Jeevan beet jaata hai palakein jhapaktey
Subah kabhi rotey, shaam kabhi hanstey
Tanha tanha log pal pal sisakkar
Roohon key sathi khwabon mein hai buntey
Humsafar paakar bhi jo khush nahi rehtey
Jahan jab miltey, woh wahin par bichartey
Raahein raahein phayley hai parbat, nadiyan, sang aur kaantey
Jisey chalna, tairna, udna na aye, wo gir girkar sambhaltey
Mausam banaa insaanon jaisa, pal pal hai rang badaltey
Kabhi garm, kabhi sard, kabhi bheena, shakhon se pattey bhi to hai girtey
Bichaye armanon se bhari sej jab koi dil machal machaltey
Duaon mein mangi chiz, jaaney kisey milty hai bina hath upar dhartey
Zindagi ka caravan badha chaley dar dar thokar lagtey
Safar khatm ho hi jata hai, sanson ki sham dhaltey
Jeevan beet jaata hai palkein jhapaktey
Bari der ho jaty hai aankhein malkar khultey ...
~By Megz~
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteshukriya meri justuju
ReplyDeleteapke lafzon ne ek bar phir haunsla badhaya hai...
aatey rahiye..acha lagta hai ... dhero pyar
This comment has been removed by the author.
ReplyDeletegar khamashi se faa'idah-e-ikhfaa-e-haal hai,
ReplyDeletekhush hoon ke meri baat samajhna mahaal hai
yeh ghaalib hein
ikh'faa-e-khaal(khaal ko chupana)
khamashi(khamoshi hi hai lekin sher ka balance theek rakhnay ko word ko chota kar diya hai)
mahaal(mushkil hona)
yaani agar chupp reh ke hi is bat ka advantage liya ja sakta hai ke mera hal aur meri hasti chupi rahay, tu phir mujhay isi baat mein khush rehna chahiyay ke mujhay samajhna kitna mushkil hai aur shayed isi mein meri khairiyat hai..kion kaisa laga?
mann kahi tumharay liyay,
ReplyDeletedil laga kar hum yeh samjhay, zindagi kia cheez hai,
ishq kehtay hein kisay aur aashiqi kia cheez hai
haii yeh rukh'saar ke sholay,yeh baanhein mar'mareen,
aap se mil kar,yeh do baatein samajh mein aa gayein
dhoop kis ka naam hai,aur chandni kia cheez hai
aapki shokhi ne kia,kia roop dikhlaaye
hamein,
aapki aankon ne kia, kia jaam pilvaaye
hamein
hosh kho bethay tu jana, be'khudi kia cheez hai
aapki raahon mein jab se,hum ne rakha hai qadam
humko yeh mehsoos hota hai, ke hein manzil pe hum
koi kia jaanay, mohabbat ki khushi kia cheez hai
wah wah bahot khoob mere dost
ReplyDeletekitna pyara likha hai aapne
kya ye waqayi aapka likha hua hai ... itne pyare lafz...jagjit ki ghazal yad aya isse...hosh walo ko khabar kya bekhudi kya chiz hai..ishq kijiye phr samajiye zindgi kya chiz hai...
apke sher ki ye line behudd choo gayi...
Aapki raahon mein jabse humne rakha hai qadam
Humko ye mehsoos hota hai ke manzil pe hai hum...
Isme raah ke badlay Rooh hota to kya baat thi ...
likhtey rahiyega...khush rahein ... salamat rahein...jeetey rahein..
:)
apke dusrey blog par bhi apko kuch likha hai
ReplyDelete:)
aap humse itna kyu dartey hai dactarni sahiba
ReplyDelete:)
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteaapke blog par bhi comment daaley hai humne janu
ReplyDelete@Meri Justuju : Shayari share karney se koi kisika thori ho jata hai ...
ReplyDeleteChalo apke naam ye lafz mere likhey hue :-
Zara Gaur farmaiyega ;)
Jab laga mere dilpar unki nazaron ke kamaan ka teer ...
Mera Ranjhaa hua deewana ... Saath hui baawri ye Heer ...
;)
This comment has been removed by the author.
ReplyDelete@Meri Justuju:-
ReplyDeleteZehen ke khayalon mein
Rooh ke ujalon mein
Zindgi ke jheelo mein
Zaat ke faseelon mein
Ratjagon ke daman mein
Khwahishon ke angan mein
dilke khush sehra mein
Chashm-e-tar ke darya mein
Dard ke jahan mein bhi
Ashk-e-bezuban mein bhi
Aur kuch nahi rehta
Teri yaad rehty hai ...
:)
@Meri Justuju:-
ReplyDeleteKabhi ye zam ke tu mera hai faqat mera hai
Kabhi ye darr ke tu mujse sar gira to nahi
Kabhi ye dua ke tuje sarey jahan ki khushiya mile
Kabhi ye khauff ke tu mere bagair khush to nahi
This comment has been removed by the author.
ReplyDelete@Meri Justuju:-
ReplyDeleteUski ankho ka tabassum rahe kaayam ya Rabb
Uske jeevan mein khushiyon ka basera kar de
Tu meri karb ki raaton ko bhaley khatm na kar
Uske har shaam ki akhir mein sawera kar de
Uske dil ke kisi koney mein jagah de mujko
Uski ankhon ko mere sapno se khaira kar de
Ye mere dil ki dua hai mere malik sun ley
Sari duniya se chupa kar usey mera kar de ...
Luv U
:)
@Kamli
ReplyDeleteMohabbat ek ehsaso ki pawan si kahani hai
Kabhi kabeera diwana tha, kabhi meera diwani hai
Yaha sab log kehte hai meri ankho mein aansu hai
Jo tu samje to moti hai, jo na samje to pani hai
meri justaju,kuch tu khayal kar tu ne tu mera naam bhi le liya sar-e-mehfil,
ReplyDeletekuch tu pardah rakh.
sochnay ki baat hai meri pyari justaju ke meri har poetry hi romance bhari hoti hai ya phit.....tumhein cherna maqsad hota hai? nahin kia
ReplyDeleteyeh mein ne nahin likha,pasand tha share kar liya,mein ne tu tumhari M ko dekha bhi nahin abhi tak..mujhay tum se dar lagta hai ke tum apnibaton se mujhay qatal na kar do
@pyari kamli...
ReplyDeleteLo ji
humne nikal dia naam wala post ... ab thori sohni si muskaan la do mukh par ... hansney par tax nai lagta..kyu ji ..
tumharay liyay :) :) :)
ReplyDeleteapke blog par bina ka comment kese ?
ReplyDeletehumne bhi comments dali hai wahan par...ab bina ke paas bhi pswrd hai apke blog ka ?
Ajj kal tumharee ek post per 20 sey ziada comments atey hien...:)...
ReplyDeleteye kesey ilfaz keheny lagi ho tum...
k her kisi ko yahan kench latii ho tum..
mey tu sochti hee rah jatii hon k kia likhon...
k meri tu wesey bhee koi uukaat nahee...
loved reading it though...:)
ye doctor logo ko kya ho gya hai
ReplyDeletemareez baney bethey hai ... chaliye hum sarey mohabbat ke mareez ikattha jakar ilaj karwatey hai ... bolo hai koi marham ..koi dawa ..koi kadha...koi lep ..jo dil ke ghaav bhar sakey ? duriyaan mita sakey ...dil ke tukro ko jorr dein ... humsafar ko aur bhi paas bula lein ... sanson se jorr de...baahon se jorr de...tann mann paavan kar dey ...
kaashhhh ......aisa hota...
:)
zindagi aur waqt ka karvan aagay hi barhta chala jata hai aur har shaam yeh raaz khulta hai ke aik din aur tamaam hua,shaam woh khoobsurat waqt jab, udaasi shiddat ke saath dil mein utarti hai...
ReplyDeletebujha saka hai bhala, kaun waqt ke sholay
yeh aisi aag hai jis mein dhuan nahin milta