Thursday, March 31, 2011


Paya hai kya zindagi pamaal kar key
Mohabbat esi bala hai jo khayaal se bhi behaal kar dey ...


~Kashish

Wednesday, March 30, 2011


Socha tha jee halka karne likha karungi
Dil ki baatein jo keh na paun khud hi se kahungi


Par ye kya hua ke likhker bhi chain na paya barbad-e-dil ne

Aur gazab lutf uthaya jab fasana suna sar-e-mehfil ne


~Kashish

Thursday, March 24, 2011


Ye duniya jisne banayi hai
Usey ye soch kahan se aayi hai


Koi shakhs yahan aisa nahi

Jiski hasrat paisa nahi


Dilon ki baat na karo yaaro

Ye ranj-o-ghum ka sheher hai pyaro


Ruktey chaltey uthtey bethtey

Sotey jagtey mehez bhatkey rehtey


Kahin khwahish-e-haasil mohabbat hai

Kahin pamaal viraan-e-dil ki barkat hai


Kahin peher-e-hijr mein zindagi ruki hai

Kahin sajda-e-mohabbat me rooh jhuki hai

Ab tanhayi mein tairkar bhi thakaan hui hai
Kinarey tak le jaye...Kya aisa koi hai ?


~Kashish

Wednesday, March 23, 2011

Raat diye se baatein karti rahi


Raat guzar chuki hai aadhi
Arsh-e-Khuda bhi pur num hai

Dhuan uraa gayi hai baati
Aur bujhey bujhey se hum hai


~Kashish

Wednesday, March 16, 2011

~Aaneywala~


Ye kaun shakhs hai meri taqdeer mein
Zindagi ki raahein jis-sey mileygi

Ek Umr to katt gayi uske bin

Par Zindagi usi ke sang kateygi


Woh koi aam shakhs nahi

Jisey khuda se maine hai maanga

Jab dekhun hatheliyon ko apni

Usi ke naqsh se buna hai taqdeer ka dhaga


Main chahey kahin par bhi palun

Mujhe Woh dhoond hi lega

Hai yakeen is dil ko mere

Jo sada mera hi raheyga


Mere shohar....Mere dilbar
Mujhe woh khoney hi nahi deta

Dawa hai uska main usi ki hun

Jo mujhe kisi aur ka honey nahi deta


~Kashish