Kabhi yun hota tha
Ke hum bhi hote the
Tum bhi hote the
Aur sama-e-gulshan hara bhara
Ab yun hota hai
Na hum hote hai
Na humdum hota hai
Bas hota hai mausam-e-dhuan dhuan
~Kashish
Teri bakshi hui zindagi ke din do chaar hai
Aise mein sara wajood kyu Sogvaar hai
Mera koi sahara nahi
Ek TU hi madadgaar hai
Mere mehboob-e-Khuda
Ye bandi teri shiddat se talabgaar hai ...
~Kashish

Aye Khuda teri mohabbat-e-musalsal mein masroof hun is kadar
Ke tere pehle na koi naam tha ...Na baad mein koi hoga
- Kashish

Aye Khuda mujhe apne haal pe na chora kar
Mujhe aatish-e-tanhai maar daaleygi
Firaq-e-hijr ka ghum naa ijaad kar
Tuttey marasim ke manind rooh taslim na payegi
Main muntazir hun nigaah-e-mohabbat ki
Na-guzar haadso'n se zindagi ujar jayegi
~Kashish
Jahaan kisiko samaj paya kab hai ...
Insan khud ko bhi jaan ney laga ab hai !
~Kashish
Samjaoge kaise is na-samaj ko jo sabki samaj se paray hai
Samajna zehno ka kaam hai ... Hum to dil ke ghulam badey hai
~Kashish
Hindu ho ya Musalman
Bas ho apna Rabb pe imaan
Dil dukhta hai jab de koi ilzaam
Ke Allah hai mera ...Lab pe na ley uska naam !
Kitna zalim hai tu aye insaan
Mazhab pe uthaya tune sangraam
Jee karta hai noch lun teri zabaan
Khabardar jo maiyla kia tune mera gareeban !
~Kashish

Khwahishey dabana seekh lia hai maine
Hasraton ko sulaana aa gaya hai mujko
Ab bhooley se machal na jaye justajoo koi
Dil maarkar apna gala ghot liya hai maine...
~Kashish
Saalon se jin raahon mein dil maqaam kar baitha hai
Jahan ghar baar banaaye betha hai
Jis sadak par akhiyaan bichaaye thehra hai
Jahan se sadaayein aayegi dil thaan ke betha hai
Jahan pabandiyan lagayi ... Na aaney jaaney dia kisi ko
Usi ghar ko... Usi sadak ko...Usi raah ko...Usi dar ko ...
Aaj dil chorkar jaayein bhi to kahaan.....
~Kashish
Paya hai kya zindagi pamaal kar key
Mohabbat esi bala hai jo khayaal se bhi behaal kar dey ...
~Kashish