Koi chupke se khayalon mein ata hai
Meri saadgi ko mohbbat se apnaata hai
Meri aadaton ko Khuda banakar
Khud aadat meri bann jaata hai
Mera hath wo hauley se thaamta hai
Kuch aise jaise kangan bhi sharmata hai
Unki khushboo jo qareebiyon se mehsoos hoti hai
Hawa unhe bikherkar har soo phaylata hai
Jab wo baatein karey mujse, to palkein jhuk jaty hai
Jaise mere hoth silkar koi lafz dafnaata hai
Adaon se unki kuch aisa khumar charhta hai
Jaise cherhkar koi bhanwra phool choom jata hai
Unki mohabbat ke har rang
Muje sans sans jeena sikhlata hai
Hokey ghumshuda adhurey reh jayenge
Apke bin kitna khauff aur sannata hai
Takty hai nazar, dhundey mera rehguzar
Khuda janey kaisa intezar karwata hai ...
~By Megz~
This comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteHmmm ...
ReplyDeleteaas aur pyaas ... dono adhurey ke adhurey hi rahey ...
mein tu sirf yeh hairan hoon ke kaisay aas 'pyaas aur isharon mein waqt zaaye kiya jata hai, kabhi socha hai ke sirf zindah log hi ikh'telaaf kartay hein,khwab dekhtay hein,lartay hein ,mohabbat kartay hein,khuda na karay zara si koi beemari,maut ya haadisah insan se yeh maamooli lekin zindagi se bharpoor jazbay aur yun interact karnay ki salaahiyyat hi cheen ley tu kitna bura lagay ga ke mohabbat karna jo kbhi sehat ,haalaat javani aur jazbon ke saath mumkin tha,woh bhi waste kiya,kis din ke liyay sab bacha ke aur utha ke rakha! ke baad mein insan sirf afsos kar sakay ke kuch bhi na kiya,sari umar raaye'gaan. kitni bari anaa hoti hai insan ki aur hasti kitni haqeer,
ReplyDeletelekin rona tu yeh hai ke waqt pe kisi ko samajh hi nahin aata,har koi samajhta hai bohot waqt,bari umar pari hai, ghalib ka aik sher oon sub logon ke liyay, jinki anaa oon ke qad se bari hai(5-6 foot qad aur anaa 100 miles ki)
umar-e-draaz maang ke laayay thay char din,
do arzu mein kutt gaye ,do intezaar mein
pyari mann kahi,kuch gustaakhi ho gai ho tu de dijiye muaafi...
ReplyDeleteacha yeh aik bohot khoobsurat bhajan tumharay liye
http://www.youtube.com/watch?v=6u5MlRPuQfE
ai ri mein tu prem deevani mera dard na janay koi,
na mein jaanun aarti bandhan,na pooja ki reet,
hai anjani daras deevani meri,pagal pareet,
liye ri mein ne nain do aur yeh deepak liye sanjoye
wah wah wah ...lafz to waqayi bahot gehrey , aur pakeeza hai ...
ReplyDeletehindi mein kahu to -- sunkar mann praffullit ho jayega... zarur sunungi ...
@Kamli
ReplyDeleteI do post comments on your new blog too.