~Mausam-e-Sard Ya Mausam-e-Dard~
Mausam mere ird gird thehra hua hai
Dard char-su phayla hua hai
Rutt jaise hai aaty aur jaaty
Kash dard ki bhi ek rutt tay ki jaty
Taki waqt be-waqt dastak-e-dard na aata
Aur jab jab aata ...Waqt-e-rukhsat lekar aata
~Kashish
ji aj dard ki siddat se bachain tha. ap ke jazbat padhkar man thoda rukh badala hai. bahut achha likhti hain. kuchh lainen jehan men ubhar rahi hain.. rutt koi ho dard to apna sarmaya hai. lagta hai khuda ne ise mere liye banaya hai.
ReplyDeleteWah bahot khoob kaha aapne bhi ...
ReplyDeleteshukria for comment posting ... !
बहुत ही खुबसूरत लिखा है जी,
ReplyDeleteरुत्त जैसे है आती और जाती,
काश दर्द कि भी एक रुत्त तय की जाती,
ताकि वक़्त बे-वक़्त दस्तक-ए-दर्द ना आता,
और जब जब आता....वक़्त-ए-रुखसत लेकर आता,"
क्या बात है जी...
कुंवर जी,
shukria kunwarji
ReplyDelete