Thursday, January 6, 2011
~Jab na teri meri baat hoti hai~
Seh letey hai sitam tere
zaban teri
bol tere
anginat lamhein ese
jahan tune diye
dard ghanerey
Woh bin sochey
Zuban se nikley
Harf tere
Kabhi zikr-e-judai
Kabhi hijr ke pherey
Seh letey hai hum
Zakhm sham sawerey
Fakat islye Sanam
Kyuki dekh liye mene
Sarey chehrey tere
Ku-ba-ku zindagi mein
tu hi tu hai phaiyley
Mohabbat tujhi se ki hai
Jese bhi ho
Akhir TUM ho MERE
~Kashish
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
waah!
ReplyDeletebahut badhiya bhaav...ji kshma chaahunga aap hindi me likhoge to hame or bhi jyada achchha lagega...
kunwar ji,
Hoke maayus na yu shaam ki tarah dhalte rahiye
ReplyDeleteJindgi ek bhor hai suraj ki tarah nikalte rahiye
Tharoge ek paav par to thak jaaoge
Dheere dheere hi sahi magar raah par chalte rahiye
Mushkile dilo ke iraade azmayegi
ReplyDeleteKhwaabo ke parde nigaaho se hatayegi
Girkar tujhe hai smabhalna
Yeh thokaren hi tujhe chalna sikhayegi