Ek tu hi to nahi dilbar mere Ashiyaney mein Banakar mehel khaak jiyun main tanha zamaaney mein .... Yun to kaat liye saal maine Zard-khaaney mein Jaaney kitni der hai ab aur tere aaney mein .... ~Kashish
Teri baahon mein beh jaungi main ek nadi ki tarah Tu bhi pighal jayega mujme jalty moambatti ki tarah Main leher bankey tujme bahungi is tarah Tu beh jana meri nas nas mein bijli ki tarah Tez tufaano mein jhultey hue darakht jese Simat jaungi teri baahon mein daali ki tarah Qurbaton mein jiyenge hum dono is tarah Farsh-e-Zameen na ho jese...Khuda ke Arsh-o-Asman ki tarah Rok na paogey meri giraft mein apne jazbaat Tum Ho jayenge hum Ek... Khuda aur Bandey ki tarah ~Kashish
Jab manzil kabr hai To rasta itna mushkil kyu hai Jab Khwahish-e-Khuda hai To Justuju-e-Insan kyu hai Jab aaram kahin nahi Phir neend kesi, Raatein kyu hai Sanson mein thakan bhari hai Phir jiye janey ki ada Zindgi kyu haiDuniya mein insan hi insan Phir har insan tanha kyu hai ... ~Kashish
Seekha hai Tanhayee chipakar muskurana jabse Paa liya hai mizaaj-e-mazaak bhi tabsey.... ~Kashish
Khwabon ki dehliz se laut to aaye hum Kitne hi samandar dil mein samaye hum Haqeeqat ki basti mein khudko kheech laye hum Dua karo is saans ke safar mein usey bhool jaye hum~Kashish
Azaab hai ye zindagi ka safar Khwab hai jo dariya dil me aye khushyon ki leher Pasheman hun main banakar aarzuon ka mahal Carwan-e-Zindagi khud ek Sailab hai Umrbhar~Kashish