Aj dard phir utha hai seeney mein
Kahan se laye haunsla jeeney mein
Baithe hai aaj maikhaaney mein
Peekar hi shayad asan ho ghum bhulaney mein
Katra katra tadap raha hai
Aag si lagi mere aashiyaney mein
Hosh kho jaye aur behosh hi rahey hum
Haan Khuda tera ye usuool aj todey hai hum
Mujse bardasht nahi ho raha ye dard
Aaj sirf sharaab hai mera humdard
Main seh nahi pa rahi jo guzar raha hai mujpar
Muje koi door kahin apne aap se bhi door le chal .....
~Kashish
Jinke kandhey pe sar rakha karte the tanhaiyon mein
Woh chod gaye hai mere dost saarey mujhe dard ki gehraiyon mein
Thakk gayi hun ... Haar gayi hun ...Har chiz se..Har shay se
Mubarak ho tum sab ko ... Khush raho apni ranginiyon mein
Chaley jana hai mujko itni dooor yahan se kahin
Marr kar bhi na aaun main ab tum sabke aashiyano mein
~Kashish
Sakoon na dhund is ehl-e-chaman mein
Ye to milta hai khud apne gireyban-e-watan mein ...
~Kashish
Na main tumhari Mohabbat hun
Na tum mere Dost ho
Main tumse ba-khabar hun
Tum bhi na be-khabar ho
Main tumse anjaan to nahi
Tum naam-e-sitamgar ho
Jab tera mujse na rabta na taluqaat koi
Phir kyu zehn-o-dil ko tera khayal-o-khabar ho
~Kashish
Kabhi yun hota tha
Ke hum bhi hote the
Tum bhi hote the
Aur sama-e-gulshan hara bhara
Ab yun hota hai
Na hum hote hai
Na humdum hota hai
Bas hota hai mausam-e-dhuan dhuan
~Kashish
Teri bakshi hui zindagi ke din do chaar hai
Aise mein sara wajood kyu Sogvaar hai
Mera koi sahara nahi
Ek TU hi madadgaar hai
Mere mehboob-e-Khuda
Ye bandi teri shiddat se talabgaar hai ...
~Kashish
Aye Khuda teri mohabbat-e-musalsal mein masroof hun is kadar
Ke tere pehle na koi naam tha ...Na baad mein koi hoga
- Kashish
Aye Khuda mujhe apne haal pe na chora kar
Mujhe aatish-e-tanhai maar daaleygi
Firaq-e-hijr ka ghum naa ijaad kar
Tuttey marasim ke manind rooh taslim na payegi
Main muntazir hun nigaah-e-mohabbat ki
Na-guzar haadso'n se zindagi ujar jayegi
~Kashish
Jahaan kisiko samaj paya kab hai ...
Insan khud ko bhi jaan ney laga ab hai !
~Kashish
Samjaoge kaise is na-samaj ko jo sabki samaj se paray hai
Samajna zehno ka kaam hai ... Hum to dil ke ghulam badey hai
~Kashish
Hindu ho ya Musalman
Bas ho apna Rabb pe imaan
Dil dukhta hai jab de koi ilzaam
Ke Allah hai mera ...Lab pe na ley uska naam !
Kitna zalim hai tu aye insaan
Mazhab pe uthaya tune sangraam
Jee karta hai noch lun teri zabaan
Khabardar jo maiyla kia tune mera gareeban !
~Kashish
Khwahishey dabana seekh lia hai maine
Hasraton ko sulaana aa gaya hai mujko
Ab bhooley se machal na jaye justajoo koi
Dil maarkar apna gala ghot liya hai maine...
~Kashish
Saalon se jin raahon mein dil maqaam kar baitha hai
Jahan ghar baar banaaye betha hai
Jis sadak par akhiyaan bichaaye thehra hai
Jahan se sadaayein aayegi dil thaan ke betha hai
Jahan pabandiyan lagayi ... Na aaney jaaney dia kisi ko
Usi ghar ko... Usi sadak ko...Usi raah ko...Usi dar ko ...
Aaj dil chorkar jaayein bhi to kahaan.....
~Kashish