Raaz-e-dil ab aur bayaan nahi hota
Bin kahey chup rehna bhi asaan nahi hota
Jazbaat kuch dabb gaye hai mujme aisey
Ab meri shakhsiyat se jurra mera hi naam nahi hota...
~Meg Urf Kashish
Aam si main
Aur aam si baatein meri
Gar hota kuch khaas mujme
To Tanhayee na hoti Sathi meri
~M
Yun na ho fidaa mujpar
Na baat mujme koi aisi hai
Ye beizari,,,ye tanhayi....
Ye saarey detey gawahi si hai
~M
Jiya hai maine Jee bharkey
Ab bhar gaya hai Jee Marr marr key ...
~Meg
Bhula chukey hai hum Khudko Is Kadar se.....
Manzil kya
Rasta kya
Khwahish kya
Justuju kya
Paakar bhi na khush hai hum
Gawakar bhi na Afsurda
Na Giley
Na Shikwey
Na Malaal koi
Sans aty hai... Jaty hai
Ho Seeney mein jaise Kamaal koi
Ab Mazeed thakaan se choor hai hum
Zindgi na kar ab Sawal koi....
~Meghna
Qurbat mein qaraar bahot hai
Hijr mein jeena dushwar bahot hai
Ab har shakhsiyat se milatey hai hath hum
Insaan ke bazaar mein Insaan bahot hai
Zindagi tuney diya to jee bhar key
Jab leney par aya to Ispar Malaal bahot hai
~Meghna
Ek WOHI to hai hum sabka sahara
Iske ilawa kon kiska kinaara
Jo Mohabbat ke saharey hai jiye jaa rha
Woh har shakhs hai bechara bharam ka maara
~Meghna

Seeney pe ghaney pairon ke nishan tere
Gawah hai baney the tum mehmaan mere
Dastey hai Inayat-e-Tanhai ke saperey
Pehro Peher hue mere Sehar-o-Shab hanerey
Zakhm kuredkar hue aur bhi Gehrey
Jab waqt ne Bazm-e-Yaar mein na diye zaat ko baserey
Hai Mukhtasar si Ibadat sun Maula merey
Ab basney na paye dil mein ye Qatil se Chehrey
Ya Seeney mein badalkar basa naye dil ke derey
Ya apni Hifazat mein baandh fanaa kar is Janam ke pherey
~Meghna
Muje paaney ko kitno se lad gaye tum
Ab muje dur karne ke liye ladtey ho tum
Main khud thakk chuki hu ladkar khudse
Ab kisi aur ke honey ko ladtey ho tum
~Meg

Ek ajeeb sa khayal zehen mein aya hai
Sheher-e-tanhayi ne ye mehsus karwaya hai
Insan ki basti me insan ko insan nahi milte
Halanki insan ne khud insan ko aisa banaya hai
~Meg