Sunday, October 31, 2010
~Ehsas-e-Maut~
Poorey badan mein dard ki lehrey daud rahi hai
Aansu rok rakhe hai
Palkon ke koney bheeg rahey hai
Lakh dabao aansu beh rahe hai
Aankhein rang badal rahi hai ...
Jaise ankh nahi aag ka gola ho koi
Do aalney jal rahe hai
Badan tez bukhaar se choor hua jaa rha hai
Seeney mein aag dehek rahi hai
Dharkan raftar barha rahi hai
Dard seeney mein dabaate dabaatey kahin saans na tham jaye aaj
Aawaz bethi ja rahi hai
Jee ghabraa rhaa hai
Galay takk ghutt chuki hun main
Poora jism tutt raha hai ghum-e-beizaar se
Rooh kaanp uthi hai aaj
Andar se thartharaa rahi hun main
Tanhai ke woh mod par jaa chuki hun main
Jahan mehsoos ho raha hai ...
Jaise samandar ki gehri sej par meri laash jaakar takrayi hai
Badan se rooh nikalney ki der hai
Andar se cheekh rahi hun main...
Ke saha nahi jaata
Rooh nikal jaa is jism ko todker ....Chali jaaa.....
Aaj Muje azaad kar in Girhon se ....
~Kashish
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Itna negative ho jaenge to kaise jee paenge hm sb
ReplyDelete