ab Mudd ke na aaun...Hui main jogan di moorat

~Meg

Wednesday, February 17, 2010

Zindagi mein aya hai ek aisa bhi daur
Na tu chahey mohey
Na main chahun koi aur ...

~M

Saturday, February 13, 2010

~Chot lagty hai~

Keh gaya woh mujse
Mohabbat kayi tarah ki hoti hai
Tumse bhi ki thi kabhi mohabbat
Jo USS tarah ki hoti hai
Ab dost bann jao
Dost ki bhi zarurat hoti hai

Wallah khoob keh gaye ho tum
Mehboob ki aisi bhi seerat hoti hai !!

~Meg

....

Ab kabhi naa aaun main laut kar
Jab marr jaun to aana meri maut par

~M

~Valentine's Day~

Aisa bhi kya khaas hai is din mein?
Kahin barbadi ki shuruat hogi
Kahin qissey puraney dohrayenge log
Kahin yaadein umad ayegi purani
Kahin tanhayi mein dil behlayenge log ...

~Meg