Mere kismat ki Rail aisi Ke har station par rukty jaye Allah Allah karte jaun Par khushiyon ka station na aye Musafir beshumar aaye jaaye Aur kuch hisab bhi na rakh paaye Ab koi Musafir aisa bhi aaye Jo Arsh ke aakhri station tak jaye ...
Charagh lekar jab Tujhe khoja Reh gayi khoj adhuri Laakar Zindagi ujaalon mein Maine Ki teri aas bhi puri Jiske khatir mujko chora Hui uski muraad to puri Par mann-bhaavan mila na duja Tujhe khokar ho gayi adhuri
Shuru aur khatm har kahani hogi Rutt milan ke baad hijr ki aani hogi Safar ab tanha katungi,bas meri mann mani hogi Na rishton ka khauf, Na doobney ka sirra Shayad zindagi jeeney mein asaani hogi...