As the day came to an end, it was time to say Goodbye
Easy to say but tough to stop myself from cry
Memories you left behind, will always remain forever on my mind
Then as tears fall from my eyes, you forced smile and said "Please dont cry"
The days we spent togather, I'll miss them the most
Without you my life seems to be lost
I never thought this day would come
You left my life and I stood still and numb
You tried to explain that you'd come back
But I just turned away coz I simply couldnt face the fact
So much you mean to me I cant show
How much I love you, you'll never know
The days have passed, the time has come
Just squeeze me inside you, my soul needs your warmth
The words you spoke, the time we had
Just as I cannot, I bet you too wont forget
I look forward to meet you soon
Till then I wish upon stars sitting under moon
The hopes within my soul will never fade
Though I know for me you are not made
Till end of last breath with open eyelash
I'll wait to see you standing in front of me in blood and flesh
I look at you for one last time
Untill you return and spend with me more time
I pray God to be with you
May all your dreams and happiness come true
Just as I miss you , I hope you will miss me too
A smile on your face will reach here from miles
And shall stop the tear falling from my eyes
Just as I bid you final goodbye
A sunken heart's emotion thats all my face signify
Forgive me this birth for I was helpless
But my love for you was true, thats for sure you can test
The heartless world always bitterly mocked and bitterly laughed
But God being with us, I promise next birth to be your better half...
~By Megz~
baaz aayay aisi mohabbat se,
ReplyDeleteuthaa lo paan'daan apna !!
is mohabbat ka nectar kuch ziadah meetha aur thick nahin ho gaya?
koi nayi botal kholo na yar?
khuda ka vastah hai ke record change karo!
itna baja diya hai yeh geet mohabbat wala, ke ab tu lafz bhi clear nahin sunaa'ii detay song ke,
aik sher aapki khidmat mein arz kar rahi hoon,qabool kijiyay
saaray muhallay mein zara ghoom ke niklay.
aashiq ka janazah zara dhoom se niklay!!
ummid ki jati hai ke merey janay ke baad bhi yeh sher aapke dimagh pe chipak jaayay ga.
aashiq ka janazah hai, zara dhoom se niklay!
ReplyDeleteThis comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteThis comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteThis comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteaap khud hi apna pyar sambhal'iyay,mera kia hai? mein mann kahi ko lakh chah loon,unhein mein kahan nazar aa'oon gi?
ReplyDeletemann kahi ke dil mein tu aap jaisay sangdil sanam ka dera hai...
mein tu filhal yeh geet aansoo bhari nigahon se ga kar jaisay taisay zindagi kaat rahi hoon
janay woh kaisay log thay jin ke pyar ko pyar mila,
hum ne tu jab kaliyan maangein kanton ka haar mila
waisay meri justaju,agar aap ziadah possessive aur jealous na hon tu mil baant ke khaanay mein kia aitraaz hai?
woh kehtay hein na ke,"ittefaq mein barkat hoti hai" aapke kalam mein tu waisay bhi barkat uthi hui hai...("jaisay lamhon se barkat uth li jayay)
waisay bhi jab "bach'cha" ro ro ke sarak kinaaray akela mar jaayay tu mom ko naya baby adopt karna parta hai,burhaapay ke sahara bhi tu chahiyay hota hai na!
kion meri justajoo?
meri justaju,
ReplyDeleteaap ne tu khud kaha tha ke,
"mujhay maut ki aaghosh mein sonay de"
aur ab, jab mein apna dil kara kar ke aapki help ka band-o-bast kar rahi hoon tu, dead body hi kafan chor kar dor laga rahi hai? very strange! log kaisay apnay kahay se mu'kar jatay hein? tongue twister!
jao hum nahin aap se boltay meri justaju, if u really luv mann kahi tu, aapko mar ke dikhana paray ga
jo wadah kiya woh nibhana paray ga
fi amaan allah!!
waisay meri justaju, aap jis tarah unKahi ko address kartay hein,l
ReplyDeleteagta hai jaisay shehzadah saleem,anarkali ko bula raha ho, lekin is dafa anarkali ko nahin,shezada saleem ko marna paraay ga!
Good Luck!
This comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteYa Allah
ReplyDeleteRaat tak to maidan khali tha. subah dekha to ye maidan jung se bhara kaise hai ?
Ye mere post ki comments di hai aap dono ne ? tauba tauba...kaunsi manhoos ghari mein ye post daali maine ?
Mann kahi ke mann ki shanti ke liye hi sahi .Shant ho jao dono.. Kamli aapko itna nahi kehna chahiye tha...Maine kaha tha na ye maut jesa lafz hume pasand nahi..Aur Meri Justuju, mohabbat kahin nahi bhagi jaty.Jo apka hai wo apka hai...
Kamli meri dost...na kaha karo ye maut wali baatein...jachty nahi...dekho apka bahot acha image banaya hai aapne pehle din se..Ab yun ukhar na jaya karo har post mein...yahan blog par to mere dil ki baatein hai na.yahan nahi to kahan likhungi...na likhu to ghutt jaungi...ek orkut account tha jahan bayan kar paty thi sab,ab to wo bhi nahi bacha ... likh lene do muje jo kehna hai...meri sari ankahi...
~Udas Ankahi~
mann kahi,
ReplyDeleteyun udaas na ho,mein tumharay liyay maidan-e-jang chor ke bhagnay ko tayyar hoon,
tum khush raho apnay oon ke saath aur khuda unhein Prophet (hazrat Nooh) jitni hazaron saal umar ata farmayay,guzaarish hai ke, mann kahi aap bhi meri justaju ke liyay garva choth zoroor rakhiyay ga.
bohot aggressive se aashoq hein yeh aapke.
merey naseeb mein aap ka pyar kahan,
isi pe aik dard'naak sa song yad aaya,
ghungroo ki tarah bajta hi raha hoon mein(yeh song wala ghungru hi hai,maut wala nahin, meri justaju)
meri justaju ne paida hotay hi pehla ishq mann kahi se kiya ho ga, sach batana mann kahi se pehlay kisi aur se tu nahin......
kion ke meri justaju, tauheed ke qaa'il ho kar bhi aapay se bahar ho rahay hein.
mujhay bhi ishq tu sirf mann kahi se hua hai par kia karoon mujhay har shakhs aur shai mein sirf mann kahi nazar aa rahi hai..
Ah!meri mann kahi, kaash tujh pe mohabbat ik nigah dal kar amar ho jaa'oon!! ai kaaash!
Apke dusrey blog par comments di hai humne
ReplyDeleteunpar ho sakey to jawab de dijiye...
May i come in? is medhan e jung mey agar mey qada rakhon tu, mujhey jaan sey tu nahee mar dia jay ga? jaan ki aman paon tu kuch arz karon...?
ReplyDeleteMeghz tumharii post ki ek line per meri nazar atak gaii hey....
" Just as I miss you , I hope you will miss me too"
khud tu yaadion k zajerey mey akeley hien mugar...mahboob k liey kion esey baat moun sey nikley? kuch bad dua jesi lagi mujhey ye line...
but like always, post is awesome, ur expressive abilities are shining like ever...:) luved reading it in english for a change..
Rabi,
ReplyDeletedekho to upar kya ho gya hai in dono ke beech...
:(
Kuch acha kar do ... Main idhar sambhalu, tum udhar sambhal lo ...
:)
@Reflection:
ReplyDeleteI pray God to be with you
May all your dreams and happiness come true
Just as I miss you , I hope you will miss me too
Dekho duayein hi duayein hai ... bad dua jaisa to ek lafz nahi ... galat padha aapne shayad... bas humney to umeed ki ...jese hum unhe yad karte hai, wo hume yaad rakhey...
Phir to ye gaaney bhi bad duaon jesey hongey :
Kabhi khamosh baithoge kabhi kuch gungunaongey
MAIN UTNA YAAD AUNGA MUJE JITNA BHULAOGEY
Aur ye gana bhi:
TUM MUJE YUN BHULA NA PAOGEY
JAB KABHI BHI SUNOGE GEET MERE SANG SANG TUM BHI GUNGUNAOGEY...
@ To ALL
ReplyDelete"Unke liye likha hua" Wale Post mein sabke comments par comments di thi humney
Logo ne pichley posts bhula diye...wahan bhi main comments ke jawab dety hu ... Aap to jo latest post aaye uspar chatting shuru ho jatey ho...hehehe....So sweet of you all ...
Luvss
@Kamli
ReplyDeleteMere andar us shakhs ki dhunn bajty hai...jaise magan meera ke andar krishna ki ... jo dil mein hai wo saaf saaf yahan par bhi ... ye meri khuli kitaab hai ... padh sako to padh lo ... iske lafz badal nahi saktey...record aisi hi hai kuch ..kya kahey aur ... and i love this record ...the way it is ...