Thursday, February 19, 2009

~In dino kuch yun mehsoos karty hu~





Pairon mein wazni lohey ki zanjeer baandhi ho jaise. Uthakey do kadam gar aage badhana chahu, aur chaar kadam peechey ho jau. Kuch andekha zor mujpar jadu kiye baitha hai.


Sehar hotey hi angrayi lekar koshish ke sath bistar par baith to jaty hu, kambal hataakar jab uthney jau to yun lagta hai jaise main soyi hi kab thi, ankhein thaki ki thaki, chehra maayus, badan pani pani, aaiyna dekhney se katraati nazrein.


Almari kholu aur kitna waqt yuhin khadi reh jaty hu, na koi soch dimagh mein, na koi khayal. Koi kehta tha kabhi, tum jo rang pehno wo mausam ka rang. Poochtey the aaj mausam kaunsa rang liye aya hai. Ab sochna padta hai, pehnu to kya pehnu, kya aaj aankhon mein kajal laga lu? Shayad aankhein bejaan na lagey. Zehen mein uthey sawalon se nipatney mein waqt lag jata hai.

Ghar se college tak, college se office tak, office se ghar tak ka rasta asaani se kat jata tha baatein karte karte.

Yun to main khuli kitaab hu, jiski ankahi dastaan kitne hi dilon ki dastaan bayaan karty hai. Par jab panney phattney lagtey hai, tab inhe sanwarna mushkil ho jata hai, dhool jamney lagty hai, lafz dhundla jatey hai, seeyahi mitney lagty hai aur rang urr jatey hai...

Pehley bhi kuch yuhin kaha tha apney baarey mein ...Lo, dohra doon to kya ranj hai ...

" Dhool ki hirasat mein palty hui alehdi kitaab hu main,
Nazar phirakar palat sako panney to padh lo ...!!! "

Wednesday, February 18, 2009

~Khaak udty hai mujme raatbhar~



Khaak udty hai raatbhar mujme
Kaun firta hai der badar mujme
Mujko mujme jagah nahi milty
Tu hai maujood is kadar mujme
Waqayi, tu maujood hai dil ki har gehraiyon mein ...
Ek zara hath badhaney ko pakar ley daman
Uskey seeney mein sama jaaye humari dharkan
Itni kurbat hai to fir faasla itna kyu hai ...

Tuesday, February 17, 2009

~Main hui Bawariya~


Koi chupke se khayalon mein ata hai
Meri saadgi ko mohbbat se apnaata hai

Meri aadaton ko Khuda banakar
Khud aadat meri bann jaata hai


Mera hath wo hauley se thaamta hai
Kuch aise jaise kangan bhi sharmata hai


Unki khushboo jo qareebiyon se mehsoos hoti hai
Hawa unhe bikherkar har soo phaylata hai


Jab wo baatein karey mujse, to palkein jhuk jaty hai
Jaise mere hoth silkar koi lafz dafnaata hai


Adaon se unki kuch aisa khumar charhta hai
Jaise cherhkar koi bhanwra phool choom jata hai


Unki mohabbat ke har rang
Muje sans sans jeena sikhlata hai


Hokey ghumshuda adhurey reh jayenge
Apke bin kitna khauff aur sannata hai


Takty hai nazar, dhundey mera rehguzar
Khuda janey kaisa intezar karwata hai ...


~By Megz~

~Dil Ka Mausam~


Aaj bahar mausam kuch mere dil ke mausam jaisa hai. Badalon ki lapet mein asman hai. Jaise dharty ne kaala rang pehna hai. Haalan'ki ye rang meri mohabbat hai, par Asmaan to neela hi acha lagta hai.

Aaj sawerey jab ghar se nikli, to rasta sunsaan tha. Subah ka pehr, 7 bajey, har taraf andhera tha, jaise koi tufaan aaney wala ho. Khauffnak manzar se mera dil baitha jaa raha tha. Haunsla karke kadam badhatey hue chal padi apni raah par. Gaur farmana, mausam bahar ka aur mere dil ka ek jaisa tha. Tez barish jaise dabb gayi ho. Boondein bas rimjim phuhaaron si aa aakar chehrey ko chooye jaa rahi thi. Geeli geeli si zameen aur bheeney bheeney se ehsason se bhara mera dil, hu ba hoo ek jaise the.

Ye din ki kaisi shuruat hai ? Ye kaisa mausam hai ? Ye kaisa rasta hai...Main kahan chal padi hu...Meri manzil kaunsi hai ... Yaa to barish tootkar gir padey, mere tann mann ko bhigo dey...Ya to tufaan wahin thamm jaye ... Yun dekho to dono mausam raas nahi aaney mujey... Bina barish zameen sookh jayegi, sansein rukk jayegi, rooh ghutt jayegi ... Aur gar aa gayi barish tufaan liye, to kuch nahi bacheyga ...

Ya Allah, rasta asaan kar dey, ya safar khatm kar dey !!!

Monday, February 16, 2009

~Khwahish~



Jaagty thaki aankhon ke adhurey talabgaar khwab, kisi roz teri panaah mein poorey hongey ...

~Woh~




Ghor andheron ke beech badalon mein chupa wo safed chand ho tum... jisey main ghanto takty thi hoon hazaron bezuban khamosh lafzon se guftagoo karty hoon, phir bhi nazar nahi hatty, na dil bharta tha ...

Samandar ke tatt par behty sahilon ki hawa ho tum ... Jahan narm reit par pair phaylakar sakoon se baith jau, to wo hawa mere ird gird lipatkar, bosa dekar, balon ko sehlakar, maathey ko choomkar pal bhar mein ghumm ho jaty hai...

Thake hue din ke baad, jab sham ko ek pyaali chai liye gar sard mausam mein tanha soch ke safar par nikal padu, to wo mere safar ke humsafar bantey hai, hath thaamkar, ungliyon mein ungliya parokar, dooja hath mere kandhey par rakhkar chaltey hai....aise mein main meelon door chalty jaty hoon ... jahan wo le jaye, na waqt ka hosh, na jagah ka, na manzil ka ...


Subah uthu to jaise muje koi pyarbhari nigaah takty rehty hai, jaise raatbhar wo sotey nahi, mujme khoye khoye se rehtey hai, aur jab karwat loon, to meri latton ko apni ungliyon se hauley se uthakar, meri palkon par apne hoton se maddham maddham phoonk maarkar badey naazo se uthatey hai ...

Isliye bhi koi yahan rukta nahi ...
Log kehtey hai mere dil par unka Saaya hai ...

Saturday, February 14, 2009

~Tere khayal ki aabo-hawa mein jeetey hai~


Kabhi kabhi pee lety hu ...acha lagta hai
Kabhi kabhi nasha kar lu ... acha lagta hai

Bottle sari na sahi, ghutt ghutt hi sahi
Ghuttan se to ... acha lagta hai

Jab dimagh halka ho jaye..Hosh kho jaye
Hauley se jo haal hota hai ...acha lagta hai

Maine peeya nahi is waqt, na jaam chalka aaj raat
Lo ... jooth kehney mein bhi ...acha lagta hai

Ankhein bandh kar lu gar thori si charrh jaye
Nasheymand hokar, dil kholkar bolney mein ...acha lagta hai

Galay se madeera jab utarey seeney mein
Ghum boltey hai , tann doltey hai....

Achaa lagta haiiiii ......

~By Meg~



Thursday, February 12, 2009

Life: Adjustments & Ammendments



We meet so many people during a day. Theres not a single person with whom it is easy to pass the moments without any disagreement of views or having different opinion. We either accept the thought or try to falsify by putting forward our thought. In the process, we end up creating grudge, roughness or little dismooding. Either you can be happy or make someone happy by letting them win.


Life seems full of adjustments and ammendments with every breath till one notice the ladders of heaven ...


Zindagi tu chahey to jee lu ... tu chahey to marr jau...
Tu chahe to hans lu ... tu chahey to ankh num kar jau..
Tu chahe to jeet lu ... tu chahey to haar jau ...
Tu sun ley to keh lu ... tu rukh mod ley to chup kar jau ...
Tere isharon par patthar banu ... teri hukumat se raakh bann jau ...


Zindagi zindagi ... bas sansein le lekar ...

Tuje sham se subah
Aur subah se shaam kar jau ...

Shayari kab banty hai?



Jab koi gair apna sa lagney lagey hum lafzon se unhe behlana chahey, apnana chahey, aur jo meethey tareefon ke phool zabaan se jharney lagey, usey shayari kehtey hai...

Jab zindagi mein aisi koi ghadi aaye, jisey hum yaadgar banana chahey, aur is na chupney wali khushi ko lafzon mein bayaan karna chahey, to duniya ke aage apne darya dil khazaney se ubharney wali lehron ko shayari kehtey hai ...

Jab kabhi shaam ko, doobtey sooraj ke manzar ko main taktey jau thaki nigaahon se, tab zindgi ke haarey hue palon ki sham dhalney lagty hai, aise haalat mein gar khudse chand baatein kar lu, aur kagaz se kalaam karu , to shayari bann jaty hai ...

Jab mehfil sajaani hoti hai, aur samaeen ki bheed ikattha hui nazar aaty hai, jab ek nahi hazaar dil behlaaney hotey hai, tab khaatir karney ki koshish mein churiyon ki khanak jese chann chann karkey lafz goonjtey hai darbar mein isey shayari kehtey hai…


Jab do dilon ki mohabbat gehri hoty jaty hai, aur dilbar apni mehbooba ki ankhon mein dekhkar, dil kholkar kuch kehna chahta hai, jab izhar-e-mohabbat jannaton ki sair karwana chahta ho, aur hauley se hath pakarkar paas aakar dhadkan se dhadkan jorkar jo lafz nikaley usey shayari kehtey hai...

Maine in keemti lafzon se chand guftagoo karke poocha: "Aye Shayari" gar main ye kahu, muje tujse mohabbat hai, kya mujse tu wafa karegi ?

Jawab aaya: Main izhaar karna janty hu, main zaahir kar sakty hu, main insan nigal sakty hu, main doobtey bhanwar se ubharkar bahar laa sakty hu, main chand lafzon mein bayaan kar sakty hu, ek bar khul jau to sau rang dikha sakty hu, gar padho kabhi to lambi dastaney ek hi kahaniyan dohraty hai, gar socho gaur se to chand lafzon sau dastaney bayan karty hu, ... gar kartey ho mohabbat mujse, to apnaa lo meri khubiyon sang mujko, gar daga kar jaogey, to sabak sikhlaa sakty hu ...

Shayari ... meri purani sathi hai ... mere lafz, meri kalam, meri ankahi dastaan ...
bayaan kartey hai ... kisi din, kisi pal, kisi zamaaney, woh shakhs tere paas tha ... !!!

Shayari sarey bhed kholty hai, Shayari waqayi sach bolty hai ... !!!

~Meg~

Tuesday, January 13, 2009

~Meri Justaju~


MERE DIL KE MAALIK
Yun hukumat na kar mujpar

Dekh kaise khwab tohfey kiye tune
Dekh kesi khwahishey sajayi tune
Dekh kitne intezar hai mausam mein
Dekh kesi aas lagayi tune

Khoyi ankhon ne pukara hai tuje
Takdeer se farmaish ki hai maine
Chand gawah hai raaton ka meri
Toottey taarey ne kitni saazish ki hai

Darwazey pe aahaton ka sangeet hai
Sanson mein beqarari ki reet hai
Qurbaton se ab meri jeet hai
Justajoo meri kitni shadeed hai
Bikhri zulfon ka kuch khayal kar
Thaki ankhon par rehem kar
Maddham sanson ki raftar badha
Bas ab aakar ho ja mere samney khada ... !!!


~Megz~