Aye Khuda mujhe apne haal pe na chora kar Mujhe aatish-e-tanhai maar daaleygi
Firaq-e-hijr ka ghum naa ijaad kar Tuttey marasim ke manind rooh taslim na payegi
Main muntazir hun nigaah-e-mohabbat ki Na-guzar haadso'n se zindagi ujar jayegi
~Kashish
Saturday, April 9, 2011
Jahaan kisiko samaj paya kab hai ... Insan khud ko bhi jaan ney laga ab hai !
~Kashish
Samjaoge kaise is na-samaj ko jo sabki samaj se paray hai Samajna zehno ka kaam hai ... Hum to dil ke ghulam badey hai
~Kashish
Friday, April 8, 2011
Hindu ho ya Musalman Bas ho apna Rabb pe imaan Dil dukhta hai jab de koi ilzaam Ke Allah hai mera ...Lab pe na ley uska naam !
Kitna zalim hai tu aye insaan Mazhab pe uthaya tune sangraam Jee karta hai noch lun teri zabaan Khabardar jo maiyla kia tune mera gareeban !
~Kashish
Khwahishey dabana seekh lia hai maine Hasraton ko sulaana aa gaya hai mujko Ab bhooley se machal na jaye justajoo koi Dil maarkar apna gala ghot liya hai maine...
~Kashish
Saalon se jin raahon mein dil maqaam kar baitha hai Jahan ghar baar banaaye betha hai Jis sadak par akhiyaan bichaaye thehra hai Jahan se sadaayein aayegi dil thaan ke betha hai Jahan pabandiyan lagayi ... Na aaney jaaney dia kisi ko Usi ghar ko... Usi sadak ko...Usi raah ko...Usi dar ko ... Aaj dil chorkar jaayein bhi to kahaan.....