Kabhi kabhi pee lety hu ...acha lagta hai
Kabhi kabhi nasha kar lu ... acha lagta hai
Bottle sari na sahi, ghutt ghutt hi sahi
Ghuttan se to ... acha lagta hai
Jab dimagh halka ho jaye..Hosh kho jaye
Hauley se jo haal hota hai ...acha lagta hai
Maine peeya nahi is waqt, na jaam chalka aaj raat
Lo ... jooth kehney mein bhi ...acha lagta hai
Ankhein bandh kar lu gar thori si charrh jaye
Nasheymand hokar, dil kholkar bolney mein ...acha lagta hai
Galay se madeera jab utarey seeney mein
Ghum boltey hai , tann doltey hai....
Achaa lagta haiiiii ......
~By Meg~
tum ney lafzon k jaam peney shoro ker diey hien abb...:)
ReplyDeletelahoo mein utray zehr-e-gham tab janiyay kia ho,
ReplyDeleteabi tu talkhi-e-kaam-o-dehn ki aazmaa'ish hai
raatbhar jam se jam takrayega
ReplyDeletejab nasha chayega tab maza ayega
kaam(DESIRE,INTENTION)
ReplyDeleteDHEN(PRESERVATION)
AAZMAA'ISH(TRIAL,tEST)
hota hai yar hota hai,dil chota nahin kartay,doosra bhi tu aam insan hai kaunsa bhagvaan hai,har kisi ko aap ki true worth ka andazah nahin hota.
abhi tu duniya pari hai aagey aur tumharay liyay yaqeen karo jo bhi ho ga bohot acha ho ga,mujhay is bat ka poora yaqeen hai, tumhein bohot pyaar,
waqt zakh'm ke har ghaa'o ko bhar deta hai
umar bhar lekin iski chubhan rehti hai
faasilah ishq ki manzil ka hai do chaar qadam,
umar bhar lekin iski thakan rehti hai!
wah bahot khoob ...umar bhar iski thakan rehty hai...
ReplyDeletewaqayi...thakaan mehsoos ho rahi hai abhi se muje... janey aage ka safar kese tay hoga ...
kamli ..gar dost samajtey ho to ...apke blog par hume bhi invite kijiye..hum bhi padh paye apki ankahi dastaan ...
Kamli ...aap chaho to humare blog ko follow kar saktey ho ... follower bankar...feel free to add up...
ReplyDeletebohot shukriya aur be'inteha pyaar.
ReplyDeletekamli ... aap ne jo blog join kia hai ...justajo...kya ap us shakhs ko jantey ho ?
ReplyDeleteshakhs ko in person tu nahin janti,lekin woh bhi pasand kartay hon parhna blog.. aap oon ke blogs parhti hein?
ReplyDeletedee'vaaron se milkar rona acha lagta hai
ReplyDeletehum bhi pagal ho jaayein gey aisa lagta hai
kitnay dinon ke pyaa'say hon gey ,yaaro socho tu
shabnam ka ik ik qatrah, jinko daryaa lagta hai
duniya bhar ki yaadein, hum se milnay aati hein
shaam dhalay is soonay ghar mein mela lagta hai
kis ko qaisar pathar maaroon, kaun paraya hai
shish mahal mein ik,ik, chehra apna lagta hai
mujhay yeh bohot pasand hai ghazal, tumhein bheji, unkahi!
Hanji,
ReplyDeleteReflection is my very good friend. I am following her blog regularly. ...acha likhty hai wo bhi ...
aapne abhi tak ijazat nahi di humey apna blog padhney ki
:)
yar mein tu aap ki follower hoon ab aur justajoo se ho kar mujh tak aa'iyay aap!
ReplyDelete