Kyaa hi payega koi humey paakar... Sehra ki reit hun main ... Hawa kidhar uraa le jaye...Main khud hairan ho jaty hun apne badaltey thikaney dekhkkar ...Kabhi kabhi mehsoos hota hai ke main samandar ke beecho-beech hoon ...Kinaro se senkro meel door ...Chand-raat mein, naav khadi hai meri .... Jiske chaar su mehez paani hi paani hai.....is paani mein koi hulchul nahi...jese din ki thakaan utaarta hua shaam apne tuttey khatiye mein leita hua koi majdoor...
Mere Koso door koi nahi...kuch bhi nahi...Hawa beh rahi hai ek maddham shor karty hui...Andherey ke Sannatey aur aise mein ek kambal lapeitey hue baithi hui main ...Bas dekhe jaty hun paani ki dhaar ko....Ese aalam mein jaise khud se bhi juda hun main... Mera koi Jism nahi...Bas Aatma hun main...
Mere bahar ki Duniya se koi waasta nahi ...Apne andar duniya basaye hun main... Main kisise khaffa nahi ... Khud se khaffa hun main....Kisi shakhs ki pasand naa sahi ... Khud apni Ridaa hun main ...
Jee karta hai ...Kahin chal padun sameitkar apne kandhon par zindgi ke samaan ...Koi pur-bahaar rasta ...Koi thehri manzil... Koi khushnuma safar ...Rangeen manzaron ki giraft mein jaakar banaun shaandar aashiyaan...
Jaaney kab saans ayegi...Ek aam insaan ki tarah ...Janey kis baazuon mein bantt jayenge adhureypan ke bojh... Wo raahdar kaisa hoga... Jiski rahaon mein raahat miley...panaahon mein chaahat miley...Koi aisi aahat miley...
Suna hai Rabb milwata hai ek jesi roohon ko ..Jo janmon ka safar tay kartey hue...bhataktey hue...Mil jaty hai ek mod par... Kinaarey dhundty hue ...Saharey dhundty hue ...Haan...Shayad Naa-gawara hai Allah ko bhi insaano ka soonapan ...
Main koi Panchi nahi jo urrker to jatey hai...Par sham ko laut atey hai apne hi ghunslon mein ...Main urrna to chahty hun... Par lautna nahi chahty
Log zindagi ki kamaayi sameitkar ... World Tour par nikal jaatey hai ... Janey kya sochkar jaatey hai ... Naye rang, naye des mein khushiyan dhundker laatey hai ??
Sari qaaynat khud mujhme samayi hai ... Main kis jahaan ki sair par niklun ...Farsh pe jeekar Arsh ki sair karna chahty hun ... Kudrat ka woh jahaan ... Jahaan insaan nahi ...Ho bas roohon ka Samaa...
Ye bhi Ek Ghazab raaz hai ke.... Duniya raas nahi aati ...!!!!
bohut zeberdest or bakamal azad nazam gii her lafz bohut khubsuret gii zindgi ke sachi ko bohut khubsuret biyaan kiya or apneye saath mujhe bhi wahan lae geyeen kh wapssi main kafi mushkil houye gii superb kalam gii
ReplyDeleteDear Shaheen,
ReplyDeleteIts pleasure seeing you here on my blog.. Bahot shukria for your comment ... Its precious to me ...and Means much to me... thank you for your wonderful words ...
Acha lagta hai jab tanhayi baantney wala koi pyara dost sath ho ... aur hum jaantey hai ek dusre ke safar ke sakht rastey ...par yahan se guzarna hi hoga har haal mein ... aap jaise pyare log sath ho ...to chalna asaan bhi hota hai...
It was very unexpected of you to pour me your words here ...
apko bahot pyar ...
chaliye ab kheechkar apko wapas le aatey hai isi jahan mein
:)
Luvss
~Kashish
will appreciate of written in Hindi!!reading becomes difficult if spelled in English!!
ReplyDeletemaaf karna ye blog main apne liye likhty hun
ReplyDeletekisiko parhwaney ke liye nahi
aur na ye koi shayari hai ...
Ya, I understand !!
ReplyDeleteshukria ...
ReplyDeleteDard Me Koi Mausam Pyara Nahin Hota
ReplyDeleteDil Ho Pyasa To Pani Se Gujara Nahin Hota
Dekhe Zara Koi Bebasi Hamari,
Hum Uske Ho Gaye Jo Hamara Nahin Hota