Monday, April 12, 2010
Mere andar tufaan palta hai
Mere zehnon mein palta hua lafzon ka samandar
Kabhi khamosh rehta hai..kabhi shor karta hai
Karney ko kar dun bayaan batein hazzaaron
Par maazi ke rishton ke utrey chehron ka gumaan hota hai
Naa koi apnaa tha naa kahin hoga koi
Kehne ko sath rishton ka carwaan hota hai
Zindagani ki sakht peshkash se guzarkar dekha
Aage jaaney kin lamhaaton ka farmaan hota hai
~Meghna
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Naa koi apnaa tha naa kahin hoga koi
ReplyDeleteKehne ko sath rishton ka carwaan hota hai...
wel said... aksar yahi hota hai, khaali haath aaye they, khaali haath hi jana hai...
ji...wo keh gaye the sath nibhayenge dooor tak der tak ...
ReplyDeletegawa dia khudko isi bharam mein...inhi lafzon mein ...