Sunday, February 21, 2010


Milty nahi har kisi se tabeeyat apni

Rutbey mein kaafi oonchi hai Seerat apni

~Meg

..

Jurrat na karna koi paas aaney ki ...

Shiddatein barh gayi hai ab Nafratein nibhaaney ki...

~M

Saturday, February 20, 2010

~Ab der nahi ~


Ab Mohabbat ke charagh phir se jalaungi
Tujhe bhulakar hi mukammal sans bhar paungi
Koi tujsa na tha...Na ayega koi
Ab in lafzon ko phir na dohraungi
Gar dhund na paun Sachi mohabbat
To Khuda se bhi main larr jaungi
Aazmaya hai tune khoob meri zaat ko
Ab raah aaneywale har shakhs ko main azmaungi
Tu mere kaabil nahi...Tu mera nahi
Ab yeh lafz main tujpar hi vaarungi
Jaa be-kadar ab main na phir aaungi
Tujse kiye waadey ab main bhi na nibhaungi
Jab ayega mera shehzada haseen
Uski bahon mein jahan ke ghum bhul jaungi
Rabb de saharey main chalty jaungi
Ab Khuda tujhe hi manzil banaungi
~Meg

Thursday, February 18, 2010

~Piya Bawari~


Tohri chabb nyaari

Piya tohpe main tann mann haari

Aawan jaawan chedey sakhiyan saari

Kahat mohey Piya tohri Bawari

~Meg

~Sajan Morey~


Sajan tohri kaisi ye aadat
Mohey banakar birhan kahan tu jawat
Tohey kaahey na samjhat
Mori dasha mori haalat
Tharey bin soona sara ye jagat
Tharey angan hi sansar ki barkat
Ek pawan rishta kaahey yun todat
Ab Mudd ke na aaun...Hui main jogan di moorat

~Meg

Wednesday, February 17, 2010

Zindagi mein aya hai ek aisa bhi daur
Na tu chahey mohey
Na main chahun koi aur ...

~M

Saturday, February 13, 2010

~Chot lagty hai~

Keh gaya woh mujse
Mohabbat kayi tarah ki hoti hai
Tumse bhi ki thi kabhi mohabbat
Jo USS tarah ki hoti hai
Ab dost bann jao
Dost ki bhi zarurat hoti hai

Wallah khoob keh gaye ho tum
Mehboob ki aisi bhi seerat hoti hai !!

~Meg

....

Ab kabhi naa aaun main laut kar
Jab marr jaun to aana meri maut par

~M

~Valentine's Day~

Aisa bhi kya khaas hai is din mein?
Kahin barbadi ki shuruat hogi
Kahin qissey puraney dohrayenge log
Kahin yaadein umad ayegi purani
Kahin tanhayi mein dil behlayenge log ...

~Meg

Wednesday, February 10, 2010

~Toota ek Qahar...Meri Rooh par~


Dard ka ye qahar
Teri mohabbat ki meher
Raat ka ye peher
Koi pila dey zeher
Be-noor sa manzar
Meri zindagi ki sahar
Khush hai dilbar
Mere sog par
Aazmaish na kar
Meri zaat par
Kabhi de sada
Kabhi baat kar
Kab tak katey
Yun soona safar
Kabhi iske dar
Kabhi dar badar
Koi abad nagar
Ho mera bhi ghar
Jaye surat nikhar
Tujhe dekhkar
Kabhi ankhbhar
Mere palkon mein utar
Mere dard par
Marham to bhar
Ab na jeeyun is kadar
Allah !!!!!
... Ab bas bhi kar

~Meg



Monday, February 1, 2010

~Das hun~


Sans tootey...ye dil ghabraye
Preetam...morey haal pe tohey taras na aaye
Mori banjar akhiyan mein aansu suhaaye
Tu morey ghum par kaahey muskaye
~Meg

Ghum


Meri dharkan ki sargoshi madham si bajty hai
Tere kaano ki kharabi jo sun nahi sakty hai
Mere jism par phayla teri mohabbat ka naksh hai
Afsos teri aankhon mein koi aur aks hai
Rom rom chaya hai tere Ishq ka suroor
Janey mujse bicharney ka tuje kaisa hai guroor
Ye sog, ye maatam, mere bheetar ka ye ghum
Rudaali karey mere dard ki sargam
Aahon ki cheekh mere dil ki pukaar
Mubarak ho tujhe khushiyon ka sansaar
~Meg