Saturday, July 17, 2010
~Kee dass dey ne Aye dil mere~
Seeney pe ghaney pairon ke nishan tere
Gawah hai baney the tum mehmaan mere
Dastey hai Inayat-e-Tanhai ke saperey
Pehro Peher hue mere Sehar-o-Shab hanerey
Zakhm kuredkar hue aur bhi Gehrey
Jab waqt ne Bazm-e-Yaar mein na diye zaat ko baserey
Hai Mukhtasar si Ibadat sun Maula merey
Ab basney na paye dil mein ye Qatil se Chehrey
Ya Seeney mein badalkar basa naye dil ke derey
Ya apni Hifazat mein baandh fanaa kar is Janam ke pherey
~Meghna
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
wah kya khoob likha hai aapne
ReplyDelete"Seeney pe ghaney pairon ke nishan tere
Gawah hai baney the tum mehmaan mere"
i was listeining one of ghazals of jagjit sing and was going thru your thoughts(posts)....!!
ReplyDeletethis post.... the first two line of this.. i just kept reading dem... kayi baar padi.. aur iss kadar kho gyaa ki ptaa hi nahi challaa kab gaana khatam ho gyaa!!
Too Good!!
@Ginnie-
ReplyDeletekayi bar dusron ke lafz apne dil ki dastan bayan kar jatey hai ... aap kho gaye in alfazon mein ... shayad aapse wabista ye apka haal-e-dil jataa gaye ...
aur phir aapne maahol bhi banaya hua tha (jagjit ke sur-o-saaz) aur upar se mere alfaaz
:)
shukria sarhaney ka
khush rahein
@santosh kumar
ReplyDeleteshukria ... kabhi gaur nai kia maine ... ke in lafzon mein kitni hi kahaniya chupi hai...
:)